Question: Assalam o alikum sir mera sawal ye h k mai thoray din tk umrah py ja rha hu to pouchna ye hai k ahram kis jga bandha jaye?kya jeddah airport pr band skty hain?..
Answer: Jaddah air port se ehram os sorat main bandha ja sakta hay jab aap ne aapne miqatse pehle nazar ki ho k aap jaddah aikport se ehram bandhain gay. Nazar in alfaz k sath karni zaroori hay keh main Allah ki khatir nazar karta hoon keh main apne umra e mufrada ka ehram jadah air port se pehnoon ga . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Manasik e haj, maslah #164,173). Update on dated 01-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mai is saal apne shohar aur saas sasur k sath haj pr ja rhi hu.meri do betiya sadhe 5 saal aur 2 sal ki hain.wo apne nana nani k pas rahyngi.to mera haj qubool hoga?
Answer: ap ka haj sahi hay (manasik e haj safa # 10 masla # 3) [Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hajj kai baad tawafe Vida nahi kiya aur jeddah chal Gaye aur 10 din Baad wapa akar kar sakkte hain ya nahi kya dum lazim hoga
Answer: Tawaaf e wida mustahab hay wajib nahi. aap jab dobara makkah aa kar wapas jaane lagain tu phir aakhri din tawaafe wida karna mustahab hoga.(Ref: Ayatullah sistani, Manasik e haj, pg#338). Update on dated 24-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: nani yha dadi ke sath umarah yha hajj ko ja skte h
Answer: Hajj per mehram k sath jana zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Mafhoom e Maslah #60). [Updated on 30-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam-o-alaikum Mai ny umrah k doran bathroom mai ahram khol diya tha (mujhy pta nhi tha k bathroom mai b ap ahram khol nhi skte) to kya muje dum lag gya hai? 2= agar dum lag gya hai to mujhe makkah mai e ada karna pary ga ya kahin aur kr skta hn.
Answer: Ehram khoolna ya os ko tabdeel karna jaiz hay or ehram kholne per koe kaffara nahi lagta.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Manasik e Hajj, maslah #198). Update on dated 24-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 24-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: asalmalikum mery umrah pa jany ka hoa hy achanak meri dost hy uski family k sath jis mai 12 ladies or 3 gents hain mery sath mehram nhe ja sakta to kia mai un k sath ja sakti hu
Answer: Hajj per mehram k sath jana zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Mafhoom e Maslah #60). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aik beti 7 saal ki hai aik 4 saal ki kya main un ko chor k hajj pay apnay shohar k saath hajj karnay jasakti jab k chauti beti shayad mere bagair na rahay
Answer: Agar aap ko apne taur par wusooq ho keh aap aainda saal haj baja laa sake geen tu osay muakhar kar sakti hain basorat e digar nahi. Albattah agar emtihan ko muakhar karna shaded or naqabil e tahammul mushkilaat ka baes ho tu is sorat main osi saal haj baja lana zarori nahi.(Ref: Ayatullah sistani, Jadeed fiqhi masael, pg#162). [Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya main apni phuperi Bahen k Saath Uska mehram bankar Umrah k liye jaa sakta hoon ya nahi??
Answer: Fiqh e jafferia mai umrah mai mehram ki koi shart nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #60) [Updated on 03-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachay ko dhood pilana jaeez he ahram ki halat me
Answer: Jaiz hai. (https://www.sistani.org/urdu/book/62/2953/) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Umry k bd khod bal katna jaiz hy?
Answer: Jee haan, jaiz hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/62/2976/). [Updated on 26-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]