Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5244
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: what is the exact age, can go with mather as mahram for permorming umraha

Answer: 1-He should be baligh. 2-He should be sane and free, that is, he should not be insane and should not be a slave. 3-Because of proceeding to Makkah for Hajj, he should not be obliged to commit a haraam act, avoidance of which is more important than Hajj, nor should he be compelled to forsake an obligatory work which is more important than Hajj. 4-He should be capable of performing Hajj.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2310) Note: There is no any condition for woman to perform hajj with mehram. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5981
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya aik orrat apni betti or dammad k sath hujj pe ja sekti hey?

Answer: G han ja sakti hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2349 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6500
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ihram ki halat main sir ko dhapna shai hai

Answer: Ahram ki halat mai mard k lie dar chupana haram hai. Is mai kaan bhi shamil hai. Isi terah sar par saya karna bhi haram hai. (Ref : manasik e hajj pg 52)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7251
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mi ne 2013 mai hajj kia tha aur doorane ahram mai ne miswak toothpaste use kia tha. shopkeeper nai mujey ye toothpaste ye keh ke dya tha ke ye hajj ke liye hai ? is silseley mai kya mujh pr kafara dena wajib hai mai ( aytullah systani ki takleed krta hn)

Answer: Halat ahraam me khushboo ka istemaal karna haram hai albatta toothpaste men gar khushbu ho to phir haram hai lekin agr khushbu na ho to phir masla nahi hai isi tarah miswak men bhi khushbu nahi hia lehaza is k krne men bhi koi harj nahi hai. Agar halat ahraam me umdan (jaanbough) kar kohe khushboo wali chease khaay ya umdan (jaanbough) aise chease phene jis me khushboo ka asar ho to ehteyate lazim ki bina per is per aik goosfan( behr) kafara ho gha . is k ilawa baaqi khushboo k istemaal me kohe kafara nahe hai .agarche kafara dena ehteyate mustahab ( beter) hai. ( ref: manasik hajj, aqa sistani, pg: 237, 240 Halat ahraam me safa aur marwa k dermiyaan 7 chakar k baad khushboo lagana jaiz hai aur is surat me kafara bhi nahe hogha. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 129 , pg # 99, eidition 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7324
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye hai k kia behan aur behnoi k sath haj jaez h ? please jawab zarur dena

Answer: Gee han ek orat apne behn or behnai k sath hajj pr ja sakti hai agrchhe behnoi namehram hota hai, Orat pr hajj wajib hone k liye mehram (bap,bhai,beta) ka sath hona shart nahi lekin is k liye shart ye hai k orat apne nafs ki hifazat kr sakti ho, or jab aman na ho to us shakhs ka sath hona lazmi hoga jo uski hifazat kre agrchhe ujrat pr hi sath ho mgr is ki shart ye hai k kisi shakhs ko ujrat pr lene ki qudrat rakhti ho wrna hajj wajib na hoga. (Ref : Ayatullah-Sistani(d.b), Manasik-e-Hajj(farsi), 7th Eddition, Masla#60,Pg#48).(Khuda apki toufeeqat men izafa frmaye)

Id: 7389
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I want to send someone for haj_e_ badal for my parents but I have not performed haj till now even I am in a position to do so can I do this. Thanks

Answer: Zarori hai k pehle aap apna hajj karain Q k haj wajib fauri hay, aur waldain k liay kisi aur ko bhejh dain. (Ref: Ayatullah sistani d.b, manasik e Hajj, maslah#1). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7428
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Tawaf un nisa ka kafara kia ho ga

Answer: Jo shaks chahay masalah jaanta ho ya nah jaanta ho, jaan boojh ker ya bholne ki wajah se tawaafun nisa ko anjam nah day tu os ka jubraan o tadaruk kerna wajib hay.Lehaza agar khud anjam daina mumkin nah ho ya bohot mushkil ho tu jaiz hay kisi ko naaib banaay. Naaib ka oski janib se tawaf anjam dene per o ski bivi halal ho jay gi. (Ref : manasik e hajj , topic # Tawaaf e Nisaa , masala # 420 , pg # 242 Publish by Jamah Talimaat e Islami).( Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7443
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mera aur ek b sawal hai k kya ye dono sath me hajj ya umrah kar sakte hain k nhi ??

Answer: Ager aap ki dono se muraad (jesa k ap k is se baad wale sawaal se lag raha hai) ghair muslim larka or muslim larki hai to ager ghair muslim larka musalmaan hogaae or hajj karne ki sharaait mojood hon to dono per apna apna hajj karna wajib hai chahe dono aik sath hajj karne jaae ya alag alag. (Ref : manasik e hajj , topic # sharait e wojoob e hajj , pg # 03). Or ager muraad ye hai ke ghair muslim larka ghair muslim hone ki halat main ho to ehtiyaat e wajib ki bina per is ko Masjid ul Haraam le jana jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 213, pg # 87 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7851
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia ahram ki halat me ham biwi ko bosa wgra lay skty hay?? is say dam to nahi parta husband wife par ager wo sirf bosa wgra lay ak dosry ka???

Answer: Agr Ehraam ki halat main bivi ka bageer shewat ke bosa liya jaae to ehtiyaat e wajib ke toor per 1 gosafand kuffara wajib hai.(Ref : manasik e hajj , topic # Mina main Qurbani , pg # 148 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hia).

Id: 8015
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aurat haj karne kyo jati hai

Answer: Allah Taala ki di hoi Shariat e Muqaddasa main hokum diya gaya hai ke jab musalmaan – chahe orat ho ya mard – main hajj ki sharaait jama ho jaain to us per hajj wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1994 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!