Question: Kia ak larki apne maa k mamo k sat haj ya umrah krne ja sakti he
Answer: G han ja saktin hen jaiz hai(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1994 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Kya umra k bd hajj wajib hy ya ni ya farz hy
Answer: Ager hajj ki tamaam sharait mojud hon or pehle kabhi hajj na kiya to hajj wajib hojayega.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1994 to 2007 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: A.O.A. kya hajj ky doran bal mundwana farz hae ya sunnat?
Answer: Jo merd pheli martaba hajj kar raha ho us k lie ehtiyaat e wajib ki bina per sar mounwana zarori hai. (Ref: Mafhoom e http://www.sistani.org/urdu/book/62/2976/ ) Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: tawaf karte waqt topi pehenna jayez he ya nahi ?
Answer: Halat e ehraam me mard k lie apne sar ko kaprhe se(maslan topi se) chupana jaiz nahi hai . .(ref.manasiq hajj ,aqa sistani ,masla 262,pg:95). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya ghair shadi shuda ladki ka hajj jayaz hai
Answer: Aurat k hajj per wajib hone me us k sath mehram ka hona shart nahi hay lehaza agar aurat ko apni izzat o namoos ka khatra nah ho to us aurat per baqi istitaat k sath hajj wajib ho jaey ga. (Ref: Manasik hajj, Ayatullah sistani(d.b), Farsi,Mafhoom e maslah#60). Update on dated 27-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya bahnoi apni sali ke sath hajj ya umra par ja sakta hai jab us ki wife zinda ho
Answer: Jasakta hay. Perday ka khayal rakna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), manasike hajj,Mafhoom e Maslah #59). Update on dated 25-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia ahraam mai underwear pehan sakta hun k nahi,,,,,,,,, because underwear k bayghair tu mai shalwar qameez bhi nahi pehan sakta......... JAZAKALLAHA
Answer: Merd k liay sila hoa libaas pehenna ahraam ki halat main haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2382). Update on dated 23-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kea ak hi din men ak hi ehram men 2 bar umra kiya ka sakta hai?
Answer: Aik hi ehram main do umra nahi ho saktay.Aik qamri(chand k) mahine main do umre aik hi shaks ki janib se nahi ho sakte, laikin do umro k dermiyaan 30 din ka waqfa zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj ,Mafhoom e Maslah #137). Update on dated 23-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aslam alaikum mera msla ye hay k mai apni ami k sath umra py jany k lie apply kia hay jubky mere sath koi mahram nahi hay logo ka khna hai k mera umra qabool nahi hoga to kia drust hay
Answer: Jee, aisa kerna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Urwatul wusqa, Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 28-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: me apni chahcha zad behn ko or apni maan ko umray pe le ja sakta hu kia es tarha umra islaam me jaiz ha
Answer: Jee, aisa kerna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Urwatul wusqa, Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 28-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).