Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16763
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main apny hotel main thi or bacha bht roraha tha mujhy pata ni tha main ny ahram (abbaya)utar kar bacha sambhla phir jab pata chala forn abbaya (ahram)phana ..mera umrah hogaya ya ni ????

Answer: Niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhne ke baad ehraam ke kapron ka har waqt pehnay rehna wajib nahin hai, lihaaza rida ko zaroorat ke tahat ya bilaa zaroorat ke kandhay se hataane mein koi ishkaal nahin hai. (umrah sahi hai). isi tarah jab dusri chadar mein sharait maujood hon to badla bhi ja sakta hai. lekin ya baat waazih rahe ke niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhte hi jo cheezen Haram ho jati hain wo nahin utren gi jab tak ke wo aamaal anjaam na diye jayen jin ki wajah se wo cheezen utar jati hain. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #198). [Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16764
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ihram k nechy underwear pehana ja sakhta hai k nai

Answer: Mard ke liye sila hua libaas pehenna ahraam ki halat main Haram hai. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), link; https://www.sistani.org/urdu/book/62/2954/). [Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16788
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya shadi shuda beti apne baap ke saath hajj pe ja sakti hai? Sirf baap or shadi shuda beti

Answer: Jee han, jaa sakti hai. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e Maslah #60). [Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16889
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: صرف احرام بند کے کعبے میں طواف کرنا جائز hay

Answer: Niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhne ke baad chand cheezen Haram ho jati hain aur sirf tawaf e kaba karne se wo tamam cheezen Halal nahin hotien balke mukhtalif aamaal anjaam diye jate hain jis ki wajah se wo cheezen Halal ho jayen jat hain. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), pg #155 to 159). [Updated on 12-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16897
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Tawaf ki kitni qisme hain

Answer: Tawaaf ki do qismen: Wajib tawaaf aur Mustahab tawaaf. Wajib tawaaf me shaamil hain: 1. Tawaaf e ziyarat. 2. Tawaaf nisaa. Mustahab tawaaf me shaamil hain: 1. Tawaaf e wurood. 2. Tawaaf e widaa. 3. kaabay ke das tawaaf karna, teen ibtida e shab mein, teen aakhir e shab mein, do fajar ke baad aur do zuhar ke baad. 4. Makah mein qiyam ke douran 360 tawaaf karna aur agar yeh mumkin nah to 52 tawaaf karna aur agar yeh bhi mumkin nah ho to jitne tawaaf mumkin hon itnay tawaaf kare. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), pg #216,311,315,369,371). [Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16998
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikum. Mera sawal ye hain me madina se Ahram band kar mecca ja raha tha by road mere ahram k halath main ankh lag gai kiya mujh par dam lar gaya ?

Answer: Ahram ki halat me sona (sleeping) Haram nahin hai aur nah hi is se koi kaffara aaye ga. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), pg #156,157,158,159,344). [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17204
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr haji kise mushkil mai phans jai ur umrah krna sa pahla ahram khul jai to kia phr bhe us ko dam wajib h.?usa dam dena ho ga?

Answer: Ehraam kholna ya us ka tabdeel karna jaiz hai aur ehraam kholne par koi kaffara nahin lagta Q ke Niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhne ke baad ehraam ke kapron ka har waqt pehnay rehna wajib nahin hai, lihaaza rida ko zaroorat ke tahat ya bager zaroorat ke kandhay se hataane mein koi ishkaal nahin hai. isi tarah jab dusri chadar mein sharaait maujood hon to badla bhi ja sakta hai. lekin ya baat waazeh rahe ke niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhte hi jo cheezen Haram ho jati hain wo Halal nahin hongi jab tak ke wo aamaal anjaam na diye jayen jin ki wajah se wo cheezen Halal ho jati hain. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #198, pg #155 to 159). [Updated on 17-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17301
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: احرام باندھنا کیاھےسنت یا واجب

Answer: Ehraam bandhna wajib hai warna is ke bager hajj ya umra nahin kar sakte. Lekin niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhne ke baad ehraam ke kapron ka har waqt pehnay rehna wajib nahin hai, lihaaza rida ko zaroorat ke tahat ya bilaa zaroorat ke kandhay se hataane mein koi ishkaal nahin hai. (hajj o umrah sahi hai). isi tarah jab doosri chadar mein sharait maujood hon to tabdeel bhi kiya jaa sakta hai. lekin ya baat waazih rahe ke niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhte hi jo cheezen Haram ho jati hain wo nahin utren gi jab tak ke wo aamaal anjaam na diye jayen jin ki wajah se wo cheezen utar jati hain. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah sitani(d.b), maslah #140,158,195,197,198). [Updated on 03-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17322
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr aurat ko bleeding horhi ho lekin 1 2 din chor k kum kum bleeding ho lagatar 5 6 din tk esa hota rhy to kia wo periods hain ya istehaza? Or esay Mai roza or namaz rkha jaye ya nhi? Or Jo rozay ya namaz chori h kia uski qazah h?

Answer: 1, 2: Periods (haiz) ki muddat kam se kam 3 din aur ziyada se ziyada 10 din hai. aur haiz ke liye zaroori hai ke pehle teen din lagatar aaye, lehaza agar 3 din se kam yani 1 2 din ke liye khoon aaye to ye haiz ka khoon nahin kehlaye ga balke istehaza ka khoon kehlaye ga aur is surat me istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dene hain. 3: Istehaza ke khoon ke halat me chorhe gaye rozay ki qaza karna zaroori hai aur jan bhooj kar rozay na rakhne ki soorat me qaza ke alawa kaffara bhi aaye ga. aur agar aainda ramzan tak bhi un rozon ki qaza nah kare to ehtiyat e lazim ki bina par har din ke liye aik mudd e taam (yani 750 giram) fidye takheer bhi dena hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #438,439,1356,1681). [Updated on 07-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17520
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere bachey baligh hein, magar abhi unki shadi ni hui, to kia hm umreh pr jaa skte hein? Ya unki shadi ka haq ada krna pehle zruri hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Makka (mecca) aur is ke aas paas 16 kilo meter me rehne wale afraad ke alawa deegar ghaon, shehron ya mamalik logon ke liye Umrah baja lana mustahab ibadaat me se hai wajib nahin hai. Aur bachon ki shadi karana bhi aap par wajib nahin hai. lihaza aap ki marzi hai jo kaam pehlay anjam den. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #134,136. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2407). [Updated on 10-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!