Question: Assalam u Alaikum. Mera sawal ha k agr koi khatoon umra ki garaz Sy jy . To Kya wahn pohnch k direct umra k Liye hi rawana ho jy ya phir 2 4 ghnty araam kr k nikl jy ?
Answer: Wahan puhnch kar direct umrah ke liye rawana zaroori nahin, balke kuch waqt tak araam kar sakti hain. Han! agar makkah mein, balkay Haram mein bhi jana ho to baghair ahraam ke daakhil hona jaaiz nahin hai. lehaza agar koi hajj ke mahino (shawal, zil-qada, zil-hajj) ke alawa kisi mahinay mein daakhil hona chahay to is par wajib hai ke umra mufrada ka ahraam bandhay. (Ref: Manasik e Hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #141). [Updated on 17-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiss on the hajre aswad during hajj is wajib or mustahab or sunnat?
Answer: Hajj ke dauran hajre aswad ko bosa(kiss) dena, na wajib hai or na hi mustahab. (Ref: Manasik-e-Hajj urdu, Ayatullah-Sistani(d.b), Edition #4th, pg #365,366). [Updated on 13-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Razai Behan ke Sath hajj kesa hai
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jaiz hai, Rizai behen ke hajj pe jaa sakte hain. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e Maslah #60). [Updated on 31-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA Main ne Ehraam baandh kr nakhin kaat liye mujhe pata nai tha to ab kia ho ga ???
Answer: Muhrim (ehram bandhne wale) ke liye naakhun kaatna jaaiz nahin hai. agarche kuch miqdaar mein kaatay, siwaye kisi majboori o zaroorat ke maslan naakhun baqi rakhnay mein aziat o takleef hoti ho. yani agar naakhun ka kuch hissa toot gaya ho aur baqi hissa mein dard ho raha ho to baqi naakhun ko kaatna bhi jaaiz hai. Haath ya paon ka aik naakhun kaatnay ka kaffara aik mud yani taqreeban 750 gram khana hai. chunanche agar do naakhun kaatay to kaffara do mud tuaam aur isi tarah 9 nakhunon tak (naakhun katnay ke lehaaz se kaffara hoga) lekin agar haath aur paon ke poooray naakhun mutadid nashiston mein kaatay to kaffara do bakriyan (aik haath aur doosri paon ke nakhunon ke liye) hoga aur agar aik hi nashist mein kaatay to phir aik bakri kaffara wajib hoga. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #274, pg #156,157,158,206,207) [Updated on 09-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: احرام کے دوران اگر واشروم آجاے
Answer: Agar Ehraam ki halat me washroom aa jaye to koi haraj nahin, washroom ke jaaya jaa sakta hai or agar masalan ehraam najis ho ( bhe jaae) to pak kiya jaa sakta hai. Q ke Ehraam ke sahi hone mein hadas e asghar (yani peshab, pakhana) ya akbar (yani janabat, haiz wagera) se pak hona shart nahin, chunanche woh shakhs jo hadas e asghar ya akbar ki wajah se muhaddas hua ho maslan peshab, pakhana mujnib, haaiz aur nufasa waghera to is ka ehraam sahi hai. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #183. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #119,154). [Updated on 13-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ahram band kr sir pr topi pehni hui thi kisi k kehny pr utar di umra se pehly koi masla to ni ?
Answer: 1: Ehraam mein teen (3) cheezen wajib hain: 1. Niyat. yani mukallaf irada kare ke umra ya hajj qurbatan elallah anjaam don ga. 2. Talbiah. Talbiah is tarah kahe. 'labbaik allahumma labbaik, labbaik laa shareek lak labbaik' aur ahwat aula hai ke is jumlay ka izafah kare. 'innal hamd wanniamata lak wal mulka laa shareek lak' aur jaaiz hai ke is jumlay ke aakhir mein labbaik ka izafah kare aur youn kahe 'laa shareek lak labbaik'. 3. Ehraam ke do kapron (lung aur chadar) ka pehenana. magar inhen us libaas ko utaarnay ke baad pehna jaye jis ka pehnana ehraam walay par Haram hai. 2: Jab mukallaf ehraam bandh le to pachees (25) cheezen is par Haram ho jati hain: in me se aik ye hai ke mardon ke liye silaa hua ya aisa libaas pehnana jo silay hue ke hukum mein ho Haram hai. lihaaza agar ehraam bandhne ke baad lekin Talbiah kehne se pehle topi utaar di thi to aap par koi zimmedari nahin aayegi. lekin agar ehraam bandhne ke baad Talbiah bhi keh diya tha aur is ke baad topi utaari thi to wajib hai ke aik bakri kaffara dain. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), pg #141 to 184). [Updated on 10-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As Salam alaikum.. umrah kis umar se farz hai ? Or umrah ke baad haj farz hojata hai
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Larki 9 qamari (chand wale) saal pooray karnay ke baad balig hoti hai aur jab insaan baliq aur aaqil ho jaaye to is par namaz, roza, hajj aur dosray sharaei ahkaam wajib ho jatay hain. 2: Hajj ki teen qismain hain. tamattu, ifraad aur qiran. Hajj e tamattu un afraad ka fareeza hai jin ke watan aur makka ke darmiyan solah(16) farsakh yani taqreeban 88 kilo meter se ziyada faasla ho jabkay ifraad or qiran makka ke rehne walon aur un logon ka fareeza hai jin ke watan aur makka mein solah farsakh se kam faasla ho. lekin umrah ke baare me maslah ye hai ke jis ka fareeza hajj e tamattu ho aur is ki istetaat nah rakhta ho balkay umra mufrada ki istetaat rakhta ho to is par umra mufrada wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #2215. + Manasik e hajj, maslah #04,136,143). [Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar Kisi k husband ki death ho Jaye or koi mehram ho hi Nahi toh Kia ourat Umrah kr Sakti hai
Answer: Aurat ke liye Hajj ya umrah pe ke liye kisi mehram ka hona shart nahin hai, lihaza wajibat ka khayal rakhte hue aurat na mehram ke sath bhi Hajj ya umrah par jaa sakti hai.3 (Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawaal #119, pg #63). [Updated on 20-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum tawaf karte waqt agar koi ek shoulder bhulkar khula na rakhe to kya hoga?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Agar ehraam ke dono kapre pehne hue hain chahe jis tarah se bhi pehne hon, is me koi haraj nahin hai, Q ke ehraam ke in do kapron ke pehne me koi khas tareeqa mutabar nahin hai, lihaza agar bhool kar ya jaan boojh kar aik khanda khule rakhe bager tawaf kiya jaye to tawaf sahi ho jaye ga. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), page #151,152). [Updated on 22-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Karachi say Jeddah(night flight) jate Howe Dubai mai stay ho to kiya Dubai say umrah ka ihram pehn sakte hai or niyat kahan say Karni hogi??
Answer: Jo shakhs makkah se bahir ho us ke liye door wale miqaat (masjid e shajrah ya juhfah wagera) se ehram bandhna wajib hai. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah sitani(d.b), Maslah #140). [Updated on 10-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]