Question: Salam, Yeh joh watsapp per msgs aarahey hain k Zillhaj k 10 din baal na katwaien, kya iski koi sharai haisiat hai? Kya baal katwa saktey hain? Mein Ayatullah Sistani sahab ki taqlid mein hun! Jawab ka muntazir, shukriya!
Answer: Jee han is ki sharei hesiyat hai lekin ye maslah haaji (jo haj karne gaya hai) ke liye hai, ghair e haaji ke liye nahin hai. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), before maslah #403). [Updated on 28-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Hajj k mahinay mn bivi sy hambistari jaiz h
Answer: Jo shakhs Halat ehram (chahe ehram umrah ka ho ya hajj ka) me ho us ke liye tawaf e nisa karne se pehle apni biwi se Humbistri karna haram hai. lekin jo shakhs ehram ki halat nahin hai (yani hajj ya umrah karne nahin gaya balke wo kisi aur mulk me hai) us ke liye zil hajj ke mahine men biwi se humbistri karna jaiz hai. (Ref: Manasik e Hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #219). [Updated on 30-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar hajj ka ehram bandha ho pr ksi waja se hajj na ada krsken or raste se hi lotna pare to kia kaffara ada krna hoga or agar krna hoga to kia kaffara ada krna chaiye
Answer: 1: محصور وہ شخص ہے کہ جو احرام باندھنے کے بعد اعمال حج یا عمرہ کی ادائیگی کے لیے مرض یا کسی اور وجہ سے مقدس مقامات تک نہ پہنچ سکے۔ 2: اگر کوئی عورت حج میں محصور(جس کی وضاحت اوپر بیان کی گئی ہے) ہو جائے اور احرام کھولنا چاہے تو اس کا فریضہ یہ ہے کہ قربانی یا اس کی قیمت اپنے ساتھیوں کے ساتھ بھیجے اور ان سے وعدہ لے کہ قربانی کو منیٰ میں عید کے دن کریں گے تو یہ عورت جہاں کہیں پر ہے تقصیر(یعنی سر کے کچھ بال کاٹے) کرے اور احرام کھول دے۔ لیکن اگر ساتھی نہ ہونے کی وجہ سے قربانی یا اس کی قیمت بھیجنا ممکن نہ ہو تو اس کے لیے جائز ہے کہ جہاں ہو وہیں پر قربانی کرے اور احرام کھول دے۔ مذکورہ موارد میں محصور پر شوہر(سے ازدواجی تعلقات) کے علاوہ باقی تمام چیزیں حلال ہو جائیں گی اورشوہر(سے ازدواجی تعلقات) اس وقت تک حلال نہیں ہوگا جب تک حج یا عمرہ میں طواف اور صفا و مروہ کے درمیان سعی انجام نہ دے۔ (Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), pg #254,205, maslah #445,446). [Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wo konsi ibadat ha jo orat apny suhar k bgair nie kr sakti
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria ( shia mazhab ) k mutabiq jawabaat diay jatay hein. ( or fiqhe jaferia ke mutabiq aurat ka kise ibadat ko anjaam dene me us ke shohar ka us ke sath hona zarori nahe hay ) sawaal se zahir hota hay ke shaayad hajj ke hawale se sawaal kia jaraha hay . aurat jab mustate hojaae ( yani hajj ke hawale se us me sharhe ahtebaar se hajj karne ki qudrat ho ) or us aurat ki jaan ko khatra na ho tu mehram (mard maslan bap,bhai,beta ka) hona shart ( yani zarori ) nahe hay , or jab jaan ka khara ho to kise shakhs ka sath hona lazmi hoga jo uski hifazat kre agrchhe ujrat pr hi sath ho mgr is ki shart ye hai k kisi shakhs ko ujrat pr lene ki qudrat rakhti ho wrna hajj wajib na hoga. (Ref : Ayatullah-Sistani(d.b), Manasik-e-Hajj(urdu), 4th Eddition,2013, Masla#60,Pg#45). [Updated on 05-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: hajj kai doran hajji kin maqamat par tahartaian hai.
Answer: Hajj ke dauran haaji teen (3) maqamat par qayam karte hain. 1) Arfaat. 2) Muzdalifa, ise Mashar ul haram bhi kehte hain. 3) Mina. (Ref: Manasik-e-Hajj urdu, Ayatullah-Sistani(d.b), Edition #4th, pg #275,281,287). [Updated on 08-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: hajj k doran muqadas maqamaat ke nam
Answer: 1) Khana kaba, 2) Masjid e haram, 3) masjid e nabavi, 4) maqam tawaf, 5) safa wa marwa ki pahariyan, 6) Arfaat, 7) muzdalifa, 8) mina, 9) jamraat, 10) jabal e saur, 11) jabal e kudayye, 12) jabal e abo qubais, 13) kohe khandama, 14) jabal e hajon, 15) jabal e hira, 16) maka ka tareekhi qabristan jahan janab e khadija(s.a) dafan hain, 17) sheab e abi taalib, 18) maqam e hudaibiya jahan sulhe hudaibiya hui thi. is ke alawa aur buhat se maqamaat hai jo ke is link https://www.shaffak.com/news/details/haramshareef-023210/ pe dekhe jaa sakte hain. [Updated on 08-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: On kiss on hajre aswad during hajj is wajib or mustahab?
Answer: Hajj ke dauran hajre aswad ko bosa(kiss) dena, na wajib hai or na hi mustahab. (Ref: Manasik-e-Hajj urdu, Ayatullah-Sistani(d.b), Edition #4th, pg #365,366). [Updated on 24-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Umrah m Jo halaq ya kasser kerwatay Hain in dino m Kia faraq h
Answer: 1: Halaq se muraad poore sar ko muondna/mundwana hai jabkeh Taqseer se muraad sar ke kisi bhi taraf se kuch baalon ka kaatna/katwana hai. 2: Umrah tamattu ke ahraam se bahir aana sirf taqseer par munhasir hai (yani umrah tamattu ke ahraam ko sirf taqseer hi ke zariye khola ja sakta hai. sar ka muondna/mundwana kaafi nahin hai balkeh sar muondna/mundwana haraam hai) jabke umrah mufrda ke ahraam se taqseer se bhi bahar aa satke hain aur halaq se bhi bahir aa sakte hain, taaham halaq karna afzal hai. yeh hukum mardon ke liye hai jab ke aurton ke liye taqseer Muayin hai chahe umrah tamattu ke ahraam se bahir aana ho ya umrah mufrda ke. (Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #139,350). [Updated on 01-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Umrah m Jo halaq ya kasser kerwatay Hain in dino m Kia faraq h kassar ki lion zarorat pash ai Kia waqia hua jiski wajah say kassar ka hukkum Aya
Answer: 1: Pehle sawal ka jawab de diya gaya hai. 2: Aksar ahkam e sharaei ke asabab or illatain (reasons) or shariyat ke bananay walay (yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logon se poshida hay, or hamari aqlain un ko samajhne se aajiz hain. Or wajib yeh hay ke illat or wajah par nazar kiye baghair wazeh hadees ki pairawi (following) karain. (Ref: Lumah #6, kitab e miraas, nashir maktab e naveed e islam, pg #472). [Updated on 02-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o Alaikum kia umrah krne se Hajj farz hojata he ya agar umrah ki taqqat ho lekin hajj kelie pese na ho kio k umrah per hajj se kam pese laghte he to kia umrah se hajj farz to ni hijata?
Answer: 1: Umrah, hajj ki tarah kabhi wajib hota hai aur kabhi mustahib aur umrah ya mufrda hota hai ya tamattu. 2: Hajj ki tarah Umrah bhi har saahib e sharaait mustatee par wajib hai aur Hajj ki tarah wajib fauri hai lehaza Umrah ki istetaat rakhnay walay par chahay woh Hajj ki istetaat nah bhi rakhta ho Umrah wajib hai. lekin zaahir yeh hai ke jis ka fareeza Hajj e tamattu ho aur is ki istetaat nah rakhta ho balkay Umrah Mufrada ki istetaat rakhta ho to is par Umrah Mufrada wajib nahin hai isi tarah woh shakhs jo Hajj tamattu kare to yaqeenan is par Umrah Mufrada wajib nahin hai. Hajje tamattu un afraad ka fareza hay Jin ke watan or Makkah ke darmiyaan 16 farsakh (Yani taqreban 88kilometers) se zaada faazla ho jab ke Hajje ifraad or hajje qeraan makkeh me rehne walo ka or un louqo ka fareza hay Jin ke watan or Makkah me 16 farsakh (Yani taqreban 88 kilometers ) se Kam fazla ho. Note: Jin louqo per ummrah ke ilawa alaq se Hajj karna bhe wajib hay un ke lie tanhaah ummah karne se Hajj ke zimmedaare khatam nahe hoghe balke agar Hajj karne ki istetaaet hay tu Hajj alaq se wajib hoga Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #135,136,143). [Updated on 11-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]