Question: Pahle umrah me baal kaatna kaisa hi....ky pahle umrah me baal kaat sakte hi ya takla krna zaruri hi
Answer: taqseer se muraad ye hay ke haji ( ya umrah karne wala ) apne sar ya dharhe ya moucho ke khch baal kaate. umrah mufrada me Mard ko kuch sar ya dharhe ya moucho ke baal katwane aur sar mundwane ka ikhtiyar hai or sar munwaana afzal hay laikin umarah tamattu ke ahraam me srif taqseer he karna zarore hay or sar munwaana haraam hay. or jo shakhs pehli martba hajj par gaya ho us ke liye Ehtiyat e wajib ye hai ke sar ko mundwaye.or aurato ke lie sar munwaana jaiz nahe un ke lie taqseer he moaiyan hay.(ref:manasik hajj,aqa sistani,urdu,pg:205,83,205,236,235) [Updated on 18-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya maa beti umara krne ja sakti h jabki koi mehram unke sath nahi ho
Answer: Fiqh e jafferia mai umrah mai mehram ki koi shart nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #60). [Updated on 19-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ky hum ldkiya shadi sa pahela apna parents ko hajj kr wa shakti hai
Answer: Jee han kisi ko hajj karwane ke liye paise diye ja sakte hain. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #53). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Humare pass agar paisa h to ky hum un logo ko hajj krwa shekta h jin k pass hajj krna k paisa na ho
Answer: Jee han kisi ko hajj karwane ke liye paise diye ja sakte hain. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #53). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ky shadi sapahela hum hajj kr shekta h apna parents k sath
Answer: Jee han, Kar sakte hain. Fiqh e jafferia ke mutabiq hajj mai mehram ki koi shart nahi hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Manasik e hajj, Mafhoom e Maslah #60). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Umrah krny k liye ourat ko sirf white colour ka hi libas pehnna ha. K kisi b colour ka pehn skti ha? Like black Abaya.
Answer: Ehram main kale kaprhe pehenna makroh hay balkeh ahwat ye hay keh isay tark kar dain choonkeh ihraam main safaid kaprha afzal hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Manasik e Hajj, Masalah #195). [Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mein saudia mein ho on r qurbani pakistan mein hy. Kia baal katwa sakta hoon
Answer: Jee han, Baal kaatey jaa sakte hai koi maslah nahin hai. halat e ehram main baal ya nakhun kaatna haram hain.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0271/). [Updated on 15-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam me sted family say hon shia hon mera sawal yeh hai k kia larki bageir mehram k hajj pe ja dakti hai fiqa e Jaffrey me
Answer: fiqhe jafferia ke mutabiq jab aurat ( hajj) ke lie mustate ( yani hajj ki istetaat hasil hojaay ) or is ki jaan ko khatra na ho tu mehram (baap,bhai,beta,shohar ,chacha,mamo wagira ) ka sath hona shart nahi hai ( or ) agar jaan ka khatra ho tu zarori hay ke aurat ( ke sath) koi aisa shaks sath ho jis ki waja se aurat ki jaan mehfooz hojaay agrchhe is shaks ko ujrat dene perhe albatta aurat us shakhs ko ujrat dene per qudrat rakhti ho wrna is aurat per hajj wajib na hoga. (Ref : Ayatullah-Sistani(d.b), Manasik-e-Hajj urdu, Masla#60,Pg#51) [Updated on 10-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sheatan ko kankar mar kar wapus any ko kiya khety hy say yaa ramy
Answer: Rami e jamarat (رَمْیِ جَمَرات) kaha jata hai. or jamra(جَمْرَہ), jamarat(جَمَرات), or jimaar (جِمار) ye arabi zaban ke alfaz hain jin ka mana ' Aag ka gola ya kankari ke hain ' or deeni istelah men jamarat(جَمَرات) ya jamarat e salasa(جَمَرات ثلاثہ) sar zameen e mina(مِنا) men teen makhsoos jaghon ka naam hai jahan pathar ke sutoon bane hue hain. ise jamra(جَمْرَہ) is wajah kaha jata hai q ke yahan hajiyon ki taraf se shaitaan ke mujasame ki taraf phenkne wali kankriyan jama hoti hain ya is wajah se ke log is ke ird gird jama hote hain, or rami(رَمْی) se murad phenkna ya marna hai. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B1%D9%85%DB%8C_%D8%AC%D9%85%D8%B1%D8%A7%D8%AA ) [Updated on 02-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: حج کے لئے احرام کس دن بنایا جاتا ہے ہے
Answer: hajj k ehram ka waqt youm e tarwiya(8 zilhajjah) zawat ka waqt hay.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/62/2969/) [Updated on 23-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]