Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2578
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslam walikum Qmera sawal ye hai ager sawwal mahine me umra karliya to is per keya hukum hai log ye kahte hai ki ager sawwal men umra kar liya to hajj jaroori ho jata hai is per rosni dalden

Answer: Jee nahi aisa nahi hay balkeh hajj wajib honay ki khuch sharait hain: 1)insan balig ho. 2)aqil aur azad ho. 3)hajj par janay ki wajah say koi aisa na jaiz kaam karnay par majboor na ho jis ka tark karna hajj karnay say ziada aham ho ya koi aisa wajib kaam tark na hota ho jo hajj say ziada aham ho lakin agar is halat may bhi hajj par chala jay to ghunahgar zaroor hay magar hajj sahi hay. 4)isteta’at rakhta ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1994) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2708
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SALAM ALEKUM MEIN SAUDIA MEIN HOON MAKKAH SE 160 KM PAR MERA SAWAL YE HAI K KYA HAJJ KARNE SE PHLE WALIDEIN(PARENTS) SE IJAZAT LENA ZARURI HAI?

Answer: Baligh Shaks k haj k sahi honay main walidain ki ijazat mutlaqan zarori nahi hay. Laikin agar is k mustahab haj per janay se maan or baap main se kisi aik ko izyat ho maslan agar wo raastay main paish aanay walay khataraat se dertay hoon or is bina per onhain aziyat ho tu is shkas per haj k liay jana jaiz nahi hay.(Ref Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Manasik e haj, Maslah#7) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2868
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: nabi pak ne apni zindagi mai kitena haj kye/

Answer: Rasool e khuda ne 20 haj kiay thay.(Ref: wasailus shia, kiatab e haj, baab#45). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Id: 3049
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SALAM MERA SAWAL YE HAI K KIA MEIN BAGHAIR EHRAM K MAAKA MEIN DAKHIL HOSAKTA HUN JAB K MEINE PEHLE 4 UMRA AUR HAJJ B KARCHUKA HUN YEH SAWAL PHLE B KIA THA BUT ABHI TAK JAWAB MOSOUL NAI HUA. SHUKRIA

Answer: Makkah me balke haram me baghair ehraam k daakhil hona jaiz nahe hai jo shaks hajj k maheno k ilaawa in dono me daakhil hona chahe to is per mufrada ka ehraam bandhna wajib hai . ( ref: aqa sistani,manasiq hajj,pg:49,masla: 141,eidition 1996) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3234
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslame wqlekum mera sawal ye he k kya koi ledies apne sasur k sath haj par ja sakti he

Answer: Jee haan, aurat apnay surar k saath haj par jasakti hay. .( Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=846466&id=55&pid=2945 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3846
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia mian bv ki hmbstri jaiz ha umrah k sfr ma

Answer: Halat ahram (chahae ahram umrah ka ho ya haj ka) me Humbistri karna haram hai.(Ref : Manasik haj aqa sistani farsi masla no 209) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4501
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slam janab ma nay suna hai k jab zilhaj ka chand nazar ajay to jo shakhs qurbani ka irada rakhta ho jab tak qurbani na ker day apnay ball aur nakhun nahi katwa sakta compleat jawab dain shukria

Answer: Hajj k wajibat mai sai 6th wajib halaq yani sar mundwana aur taqseer yani kuch baal katna hai, is amal ko eid k din sai pehlay anjam dena jaiz nahi hai siway os shakhs k jisay khof ho lihaza is k lie ahwat ye hai k qurbani k janwar k hosool k baad anjam dai ahwat e awla ye hai k zibah aur nehar k baad anjam dai albetta eid e qurban k din k waqt sai aagay takheer na ki jae agar rima sai pehlay ya qurbani ka janwar hasil karnay sai pehlay bhool kar ya masla na jannay ki wajah sai halaq ya taqseer anjam dai to kafi ho ga air dubara anjam dena zaroori nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Manasik e hajj, maslah # before 403)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4502
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamualikum sir,mera sawal ye hay k agar koi zulhajj ke pahlay dino may ball katey qurbani say phlay,to os klye kia hukm hay,ya qurbane say phly ball katne ka kia hukam hay .jazakmullah kher.

Answer: Hajj k wajibat mai sai 6th wajib halaq yani sar mundwana aur taqseer yani kuch baal katna hai, is amal ko eid k din sai pehlay anjam dena jaiz nahi hai siway os shakhs k jisay khof ho lihaza is k lie ahwat ye hai k qurbani k janwar k hosool k baad anjam dai ahwat e awla ye hai k zibah aur nehar k baad anjam dai albetta eid e qurban k din k waqt sai aagay takheer na ki jae agar rima sai pehlay ya qurbani ka janwar hasil karnay sai pehlay bhool kar ya masla na jannay ki wajah sai halaq ya taqseer anjam dai to kafi ho ga air dubara anjam dena zaroori nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Manasik e hajj, maslah # before 403)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4506
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: EID UL AZHA PAR QURBANI SA PEHLAY BAL OR NAKHUN KATWANA FARAZ HAI YA WAJIB YA SIRF SAWAB KA KAM HAI

Answer: Hajj k wajibat mai sai 6th wajib halaq yani sar mundwana aur taqseer yani kuch baal katna hai, is amal ko eid k din sai pehlay anjam dena jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Manasik e hajj, maslah # before 403)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4633
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASSALAMUALAIKUM.... HAJ K LIYE JATE WAQT 4 SE 10 SAAL K BACHO KA HAJ KUBOOL HOTA YA NAHI????

Answer: 1)Mumaiyas bachay(achay buray mai faraq karne walay) k leye Haj karna mustahab hai aur is k haj k sahi honay me is k wali (baab,dada) ki ijazat sart hai. 2)wali (baab,dada) k leye mustahab hai k gair mumaiyas bache (achay buray mai faraq na karne walay) ko haj karae.(Ref : aqa sistani d.b , manasik e haj, masla # 6 & 8) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!