Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 13911
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr koi larki shadi nai krna chahti ksi sy b nai to islam ma kya ye jaiz ha k wo is bat pr hud fasla kary ya shadi zruri ha chahy wo nai krna chahti

Answer: Shadi karna takeedi mustahab hai (yaani aisa mustahab hai jis ki bohat ziada takeed ki gae hai) lekin agar koi shadi nah karne ki wajah say kisi haraam kaam mai mubtila hota ho tu us k liay shadi karna wajib hai agar aisi sorat mai shaadi nahi karta hai tu phir ye gunah hay. Agar larki khud raazi na ho tou nikah durust nahin hoga Q k nikah men larka or larki dono ka raazi hona shart hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatollah seestani, edition 41st, maslah #2335 point 5, 2407). (Note: Is ke elawa shadi karna wajib nahin hai, bake sirf takeedi mustahab hai,) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13912
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia main aik larki say chup kar nikkah karnay k bad dubara sab k samnay nikkah kar skta . Kia aisa jaiz hai?

Answer: (Note: Is website per Fiqh e jaffariya(Mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diay jaate hain). Aap ka pehla nikah saheeh nahin hai. Q ke Nikah ki sharaet main se aik shart ye hai k nikah karney k liye larki apne wali (yani baap ya dada) sai ijazat le aur agar un ki ijazat k baghair nikah kia jaaye tu wo nikah durust nahi hota. (Ref: Ayatullah seestani, Tauzeeh ul masail, edition 41st, maslah #2341). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13920
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bhen ki shadi nahi howi umer 50 sal hai kanwari hai kya unka baap ki property mai hisa banta hai

Answer: Shadi na hona meeras mai rukawat nahi bnay ga is liye beti (aap ki behen) choonkeh pehlay tabqe mai hai lehaaza unhein bhi meeras milay gi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2691). [Updated on 14-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13935
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alikum ... mjh py rishty ki bandish ki hui ha ksi ny... Plz koi wazeefa bta dein jis sy bandish khtm ho jaye r rishty k liye naik waseela paida ho jaye.... Jazak Allah

Answer: Misbaah kafhami main hay k agar kisi larki k liye kaheen se rishta nah aa raha ho tu sorah Taha ki ayat #131-132 ko kaghaz per likh ker bataur e taweez lerki k bazo per bandh dain .. insah Allah in ayaat k tofail oski jald shadi hogi. (Ref: Naeemul abraar, pg #328-330) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13948
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Walid ke mama ke beti se nikah kar sakte h

Answer: Jee han, Nikah kiya jasakta hai. kyun k wo aap k liye na mehram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah seestani edition 41st, maslah #2349). [Updated on 21-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13983
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aggr larka larki allah ko mante hoe nikha kre tu nikha hota hi k nhi

Answer: Note: Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Jee nahin, Is tarah nikah nahin hota. Aur sirf larke aur larki ka nikah par raazi hona kafi nahin hai balke nikah mai larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat na ho tou wo nikah bhi durust nahi hoga. aur is ke elawa nikah ki digar bhi sharait hain jin ka nikah ke waqt khayal rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2335,2341) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13993
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا امی کی چچا زاد بہن سے نکاح ہوسکتا ہے ؟ مطلب دور سے وہ لڑکی اس بندے کی خالہ لگتی ہے لکن اصلی خالہ نہیں بلکہ امی کے چچا کی بیٹی لگتی ہے۔براہ کرم راہنمائی فرمائیں ۔جزاکاللہ خیر۔

Answer: Jee han, Nikah kiya jasakta hai. kyun k wo aap k liye na mehram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah seestani edition 41st, maslah #2349,2353). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14014
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar jism per tattoo ho thou nikah qubul hota he in ya nhi?

Answer: Jee han, Nikah durut hai. Q ke tattoo ka nikah se koi taaluq nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, maslah #2335). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14015
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: nikah ke liye ladki se gavah online ijajat le to kya nikah ho sakta hai aour nikah ka khutba online sun ke pada ja sakta hai

Answer: Nikah main gawah ka hona zarori nahin hai, Aur phone per nikah kiya jasakta hai. (Ref: Ayatllah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2335). [Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14022
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu hz kya biwi ki mouth ke baad uski maa se nika ho sakta he

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se nikah kare chaahe us ke sath jima(Intercourse) na bhi kare to us aurat ki maan, naani, aur dadi sab auratain is mard ki mehram ho hati hain. (Yani in auraton se kabhi bhi nikah nahin kar kiya jasakta). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2350). [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!