Question: kya talaq yafta larki ka wali k bagair nikah jaiz hy? kya woh larki bigaar family ijazat kr nikah kr skti hy?
Answer: Agar lerki kanwari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kanwari nah honay say muraad sirf ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima (intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. lekin agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, maslah # 2341,2342) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr aurat Shadi sy phly zina kr laya or wo hamal b ho jaya mgr usko pta na ho aur wo kisi aur sy Shadi kr laya to kia Shadi jaz ho gi
Answer: Nikah saheeh hai. lekin jo zina pehle kia gaya tha wo gunah e kabira hay or is ki tauba karna laazim hai.(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30, Eidition 1439 hij). and Tauzihul masael, Mafhoom e Maslah #2328, 2364). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa sir app say aek masla discusse karna tha Agar larka aur larki appas main Allah aur us kay Rasool ( Saw) ko gawah bna kar aek dosary ko qabool kar lain to kia woh ik dosary kay nikah main hoon gay?? Rehnumaey farmaein JazakAllah Khair
Answer: Jee nahin, ye Jaiz nahi hai aur is tarh nikah nahin hota.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-2342). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar sharabi se nikah prha jaye to ho jata ha?
Answer: ( shia ) Sharabi ( mard) se nikah jaiz tu hay laikin aurat or os k wali(baap/dada)ke liay behter hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho.( Ref:A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 387) [Updated on 17-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia shohar dosri Shaadi kar sakta hay agar pehli biwi ijazat na dai?
Answer: Mard k liye ek waqt me 4 musalman aurato se shadi karna jaiz hai. ( maa , bap ya biwi se ijazat lena bhi zarori nahi hai.(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 200, Eidition 1417 hij). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Abou ki dosri bewi ki batti ki batti sy shadi ho sakti hai
Answer: Agar aap ki sotaili ammi ki baiti kisi or baap se paida ho thi tu wo aap k liay na-mehram hay or os ki baiti bhi aap k liay na-mehram hay or aap os se nikah kar sakte hain.(Ref: Minhajus saliheen, Ayatullah sistani, maslah#155-188) [Updated on 16-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr aik shakhs ne sharab p li ho or uske kuch din bad uska nikah ho to kia wo nikah hojaiga? Please guide me regarding this
Answer: sharab peena haraam hai or gunahan e kabeera mai sai aik hai lekin nikah durust hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 01-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar kisi ladka aur ladki mohabbat may Zina kardete hi, aur Allah se maafi talab karke, tauba karlete hi.. Aur uske baad wo log nikah karke haraam ko halal karsakte hi kya?
Answer: 1: Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai Q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. Albatta Islam pasand ki shadi se mana nahi karta.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69). 2: Zina haram aur gunahan e kabeera mai sai aik hai.(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1439 hij). 3: Zina ka kuffara sache dil se toba karna hai lehaza Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura no 66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baarga main toba kijiye.(Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37). 4: Tauba ka sahi mafhom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain. Yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem hai.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). 5: Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zian kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo shaks is aurat k tauba karne se pehle os se shadi nahi kar sakta. (Ref: (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2364 ). [Updated on 04-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hum ny muta Kia or mudat ya Rakhi k JB tak daimi nikah nhi hota tab tak ab Syd hmara nikah kch arsey MN ho jye tu Kia mudat bakhsne ho gi ya daimi nikah aise ho jye GA? Ya koi idaat ki zarort h ?
Answer: Agar aap ne tahqeeq kerli or aap ko pata nahi chala k larki k walid ki ijazat zaruri hoti hai to is surat men imkaan hai k ap gunahgar na hon, albtta jese hi apko ilm hojaye to aap k liay zaruri hai k us mard se juda hojaen, or aap k liay zaruri hai k 3 haiz tak intazar(iddat) karen, us k baad nikah ker sakti hain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 567, Eidition 1417 hij). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA! Agar begair humbistri k talaq ho jae or agr 1 sal bad wo dobara shadi krna chahen tu kia asa mumkin ha..
Answer: Jee han, Dobara shadi karna chaen to kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 39th edition, maslah #2475). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]