Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 13799
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Mera Question ya ha k kya ghusal faraz ho or apka Nikah ho to kya nikah ho jata ha mtlb 3 dfa qabool kehny sa.Pta ni mera Question theek ha ya ni pr mujy es ka hwaly sa guide kijeay ga.

Answer: maktab e jafferia mai 3 dafa qubool karne sai nikah durust nahi hota balke laazim hai k nikah k seeghay arbi mai adaa kiye jaayen wagaira ...........lekin janabat ki haalat sai paak hona zaroori nahi hai us haalat mai bhi nikah hojye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13808
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Larki ki bemari us ki majburi haw us k ilaj k liy wo us mard k sath chup k nikah kar sakti hae jis ne us k ilaj ka kharcha uthana haw .kia un ka ek dosry ko hath lagana halal ho ga ya haram???

Answer: 1: Jee nahi, is tarah sai nikah durust nahi hota nikah ki sharaet main say aik hay k larki k wali yaani baap ya dada main say kisi aik ki ijazat lay or is ijazat k baghair nikah ho tu wo durust nahi hai. 2: Nikah se pehly mard aur aurat apas men na mehram hain, aur na mehram ka aik dosre k jism k kisi hissay ko choona haram hai, chahe lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahe baad mai shadi hi Q nah karni ho, ye tamam chizen jaiz nahin hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #41st, maslah #2341,2397) [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13838
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o Alikum mera question ye hy k kya zat ya baradri sy bahir shadi krna jaiz hy is me koi mumaneyat to nhi ?

Answer: Muslman mard muslman aurat ka kufu(equal, barabar) hai aur momin mard momin aurat ka kufu hai isi liye Islam mai aik musalman ki doosray musalman sai shadi ho sakti hai is mai bradri ka koi amal dakhal nahin hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part #3, Maslah #221). [Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13857
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya koi larki ak nakha ke uper dusra nekha kar sakta hai bena pahle shoher se talaq leye ager koi larki ak nakha per dusre nakha kare to kya us ki pahla nekha tut jata hai or ager dusra nekha kare to kya us ka dusra nakha hoga ?? Plz ans

Answer: Agar aurat kisi shaks k nikah main ho tu os k liye doosra nikah karna haram hai lehaza doosra nikah durust nahi hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2366). [Updated on 09-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13859
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia soteli behan ki beti say nikah ho skta hay baap ik ho or maa alag

Answer: Agar aap dono ki maan aik hay ya dono ka baap aik hay to ap os ki beti say shadi nahi kar sakte Q ke is hisab se wo aap ki bhanji hogi. (Ref: Aayatullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part #03, Mafhoom e Maslah #90) [Updated on 11-Jan-2021 :: Khu/da aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13867
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere Abba ki sagi khala ki ladki se mera nikah ho sakta hai

Answer: jee nikah hosakta hai kyun k wo aap k liye na mehram hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13870
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa . Mera sawal hai ke agar aik larka larki Mazak Mazak main aik doosray ko qabool hai 3 times bol dein jab ke wahan na koi gawah ho , na unki nikkah ki niyyat ho , na unke parents ko pata ho aur yeh sirf Mazak ho toh Kya nikkah hota hai ke nahi ?

Answer: Jee nahi is tarah nikah sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341). [Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13879
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar kisi ne past me sharab pi ho lekin kuch saloon se chor chuka ho, aesay shaks se beti ka rishta kiya ja sakta hai?

Answer: Agar rishta mangnay walay ki diyanatdaari aur akhlaq pasandida hoon tu behtar yeh hai k rishta denay se inkar nah karay. Paighambar s.a.w se riwayat hai k; "jab bhi koi shakhs tumhari larki ka rishta mangnay aae aur tumhain us shakhs k akhlaq aur diyanatdari pasand ho tu apni larki ki shadi us se kar do agar aisa nah karo gay tau zameen per bohat bara fitna phail jaey ga". (Ref: Tauzihul masail ayatullah sistani masalah #2423) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13892
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Chori nekha karna jaiz hai kya larki Razamand hai larki k maa baap nai hai is duniya me bahi hai ounsy wo izhaer nai kr sakti pasand ki shadi ka

Answer: (Note: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain). Nikah karne k liye kuch sharaet hai jin ka khayal rakhna zaroori hai. Nikah mai ye concept nahin k sub k saamne qubool kar liya to nikah ho jaya ga balkeh nikah mai seeghe parhe jaatey hai, doosri baat jo larki balig or kunwari ho agar wo shadi karna chahey tou zaroori hai k wo apne baap ya daada sai ijazat lay Agar baap ya dada dono moujood nahi hai tou phir bhai sai ijazat lena lazim nahin hai aur larki ko ikhtiyaar hai wo apni marzi sai shadi kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, 41st edition, maslah #2335,2342) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13896
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ha k agr kisi ny zinna kr lya or wo dono nikkah bhi krna chahty ho pr ghr wly istakhara krna zarouri smjhty hain or agr istakhara unky haq m nhi ata tu es situation m kiya krna chahya plz must answer this

Answer: 1: Zina haram aur gunahan e kabeera mai sai aik hai. aur dono par tauba karna lazim hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #1, Eidition 1439 hij, Maslah #30). 2: Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo shaks is aurat k tauba karne se pehle os se shadi nahi kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, 41st edition, maslah #2364 ). 3: Istikharay per amal kerna wajib nahi hay. Laikin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahin is liye k baaz auqaat(some times) istikhaaray ki mukhaalefat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay. or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay, siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3, sawal #112,113. & part #4, sawal #203,204. & jadeed fiqhi masail, maslah #583) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!