Question: Agr koi non serious kanwara larka kanwari larki ko phone pr binah gawah k 3 bar qabool kahy tu kia nikah ho jata hau
Answer: Is tarh Nikah nahin hota. Balke Nikah karne k liye kuch sharaet hai jin ka khayal rakhna zaroori hai. Nikah mai ye concept nahi k sub k saamne ya phone par qubool kar liya to nikah hogaya balkeh nikah mai seeghe parhe jaatey hai, doosri baat jo larki baligh ho kunwari hai or zindagi k umoor apne ikhtiyaar sai anjaam na deti ho tou agar wo shadi karna chahey tou zaroori hai k wo apne baap ya daada sai ijazat le balkeh agar zindagi k umoor apne ikhtiyaar sai anjam deti ho tab bhi ahtiyat e wajib ki bina par apne baap ya dada sai ijazat le. lehaza Is tarh nikah nahin hota Q k ye nikah apni sharait par poora nahi utarta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail edition #42, maslah #2335,2341 ). [Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.A sir agr nikah k bd phir usi mrd sy nikah krna ho tlak k bina to ho jay ga ? Pehla nikah chori kia ho phir sb k samny ho rha ho esy nikah ho jay ga??
Answer: Pehla nikah saheeh nahin hoga, Q ke Sirf larke aur larki ka nikah par raazi hona kaafi nahin hai balke nikah mai larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat ka hona bhi zaroori hai. aur agar ijazat na li ho tou wo nikah bhi durust nahi hoga. aur is ke elawa nikah ki deegar bhi sharait hain jin ka nikah ke waqt khayal rakhna zaroori hai. lehaza dobara nikah kiya jaye ga wo bhi larki ke wali (baap,dada) ki ijazat ke sath. aur agar dobara nikah bhi wali ki ijazat ke bager kiya jaye to nikah saheeh nahin hoga. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul asael, Edition #42, maslah #2334,2335,2341) [Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.a mera sawal yeh hai kay agar nikah namay pe molvi k signature na houn tou kia nikah ho jata hai?
Answer: (Note: Is website mai fiqh e jafaria ( mazhab e shia ) k mutabiq jawabat diye jatay hain. 1: Nikah main sigah (nikah k bool) perhna zarori hai aurat aur mard ka faqat razi hona aur isi terh nikah nama likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nhi hai. Aqd e nikah ki kuch shrait hain jin mai sai kuch ye hain. 1, Ehtiyaat e wajib he nikah ka sigah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana lazmi nahi hay. 2: sigha parhne wala aqal mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he. 3: ye k merd or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada) rakhte hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #2328+2335). [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera nikkah hogya hai 2sal bad ruksati hogi ab kia mai apni bv k sath sex or Baki sub kch kr skta ho ye jaiz hai ya na jaiz
Answer: Sigah nikah k zariye mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai ( yani mian biwi wale talukat qaim ker sakte hai ) .( Aur nikah k baad rukhsati hona zaroori nahin hai ) (Ref : Ayatllah Sistani(d.b.), Tauzeeh ul masael, before Masla 2328) [Updated on 22-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ek baligh larki ka ek na baligh larka k sath nikah ho sakta hy???
Answer: 1: Jee han, Jaiz hai. Q ke Shariat k aytebaar se larka aur larki ki shadi k lie koi umar fix nahin hai lehaza choti umer me bhi shadi ho sakti hai aur bari umer me bhi shadi ho sakte hai. aur shadi k lie behtreen umar wo hai k jis umar me zindaghi ki zimmidaria nibha sake. 2: Larkay kay baaligh hony ki alamat teen(3) chezon main say aik hoti hai: 1. Naaf kay neechy aur sharam gaah se oopar sakhat baalon ka ugna. 2. Mani ka kharij hona. 3. Qamari(chand ke lihaz se) 15 saal pory kerna. Aur Larki main baaligh hony ki alamat yeh hai kay wo Qamari(chand ke lihaz se) 9 saal pory kerlay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, maslah #2343,2215). [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera ek swal hy k Kia khd mukhtar larki Jo kanwai na ho usy mutta k leye Wali ki ejazat zarori hy ? Kia us k bna mutta nhn ho skta? Dosra swal kia mutta k baad usi larki sy daimi nikah krny mein koi conditions hein?
Answer: 1) Jo larki kunwari na ho usay muta k liye wali ki ijaazat laina zaroori nahi hai. 2) Je agar usi larki sai daaimi nikah karna ho tu agar muta ki muddat khatam hogayi ho tu dobara nikah k seeghay jaari karnay honge or agar muddat baqi ho tou shohar ko chahye k baqya muddat baksh de or nikah e daaimi k seeghay jaari karay. Ref:(Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2342,2396). [Updated on 11-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia khd mukhtar larki ko muttah k leye wali ki ijazat ki zarorat hy? Dosra swal ka usi larki sy mutta k baad daimi nikah k leye koi shart hy?
Answer: 1: Khud mukhtar honay sai yeh muraad hai k larki apne faislay khud karti ho apna kharcha wagaira khud uthati ho ( yaani apne baap dada se alag ghar main rehti ho) to Agar aisi larki jo khud mukhtar ho lekin kunwari bhi ho to ( nikah ya muta ) ke liye Ehtiyaat e wajib ki bina yahi hukum hay keh wo apny baap ya dada se ijazat lay. Han agar larki kunwari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zarorat nahi hay. ( yahaan kunwari nah honay say muraad sirf ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay uskay saath hambistari / jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho. aur agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam howa ho tu ye kunwari hi kehlaay gi ). 2: Muta nikah ki aik qism hai, or in dono ki sharaet bhi aik hi hain magar ye k Muta k sahi hone main muddat(time) or meher ka muayyan karna shart hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah before #2328,2335,2341,2342). [Updated on 13-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maine apna shohar s Court k zariya s khula la l ha. Lakin unhe pta nhi tha iss sbka ab pta chala ha tw wo mujha bht mnaa rha hain bachoo k kharcha poora nhi krta tha tw kiya m ab wapis ja skti hoon
Answer: Fiqh e jafferia mai court sai talaq sahi nahi hoti, or aap log sath reh saktey hai aap ka nikah barqarar hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41, Mafhoom e Maslah #2462 to 2472). [Updated on 13-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اسلام علیکم میرا آپ سے سوال یہ ہے کہ سوتیلے بہن بھائ آپس میں شادی کر سکتے ہیں یا نہیں.. اگر انکا باپ ایک ہو اور ماں الگ الگ ہوں تو
Answer: wsalam. Ye Nikah nahi hosakta Q keh wo dono aik baap doosre k liye mehram hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 15-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: جس لڑکی سے ہم شادی کرنا چاہتے ہیں، اسکا چہرا، اور بال دیکھنا کیا جائز ہے؟
Answer: Mard shadi se pehlay is aurat k maqamaat e husn ko dekh sakhta hai ya is sai hum kalam ho sakhta hai jis ka rishta lena chahta hai. Is bina per isi khatoon ka chehra, is k baal, gardan, haatheliyaan, pindliyaan, kalaiyaan aur is qism k maqamaat e husn ko dekhna haiz he magar shart ye hai ke is nazar ka maqsad jinsi lazzat hasil karna na ho. (Ref: Jadeed Faqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #390, pg #233) (Note: Is shart ke sath dekha jaye to jaiz hai. lekin is shart ke bager dekhna jaiz nahin hai ). [Updated on 20-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]