Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 14023
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aik shadi shuda Mard Kia apni bewa saali se nikha kr skta ha ? Q k bewa saali meri bhabhi b ha mere bhai ki death ho gi us ki 2 daughters b ha is mamly me muje guide kijaye ga

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi kare to chahe wo nikah daimi kare ya mutaa kare to jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakta. (Ref: Tauzeeh ul masail, ayatullah seestani, edition #42, maslah#2355) [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14024
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aik shadi shuda Mard Kia apni bewa saali se nikha kr skta ha ? Q k bewa saali meri bhabhi b ha mere bhai ki death ho gi us ki 2 daughters b ha is mamly me muje guide kijaye ga

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi kare to chahe wo nikah daimi kare ya mutaa kare to jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani, Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah#2355) [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14027
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya aik khufia nikkah k bad usi shakhs se subky samne dobara nikkah krskty ha

Answer: Pehla nikah saheeh nahin hoga, Q ke Sirf larke aur larki ka nikah par raazi hona kaafi nahin hai balke nikah mai larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat na ho tou wo nikah bhi durust nahi hoga. aur is ke elawa nikah ki deegar bhi sharait hain jin ka nikah ke waqt khayal rakhna zaroori hai. lehaza dobara nikah kiya jaye ga wo larki ke wali (baap,dada) ki ijazat ke sath. aur agar dobara nikah bhi wali ki ijazat ke bager kiya jaye to nikah saheeh nahin hoga. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul asael, Edition #42, maslah #2334,2335,2341) [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14030
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Kisi Shaks k pas istaat ho nikkah ki lakin phir bhe na kare aur gunah bhe na kare apni kisi masrofiyat ki waja se to is surat e hal m nikkah ka na krna istaat hone k bawajod to koi gunah to nhe hoga?

Answer: Nikah karna mustahab hai lehaza agar koi gunah se mahfooz rehe or nikah nikah nahi kare tu gunehgaar nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#3& 4, eidition 1439). [Updated on 01-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14045
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam me shia hun or me eak sunni larky.ko 7 saal Sy pasand krti hun kiya ussy nikah krty wakt yea zarori he ke molana 2 ho or shia ho dono

Answer: Shia larki ka sunni larkay say nikah karna agar wo naasbi (yani wo log jo aaimma(a.s) say bugz or dushmsni ka izhaar karain) na hon tu makroh hai or agar naasbi hon tu un say nikah karna haram hai. or agar sunni say nikah karnay main gumrahi aur mazhab ke tabdeel hone ka khatra ho tu haram hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen, Part #3, Maslah #215) [Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14052
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa agar kisi ny kawari larki k sath zina kia ho our larki pregnant ho to us halat main nikah ho sakta hai un ka ya delevery k bad nikah jaiz hai?

Answer: 1: Zina haram aur gunahan e kabeera mai sai aik hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen, Part #1, Eidition 1439 hij, Maslah #30). 2: Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo shaks is aurat k tauba karne se pehle os se shadi nahi kar sakta larki k taubah k baad fauran nikah kia ja sakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #2364 ). 3: Zina ka kuffara sache dil se toba karna hai lehaza Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura no 66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baarga main toba kijiye. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg #37). 4: Tauba ka sahi mafhom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahin dain gay. or hamaisha ye yaad rahe k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain. Yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem hai. (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). 5: Larkay ko nikah k liay kisi ki ijazat lena zaroori nahi hai. or kunwari larki jo khudmukhtar nah ho agar wo nikah karna chay tu os ka nikah k liay baap ya dada ki ijazat lena zaroori hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#2341) (Note: Tauba ke baad Larki baap ya dada ki Ijazat se usi halat men nikah kar sakti hai ). [Updated on 06-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14058
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaiku sir kisi larki se mohbat ho or galti se uski maa se zinah hojai kia us larki se nikah jaiz he .shea firqa

Answer: 1: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay ye jaiz nahi hai Q ke gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai. (Ref: nigah aur libas, sawal #106, pg #69). 2: Zina aik gunah e kabeera hai lehaaza lazim hai k zina karne wale khuda sai tauba karain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus saliheen, part #1, maslah #30). 3: Agar koe shaks apni phophi ya khala k alawa kisi or aurat se zina kare tu oski baiti k sath nikah karna jaiz hay. Albtta ehtiyaat e mustahab ye hay keh shadi na kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail 42 edition, maslah #2361). [Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14062
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir ek aurt se zinah ho gai he or ab mere ghar wale uski beti se shadi karwa rahe hn shadi ki ijazat he uski beti se

Answer: Agar koi shaks apni khala ya phuphi k ilawa kisi or aurat sai zina karay tu ehtiyaat e mustahab hai k us ki beti sai shadi nah karay. (yani behtar hay k us se shadi nah kare). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail edition #42, maslah #2359,2361). [Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14063
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Halat e haiz ma nikha ho sakta

Answer: Periods(haiz) ki halat mai nikah to ho sakta hai lekin shohar aur biwi dono jiam(intercourse) nahin kar saktay hai, Q ke Halat e haiz mai jima karna mard aur aurat dono ke liye haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail edition #42, maslah #2335,448) [Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14067
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar kisi ladki se zina ho gya aur usne mujhe bataya ki wo zina ki hai ab mai usse nikah krna chahta hu to kya mai usse nikah kr skta hu

Answer: Jee han, Aap us se nikah kar sakte hain. Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zaani (zina karne wala) is aurat k tauba karne se pehle is se shadi nahi kar sakta. Laikin zaani k alawa koe doosra shaks is aurat k tauba karne se pehle os k sath shadi karna chahay tu koe ishkaal nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #2364). [Updated on 10-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!