Question: Kya main khalazad bhai ki Beti se nikaah kar sakta hu ?
Answer: jee wo aapki na mehram hai lehaza agar deegar tamaam sharait poori hai tou nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 08-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia mobile py nikhah ho skta ha beghair bap ki ejazat kay
Answer: phone call par nikah tou hosakta hai lekin ghair mustaqil kunwari larki ki wali (baap ya dada) ki ijaazat zaroori hai is k bagahir k nikah durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341). [Updated on 09-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aagar larki walid ki ijazat sy 3 dafa qabool ha bol dy to kya uska nikkah us larka sy ho jae ga? Rahnmaie Farmaen Jazakallah
Answer: maktab e jafferia mai is tarah nikah durust nahi hota balke laazmi hai k tamaam sharait ko mad e nazar rakhte howe nikah k seeghay sahi arbi mai add kiye jaaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 12-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr larki khud mukhtar ho lakin kawari ho to kiya mutta kr skti hai baghair baap ki ijazat k?
Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina khud mukhtaar kunwari larki k liay bhi yahi hukum hy keh apny walid ya dada se ijazat lay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #2341). [Updated on 16-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sayed larki gair sayed larky se nikah kr skhti h? Kia ye jaiz he?
Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi tarah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Mafhoom e maslah# 221). [Updated on 17-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia shia Syed larki k 2 nikah ak he larky sy jaiz hein? Larka suni hy, tooo nikah aik suni moulvi sy ho or ak shia Allama sy jaiz hy?
Answer: Jee is main koe haraj nahi hay, nikah ho sakta hai. albatta lazim hay k har sorat main nikah shia wala hi parha jaey Q k shumaar jo hoga wo faqat shia wala nikah hi hoga. Q k sunni nikah main wo sharaet nahi hoti jo aik shia nikah k liay zaroori hain. Aur sunni nikah karnay k baad larki halal nahin hoti. (Ref: Tauzaaeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah # 2328 to 2344) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nikkah czn
Answer: Mehram wo qareebi rishta-daar hotay hain jin se kabhi nikah nahi kia jasakta maslan aik aurat k liay mehram afrad os ka baap, bhai, beta, chacha, mamo, bhatija, bhanja, susar hain. Is ke elawa se nikah kiya ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh-ul-masail, maslah #2349). [Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Mera sawal h... Kia bhai ki beti sy nikah jaiz h? Ya koi larki apny mamu ya chachu sy nikah kr skti h?
Answer: wsalam. jee nahi bhai ki beti apne chacha k liye mehram hai isi tarah larki k liye mamu or chachu dono mehram hai or mehram sai nikah nahi kia jaa sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia lrka larki shadi se pehly ik dusre ky qareb aa skhty hai? Jb k wo shadi ka irada b rkhty hon
Answer: 1: Nikah se pehly mard aur aurat apas men na mehram hain, aur na mehram aurat k qareeb hona us k jism k kisi hissay ko choona ya os ka bosa(kiss) laina ya gale lagana haram hai, chahe lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahe baad mai shadi hi Q nah karni ho, ye tamam chizen jaiz nahin hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #39, maslah #2397). [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar ek larka quran pr hat rakh kar ksi lrki sy kahy k me tmhy bv manta hun or bd me likh kr dey k me tmhy bv manta hun or ye amal 3 bar kry matlb 3 bar dohraey or lrki jwab me 3 bar kahy qabool hao to kia ksi gawah k bina nikah hojata hai ya naj
Answer: maktab e jafferia mai is tareekay ka nikah durust nahi hai kyun k nikah ki sharait mai sai hai k nikah k seeghay arabic mai adaa kiye jaayein or larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]