Question: Kya badi behen se pehle chote bhai ki ya choti behen ki shadi jaiz hai?
Answer: Jee han, Yeh shadi jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2335). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اسلام علیکم۔میرا سوال یہ ہے کہ کیا نکاح نامہ کے بغیر مولوی صاحب لڑکی لڑکے کے والدین کے ساتھ نکاح کر سکتے ہیں
Answer: Nikah namay ka shariyat sai koi talluq nahi hai agar nikah mai tamaam sahrait moujood hai jese larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat hona, seeghay ka sahi arabic mai adaa karna wagaira wagaira tou nikah durust hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341,2335). [Updated on 02-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kawari larki jis k baap dada dunya ma na ho wo nikah e mutta k lea begarh ijazat nikah kar sakti ha?
Answer: Jee bilkul jis larki ka wali zinda nah ho tou wo baghair ijazat k nikah kar sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2342). [Updated on 02-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamo alaikum Na mehram k sath beshak muhabbat jaiz nahi lekin jab koi shaks ussy nikah ka irada rakhta ho to parents mna kr dety h. Ky larki syed ni hai. Isky bary me kia hukum h larka maa bap k faisly k khilaf ja skta h ?
Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Mafhoom e maslah# 221) Kisi merd or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat kerna jaiz nahi hay. Haan aap faqat os k ghar nikah ka paighaam behjh sakte hain or dua ker sakte hain. (Ref : Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamoalykum Mera Naam Nilofar h Meri Umar 30 saal h mere rishte nahi aarhe h rukawat h koi wazifa btaye
Answer: 1-Rasool e akram ne farmaya: Surah yaaseen ki tilawat kiya kare is me 10 barkate hai (us me se aik ye hai k ) jin ki shadi nahe hoi hai wo shadi shuda ho jaay ghe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18). 2-Misbah e kafami mai hai k agar kisi larki k liay rishta na aa raha ho tu surah e taha ki ayat#131 or 132 ko kaghaz par likh kar bator e taweez apne bazu par baandh lain inshallah jald us ki shadi hogi.Ref:naeem ul amaal page no 325). [Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr nikah k waqt 'qabool hai' na pocha ho sirf signature karva lye hon to kya nikah theek hai ?
Answer: (Note: Is website mai fiqh e jafaria ( mazhab e shia ) k mutabiq jawabat diye jatay hain. 1: Nikah main sigah(nikah k bool) perhna zaroori hai aurat aur mard ka faqat razi hona aur isi terh nikah nama likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahin hai. Aqd e nikah ki kuch sharait hain jin mai sai kuch ye hain. 1, Ehtiyaat e wajib he nikah ka sigah sahih arabi me parha jaay, or agar khud merd or aurat sigah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana lazmi nahi hay. 2: sigha parhne wala aqal mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he. 3: ye k merd or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada) rakhte hon. 4.Nikah mai larki or larkay ki razi hona zaroori hai is k ilawa larki k wali yaane baap ya dada ki ijaazat zaroori hai wagaira...(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, maslah #2328,2341,2335). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya nikah k bd hubby wife mil skty hain or jinsi relation rakh skty hain?
Answer: Jee han, Dono nikah k baad hasband o wife hain aur jinsi relation rakh sakte hain, lekin agar riwaaj ye ho ke jab tak ruksati nahin hoti us waqt tak larki apne aap ko apne shohar ke liye pesh nahin karti, is tarah ke is ko goya ik zimni shart samjha jata ho to phir aurat par apne is shohar ki is muaamle main itaat wajib nahin hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, masala #150). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalaun alaikum mera question yeh hai ke, Agar mai ek shia sayyad hu aur kisi sunni se shadi karna chahti hu to usey jayaz kaise kiya jae jabke shadi ke baad bhi mai shia hi reh sakti hu according to their family?
Answer: Shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) [Updated on 14-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ky chup k nikah krne k bad usi insan se duniya k samne kch sal bad nikah krskhte hai ...
Answer: nikah ke sahe hone ki chand shartain hain agar un ki reaayat na ki jaay tu nikah sahe nahe hota jin me se aik ye hay ke Kanwari or rasheeda lerki agar niakh karna chaae tu us ko apne baap ya dada se ijazat lena zarori hay .balkeh agar lerki apni zindagi k kamo ko khud mukhtari k saath anjaam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hay k baap ya dada ki ijazat li jaay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2333-2342). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir kya kisi Larki k boobs ko choosna aur us k boobs ko pyar karna Zina mein ata hai
Answer: mard ka kise namehram aurat ke jisam ko choona or lazzat ke sath us ke jisam per nigah daalna haram hai( laikin agar intercourse nahe hoa hay tu ye zina shumaar nahe hoga albatta guna hay) jo shaks shadi na karne ki wajah sai haram fail mai mubtila hota ho tu us par wajib hai k shaadi kar lay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2401, 2407) ( Kisi merd or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat kerna jaiz nahi hay. Haan aap faqat os k ghar nikah ka paighaam behjh sakte hain or dua ker sakte hain. (Ref : Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69) [Updated on 15-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]