Question: Dosri shadi ki ha pehli wife chali gye ha wo kehti ha disri ko choro tb aungi per ma dosri b ni chor skta pehli se bhoot muhabbat ha.. Ma bhoot preshan hun uski bhene beach ma aa gye hen jo bhoot khatirnaak hen
Answer: Islam men Mard par 4 shadi karna jaiz hai, chahay uski biwi ijazat nah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), minhajus saliheen part #3, maslah #202). Aik musalmaan biwi ko apne shohar ko dosri shadi karne se nahi rokna chahiye Q ke Riwayat ki roshni main mard ka aik se ziyada shadiyan karna Allah Taala ko pasand hai. (Ref: Nigah aur libas, sawal #106, pg #69). (Note: Aap apni pehli biwi ko in masail se agah karen aur unhen samjhain ke Jab Islam dosri shadi ki ijazat de raha hai to aap Islam ke hukum ki mukhalifat Q kar rahi hain ). [Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa kia aik larka larki zana kr chuke hn aur toba kr lein tu aus ke bd dono nikkah kr skty hain??
Answer: 1) Zina kerna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) 2) Agar koe shaks kisi bay shohar aurat k sath zina kare or wo aurat iddat main bhi nah ho, Aur baad men us sai shadi karna chahae to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) 3) Agar koi shakhs aik aisi aurat se zina karey jo rajaee talaq ki iddat ghuzar rahi ho to ethiat e wajib ki bina per wo aurat us per haram ho jati he. . (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232) [Updated on 20-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum mufthi saab, Mera sawal hy ki mere khala ki pothri se (yaani khala ke beta ki beti)pyar kiya hy ,kya us k sath nikah karna jayiz hy ya haram.please clarify
Answer: Aap ke liye apni khala ke bete ki baiti se nikah karna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349), kisi dosri namehram larki se mohabbat o dosti jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) [Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia mutta main esi koi condition ha jis main walid ki ijaazt zruri na ho ?
Answer: 1) Kanwari or rasheeda lerki k baap ya dada ka is nikah per razi honay ka ilm ho.balkeh agar lerki apni zindagi k kamo ko khud mukhtari k saath anjaam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hay k baap ya dada ki ijazat li jaay. Agar in sharait ka khiyaal nah rakha jay tu nikah sahi nahi hoga (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2333-2342). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alaikum sir kya koi larki 1 larky ko apni hijab wali photos send kr sakti ha jisy wo pasand krti 2no razi hn shadi krna chahty hn ? Kya ya jaiz ha ? Video call kr sakti ha ? Baat kr sakti ha ? Kindly rehnmaei farmaein
Answer: Kisi merd or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat kerna jaiz nahi hay. Haan aap faqat os k ghar nikah ka paighaam behjh sakte hain or dua ker sakte hain. (Ref : Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69). [Updated on 16-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AoA kiya 2 eido k darmayan nikha kiya ja skta ha? Aksar hmry han Isk0 bthr nae smja jata. Plz rehnami farmay. Jazak_Allah
Answer: Jee bikul ain ayyaam mmain nikah kiya jasakta hai. Albattah qamar dar aqrab ya jab chand mehaaq(chand ki akhri teen tareekhain jin main chand chup jata hay 27, 28, 29) me ho tu nikah karna makhrooh hay.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, maslah #3). [Updated on 28-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.A plz mjy Guide kr dain k Bachpan m mai nay larki kay bhai ko naga dika our phyicaly sirf hath c toch kia bss tou kia m oski bhn c shadi kr skta ho
Answer: Jee han, Aap ka us ki behn se nikah karna saheeh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349,2369). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Papa ki chacha ki bety se me nikha kar sakta hu
Answer: Jeen han, Nikah karna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2349,2353). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA..! Agr Nikah ho jata ha or Nikah k darmiyan hi haq mahr adda kr diya jata ha to kia husband wife hambistari kr sakty han.
Answer: Sigha e nikah k zariye mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai (yani mian biwi wale taluqat qaim ker sakte hai). (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Before Maslah #2328). [Updated on 03-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya ladka ki marzi ke bina uska nikah pakka karna jaiz hai aur agar woh iss nikah ko na kare toh kya isme usey maa baap ka dil dukhane ka gunah milega
Answer: Larkay or Larki dono ka izdawaj par razi hona zaroori hai agar in main sai kisi aik ko bhi nikah k liye majboor kia jaye or wo baad mai bhi wo is nikah sai raazi na ho to wo nikah sahi nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2339). [Updated on 03-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]