Question: kya shadi ki pehli rat biwi k periods nah hon to phir hambistri krna zruri hota ha? boht se log kehty hn k periods nah hon to hambistri zruri hoti ha nahi to walima jaiz ni hota
Answer: Shadi ki pehli raat hambistari karna wajib nahin hai. Albatta shohar k liye jawan biwi sai 4 mahine tak humbistri na karna haraam hai siwaey is k keh biwi is baat sai raazi ho, Aur waleema humbistari sai pehle ho ya baad mai ho is sai koi farq nahin parhta. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382). (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Maslah #4). [Updated on 28-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr nikah k waqt dulhan k dil me koi dusra mard ho to kya wo nikah maani jayegi?
Answer: nikah ke sahe hone ki sharaait me khuch ye hain: 1: larki or larka nikah per raazi ho . hah agar bazaahir napasandedghe ka izhaar kare or maloom ho ke dil se raazi hain tu nikah sahe hai . 2:agar aurat or mard ke vakeel sigha perh rahe ho to wo nikah ke waqt aurat or mard ko moaiyan kare maslan in ka naam le ye in ki taraf ishara kare Agar kisi aurat ka nikah kisi merd se is ki ijazat k baghair ker diya jay or baad main aurat or merd is nikah ki ijzat day dain tu nikah sahi hay. Ijazat k liay koe aisi baat kahain ya koe kaam aisa anjaam dain jo rizamandi per dalat karay tu kafi hay. agar tamaam sharaait nikah ke sath nikah hoa hai tu nikah sahe hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2335, 2338) [Updated on 28-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam ! Many ak jaga rishta bheja hy unho ny istikhara bhi karwa leya hy or istikhara bhi acha aya hy unho ny Han bhi kar di but ab date final karny ky ley wo mera jawab nahi dy rahy koi wazifa batain.
Answer: Apki mangni ho gai he, ap shadi ke lie is wazife per amal kar sakti hen. 1). Rasool(saww) nay famaya: aay Ali a.s surah e yaseen ki tilawat kia karo, is main 10 berkatain hain(in main say aik ye hai k)ghair shadi shuda,shadi shuda hojaega.(Ref:book dunya-o-akhirat ki 100 pareshanio ka hal pg#18) [Updated on 23-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya nikah mutah bazaru aurat k sath ho skthy hai.jo apna jism bhejthy hu or mujh sy hunay ka khatra ho.
Answer: Jo aurat zina kaar mashoor ho to ehteyat e wajib ki bina per os aurat k toba karne se phele is k saath nikah e daaimi ya muta karna jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2364) [Updated on 25-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri shadi hui or shadi k bad wife sex k liye ni manti thi....20 din bad me bhr chala gya....bgair sex hue kia hmara nikah kaim rah ske ga.... kindly reply
Answer: 1: Jab tak shohar apni biwi ko talaq na dede tab tak inke darmiyan izdiwaji hesiyat yani in ka nikah qaaim rehta hai , lehaza faqat hambistry na karne se nikah khatam nahin hota. 2: Biwi k liay zaroori hai k jab bhi shohar os say jinsi lazzat (sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or sharaei uzr (any Islamic reason, i.e : in periods) k baghair shohar ko hambistari say na rokay. Biwi k hoqooq mai sai hai k mard isay aziat aur takleef na punhchaye aur kisi sharaei wajah k baghair is k sath sakhti aur tarsh royei sai pesh na aaye. Biwi ki rihaish(housing), giza(fooding), libaas(clothing) aur zindagi ke baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai. 3: Agar biwi humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay to biwi k roti, kapray aur makaan ka shohar zimedaar nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462,2376,2377). [Updated on 25-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mery ma bap meri shadi ka nahi sochty jis larki sa ma kahta hon usko kamtar kahty hain 4 sal sa hum dono mery ma bap ko achy tarikay sa samjha rahy mana rahy hain lakin wo zid pa ha
Answer: Bête k aqide k mutabiq waldain ki jo raay aur muakaf sahe nahe , is me in se bahas aur mubaisa karsakta hai . laikin bête k liye zarore farz banta hai k waldain se bahas wa mubaisa k dourain adab aur tehzeeb ka khayaal rakhe aur in ki taraf ghoor kar dhekhne se bhe ghuraz kare . apne awaz ko waldain ki awaz se ziyada buland na kare che chai k tanwa taaz alfaz istemal kare jo batareeq aula jaiz nahe . Larkay k liay kisi say nikah ki ijazat lena zarori nahi hai. laikin jab bhi waldain ki taraf sai koi hokum ya roktok mohabbat ki wajah sai ho aur is ki mukhalifat se inhen aziat hoti ho to aulad k liye un ki mukhalifat karna haram hai. (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 347 , pg # 213, eidition 5) ,(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #2335, 1387 eidition 42) [Updated on 25-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alaikum mera ye swal h k m ek lrki ko psnd krta hu or us se nikkah krna chahta hu. M us se nikkah kr k us ko us k ghr chorna chahta hu jb tk us k ghr wly na maan jayein. Kia esa krny se nikkah hojyga?
Answer: Nikah ki sharait mai sai aik shart yeh hai k agar larki ghair mustaqil kunwari larki ho tu os k wali (baap ya dada) ki ijaazat ho is k bagahir nikah durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341). [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اگر ایک لڑکا لڑکی چھپ کے نکاح کر لیں اور بعد میں ان کے ماں باپ ان کی شادی کرانے پہ راضی ہو جائیں جب کہ وہ دونوں پہلے نکاح کر چکے ہیں تو کیا اس صورت میں نکاح کے اوپر دوسرا نکاح کر سکتے ہیں اسی لڑکے سے ،پہلا کیا ہوا نکاح باطل ہو جائے گا کیا؟
Answer: Pehle walay nikah mai agar larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat shaamil nahi thii tou wo nikah pehle wala nikah hi durust nahi hogaa.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341). [Updated on 16-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: میں ایک لڑکی سے شادی کرنا چاھتا ہوں مگر وہ سنی ہے اور اسکا کہنا ہے کہ نکاح انکے فقہ کے مطابق ہوگا یعنی سنی مولوی پڑھے گا۔۔۔ اب میرے لیے کیا یہ درست ہوگا کسی سنی سے پڑھا ہوا نکاح یا مجھے فقہ جعفریہ والا دوبارہ پڑھوانا ہوگا؟
Answer: 1: Shia larke ka sunni larki se nikah to ho sakta hai albatta lazim hay k nikah har sorat main shia tareeqe ke murabiq hi parha jaey Q k shumaar jo hoga wo faqat shia wala nikah hi hoga. Q k sunni nikah main wo sharaet nahi hoti jo aik shia nikah k liay zaroori hain. Aur Sunni nikah karnay k baad larki halal nahin hoti. 2: Larkay ko nikah k liay kisi ki ijazat lena zaroori nahin hai. or kunwari larki jo khudmukhtar nah ho agar wo nikah karna chay tu os ka nikah k liay baap ya dada ki ijazat lena zaroori hai. or agar khud mukhtar ho tu bhi ehteyate wajib ki bina per baap ya dada se ijazat le. (Ref: Tauzaaeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42,Maslah #2328,2335,2341). [Updated on 29-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mera ek sawal hai meri girlfriend hai usne uzoo mun me le k choosa tha mujhe lagta hai ke mazi jo pani ki trha huti hai wo shyd bht thri ya shyd nh bh ho asa lagta hai wo uske mun me chali gai hai to kiya ussy hamal hu skta hai kiyaa
Answer: Kisi merd or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat kerna jaiz nahi hay. Haan aap faqat os k ghar nikah ka paighaam behjh sakte hain or dua ker sakte hain. (Ref : Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69). Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) sharamgah se nikalne wali ratubat ko gale se neeche le jana jaiz nahi hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b)) [Updated on 26-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]