Question: ek nabalig bacha shawat se kisi aurat ko choye to kya o us aurat ki beti se nikah kr skta h
Answer: Jee han,un ki beti se nikah karna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2361). [Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamwalekum sir mera sawal hai ki kya bina biwi ki izazat ke chuna mana hai
Answer: 1: Biwi k liay zaroori hai k jab bhi shohar os say jinsi lazzat (sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or sharaei uzr (any Islamic reason, i.e : in periods) k baghair shohar ko hambistari say na rokay. 2: Biwi k hoqooq mai sai hai k mard isay aziat aur takleef na punhchaye aur kisi sharaei wajah k baghair is k sath sakhti aur tarsh royei sai pesh na aaye. 3: Biwi ki rihaish(housing), giza(fooding), libaas(clothing) aur zindagi ke baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai. 5: Agar biwi humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou biwi k roti, kapray aur makaan ka shohar zimedaar nahi hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376,2377). Hadees manqool hai jis main me aik orat ne kaha keh ya rasool allah shohar ka haq zoja per kya hai yani bivi per kya kya cheezain farz hain farmaya lazim hai ke us ki itaat kare kisi waqt or kisi haal main us ki nafarmaani na kare jis waqt wo mubashirat ka irada kare inkaar na kare chahe wo unoot ki pusht per hi kun na sawaar ho phir us orat ne arz ki ya rasool allah mard per kis ka haq sab se bara hai farmaya baap ka aurat ne arz kia, orat per sab se bara haq kis ka hai farmaya shohar ka, aurat ne arz kia keh shohar per mera haq utna nahi hai jitna mere per shohar ka hai, farmaya nahi or aik doosri hadees manqool hai keh aurat per farz hai ke kisi raat is halat main na soay keh us ka sohar us se naraz ho us aurat ne arz kiya ya rasool allah chahe us orat k shohar ne kitna hi zulum kiya ho farmaya haan chahe kitna hi zulum kiya ho. (Ref: Tehzib ul islaam baab 4 topic hoqooq e zojain, pg #140,141). (Note: Jee nahin man nahin hai ). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maine bachpan mai apne dost kai sath jb balgih nhi tha sex kiya tha kya uski sister sai shadi ho sakti h
Answer: Ighlam(Lawaat) se muraad kisi mard ka kisi mard ke dubr(anus) main hi dukhhol karna hai, or ye amal gunah e kabira hay. Ighlam(Lawaat) karwane wale ki maan, Behn or Beti ighlam karne wale par (jabke Ighlaam karne wala Baligh ho) Haram hojate hen, Agarche Supari (uzw_e_Tanasul ka ibtadai ka hissay) se kam hi dakhil hua ho, Agar Ighlam karwane wala Mard ho ya Ighlam karne wala na_baligh ho tab bhi Ehtiyat_e_lazim ki bina par Haram hojate hen, lekin agar kisi ko guman ho k dukhool hua tha ya nahin, ya shak kare k dukhool hua tha ya nahin to phir haram nahin honge, or Isi tarah Ighlam karne wale ki maan, behn, or beti ighlaam karwane wale par haram nahin hen. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2369). (Note: Agar dukhool nahin hua tha (yani uzw_e_Tanasul ka ibtadai ka hissay) se kam bhi dakhil nahin hua tha to nikah saheeh hai ). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا لڑکے کی جانب سے نکاح کے لیے دو گواہ ہونے ضروری ہیں؟ کیا گواہی فقط لڑکی والوں کی جانب سے بھی ہو سکتی؟؟
Answer: Nikah main gawah ka hona to zaroori nahin hay. lekin is ke elawa baqi sharait ka mojood hona zaroori hai. aur agar baqi sharait mojood na hon to nikah durust nahin hoga. Nikah ki sharaet main se aik shart ye hai k nikah karney k liye larki apne wali (yani baap ya dada) sai ijazat le, agar un ki ijazat k baghair nikah kia jaaye tu wo nikah durust nahi hoga. Is ke elawa aur bhi sharait hain jin ka nikah ke waqt khayal rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #2019, maslah #2335,2341). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri Biwi ka Inteqal ho gya hai Aur Dusra nikah kar raha hu Ghar wale keh rahe he Jab nikah hoga to ap dono ko #sokan phnni padegi kya hoti he #sokan ki riwayat
Answer: Salam, Baradar mohtaram. Hamari website per fiqhi or deeni sawalat ke jawab die jate hen, kisi ilaqe ya qoum ki rusoom o riwayaat se hamen kuch gharz nhin. [Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam alaikum mera masla ye hai ki jaise ek ladke ne Shadi shuda ladki se zina kiya ho aur bad me wo ladki apne shohar se talaq le le to kya wo ladka us talaqyafta aurat se nikah kar sakta hai ????Kya ye nikah durust hoga shariyati aitbar se
Answer: Shadi shuda aurat sai agar koi zina karay to ehtiyaat e wajib ki bina par wo zaani par hamesha k liay haraam ho jaati hai (yani wo dono aik dosre kabhi bhi naikah nahin kar sakte). Zina aik gunah e kabeera hai lehaaza lazim hai k zaani khuda sai tauba karay.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2367). [Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam alaikum mera masla ye hai ki jaise ek ladke ne Shadi shuda ladki se zina kiya ho aur bad me wo ladki apne shohar se talaq le le to kya wo ladka us talaqyafta aurat se nikah kar sakta hai ????Kya ye nikah durust hoga shariyati aitbar se
Answer: Shadi shuda aurat sai agar koi zina karay tou ehtiyaate e wajib ki bina par wo zaani par hamesha k liay haraam ho jaati hai (yani wo dono aik dosre kabhi bhi shadi nahin kar sakte). Zina aik gunah e kabeera hoy hai lehaaza lazim hai k zaani khuda sai tauba karay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2367). [Updated on 01-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya asi aurat jo shadi sa pahly zina karti rahi ho asi aurat sa shadi karna jaiz hai aur agr shadi k bad pta chaly k biwi pahly zina karti the to is k bary mai kya hukam hai?
Answer: Agar koe shakhs aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina zaani(zina karne wala) is aurat k tauba karne se pehle is se shadi nahin kar sakta. Laikin zaani k alawa koe doosra shakhs us aurat ke tauba karne se pehle us k sath shadi karna chahay tu koe ishkaal nahin hai. Magar ye ke Jo aurat zina kaar mashoor ho to ehteyat e wajib ki bina per os aurat k tauba karne se pehle is k saath nikah karna jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2364). [Updated on 31-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera nikah hoa hai aur ab rukhsati say pehlay divorce ho rahe hai Kya mujhay haq mehar pora ada kerna paday ga please rehnumaye ker di jiye
Answer: Agar hambistri say pehly talaq ho jaey to mahr ka aadha(half) hissa biwi ko dena hota hay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, mafhoom e maslah #309). [Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal ye ha kay ma apnay betay ki shadi kis age ma kron
Answer: Shariat ke etebaar se larkay aur larki ki shadi ke liye koi umer fix nahin hai lehaza chhoti umer me bhi shadi ho sakti hai aur bari umer me bhi shadi ho sakti hai. aur shadi k lie behtreen umer wo hai ke jis umer men zindagi ki zimmedarian nibha sake .Jo shakhs shadi na karnay ki wajha se haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2343,2374, 2407,2008). (Ref: sistani.org, urdu, topic: shadi, que: 36). [Updated on 28-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]