Question: Kia ladka mobile par ladki se gawah ki mojoodgi mn seeghe phar k nikkah kr skta hai mgr ladki es sab se injaan ho use maloom na ho k nikah ho rha ....ladka bhi us se kahe keh ye bus aese hi hai ...jaldi jawab den
Answer: Nahin is tarah nikah nahin hoga, Nikah ki chand sharaet hen, jin men se ek ek yeh he ke larka or larki donon razi houn. or donon khud seegha parhen ya apne apne wakeel se seegha jari karwaen. Nikah ki Sharaet 1) ehtiyaat e wajib ki bina per nikah ka sighah(jumla) arbi zaban main perha jaay. 2) Nikah perahnay wala qasd e insha rakhta ho.(yani nikah perhanay ki niyat say sighah kahay). 3) Nikah perhanay wala zarori hay k aaqil ho(yani pagal nah ho.) or ehtiyaat e wajib ki bina per na-baligh bhi nah 4) Nikah perhanay wala nikah k waqt merd or aurat ko moayyan(nominate) keray. maslan onka naam lay ya onki taraf ishara 5) Merd or aurat k nikah per razi honay ka ilm ho. 6) Kanwari or rasheeda lerki k baap ya dada ka is nikah per razi honay ka ilm ho.balkeh agar lerki apni zindagi k kamo ko khud mukhtari k saath anjaam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hay k baap ya dada ki ijazat li jaay. Agar in sharait ka khiyaal nah rakha jay tu nikah sahi nahi hoga (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2333-2342). 7) agar orat aur mard khud daimi nekah ka seega padhe to maher moyyan kar ne ke bad pahele orat khe : "zawwajtuka nafsi alassidaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qabiltut tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qabilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2328) (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jae. thanks) 8) Larkay k liay kisi say nikah ki ijazat lena zarori nahi hai 9)Nikah mai gawah ki zarorat nahi hoti. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2341,2335 and Minhaj us saliheen ayatollah seestani maslah no 70) [Updated on 24-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maine bgair wali K nikkah Kia hai haq mehar b dedia hai kya nikkah jaiz hai?
Answer: ghair mustaqil Kunwari larki jo khud mukhtar nah ho agar wo nikah karna chahy tu os ko nikah ke liay baap ya dada ki ijazat lena zaroori hai. aur wali (yani baap ya dada) ki ijazat ke bager nikah sahi nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2341). [Updated on 22-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Ammi ke mamu ki beti se nikkah hosakta hai?
Answer: jee bilkul un sai nikah kia jaa sakta hai kyun k wo aap k liye na mehram hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 22-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia nikkah k baad or rukhsati sy pehly shohr bv ko romance k liye force kr skta ha kia is main lrki k liye kia hukm ha
Answer: Sigah nikah ke zariye mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hain (yani mian biwi wale talukat qaim ker sakte hai) lekin nikah k baad aur rukhsati se phele agar larki apne baap k ghar me ho to us larki k shohar k liye us larki k baap k ghar me aane jane aur larki se raabte k liye zaroori hai k larki k baap se ijazat lay. Aur ager riwaaj ye ho ke jab tak ruksati nahi hoti us waqt tak larki apne aap ko apne shohar ke liye pesh nahin karti, is tarah ke is ko goya aik zimni shart samjha jata ho to phir Aurat per apne is shohar ki is muaamle main itaat wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), before Maslah #2328), (Ref: nigah o libaas ,dafter aqai sistani), (Ref: Mujtahid se pooche gae sawalaat, part #4, masalah #150). [Updated on 24-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera nikkha Hua hai MERI mamo ke beti se Kuch Saal bad pata Chala ke Oss ke MAA ne mujhe dodh Diya hain
Answer: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1. Bachay ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay. 2. Ya 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho. 3. Ya 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu phir ye bacha is aurat ki baiti se shadi nahin ker sakta. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai to phir aap donon aapas mai mehram ho jaayen gay or nikah baatil ho ga warna nikah sahi hai. agar is baat me shak ho ke bache ne itne miqdaar me doodh pia hai jo mehram banne ka sabab hai ya nahe ya gumaan ho ke is ne itne miqdaar me doodh pia hai to bacha kise ka mehram nahe bane ga laikin behter hai ke ehtiyaat ki jaae (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2438,2461). [Updated on 24-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alikum.. kya aek lrka jis ka lrki ki maa k sth zinna kya ho kya un lrka lrki ka niqah jaiz h??
Answer: wsalam. agar wo larki us ki khala ya phupi ki beti hai or nauuzubillah us ne shadi sai pehle apni khala ya phupi sai zina kar lia hai tw ehtiyat e wajib ki bina par un ki larki sai shadi nahi kar sakta. albatta agar insaan kisi aurat sai zina karay or wo us ki khala ya phupi na ho tou phir us ki larki sai shadi kar sakta hai lekin ehtiyat e mustahab hai k us ki beti sai shadi na kray.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2359,2361). [Updated on 24-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr lrki k bap r dada nh hon bhai b nh ho tou kyaa maa ki ijazat se niqah ho skta h??
Answer: Baap or dada k zinda nah hone ki sorat main maan ki ijazat ki zaroorat nahi nikah hosakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2342). [Updated on 24-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum.I wanted to ask k agr girl virgin ni hai but married b ni h to kya walli k bger us sy nikah hoskta hai
Answer: wsalam. jis aurat ki shadi na hoi ho or kisi or tareekay sai bakarat zaail hogai ho tub bhii wo kunwari shumar hogi or wali (baap ya dada) ki ijazat sai hi us ka nikah durust hoga.(Ref:https://www.sistani.org/arabic/qa/0734/) [Updated on 23-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Islam mn family k andar shadi krna ka ziada sawab h ya family s bahr
Answer: Islam faqat is bat par zor deta hai ke Aurat ya Mard ko chahiay keh wo aisay mard ya aurat ko apnay rafeeq e hayaat k taur per intekhab karay jo dendar, pak daman, or baa akhlaq ho. sharabi na ho or burai or halak karne wale gunahon ka irtekab na karta ho. ab is men koi farq nahin ke shadi khandan men ki jaye ya khandan se bahir. (Ref: Jadeed Fiqhi Masayl, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #387, pg #232). [Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mn aik yateem larki ku psnd krta hun aur wu bhi mujhay psnd krti h . Agr hm parents ijaazat naa dn tu kia hum kudh s shadi kr sktay hn
Answer: larki or larkay k razi honay k saath saath larki k wali (yani baap ya dada) ki ijazat zaroori hai un ki ijazat k baghair nikah durust nahin hoga. or agar larki ke baap or dada me se koi bhi zinda nahe hain tu phir larki khud se shadi karsakte hai or us shadi karne ke lie kise ki bhi ijazat ki zarorat nahe hai.or larke ko apne shadi karne me kise se ijazat lene ki zarorat nahe hai lakin agar waaldain shabqat o muhabbat ki bina per naraaz ho tu aulaad ke lie waaldain ki mukhaalfat karna jaaiz nahe hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341,sistani.org ,urdu ,topic , waaldain ke huqooq,sawaal no#3 ). [Updated on 16-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]