Question: Assalamu alaikum ..Kya koi musalman ldki kisi Hindu ladke se shadi krskti hai agar dono hi apna religion change na krein to??
Answer: Muslaman aurat ka Hindu se shadi karna jaiz nahin hai. siwaey ye keh wo hindu musalman ho jaye tu phir aap ki on se shadi ho sakti hay. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2362). [Updated on 30-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalamu alaikum....Kya koi musalman ladki kisi hindu ldke s shadi krskti h agr dono hi apna mazhab change na krein to??
Answer: Muslaman aurat ka Hindu se shadi karna jaiz nahin hai. siwaey ye keh wo hindu musalman ho jaye tu phir aap ki on se shadi ho sakti hay. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2362). [Updated on 30-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o Alaikum Agar aik Lakri IRAQ main ho or larka PAKISTAN jb k larki k walideen bhe Pakistan main mojood hun.. Tw kya esi surat main Larky or Larki ka Nikkah Pakistan sy online ho skta ha?? Larki k Walid ki ijazat mojood ha.
Answer: Nikah main gawahon ka hona zaroori nahin hai, lehaza nikah phone call per ho ya online ho agar nikah ki baqi tamam sharait maujood hon to nikah ho sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e maslah #2335). [Updated on 30-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mry hsbnd ki death ho chuki h bchy choty hain yani kmany wala koi ni h Mai shadi krna chahti hn lkn bchy ni manty koi asra b ni h Mera?
Answer: Jo aurat bewah ho jaaye aur iddat mukammal hone ke bad agar wo shadi karna chahe to us ko nikah karne ke liye kisi se ijazat lene ki zaroorat nahin hai. wo bager kisi ki ijazat ke nikah kar sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Aaytullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341,2342,2481). [Updated on 02-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam walakum Mera sawal yeh hai kya phuperi behan ki Beti se nikha kar sakte hain
Answer: Jee Han. un sai nikah kia jaa sakta hai kyun k wo aap k liye na mehram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349). [Updated on 14-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meta ik jaga rishta tay hua hy jismy larki ki walida or larki raza mand hain mgr larki ka walid razi nai hy hm dono shia families se belong krty hain is surat main kya kia jaey??
Answer: Nikah karne k liye kuch sharaet hai jin ka khayal rakhna zaroori hai in men se aik ye hai ke jo larki baligh ho kunwari hai or zindagi k umoor apne ikhtiyaar sai anjaam na deti ho tou agar wo shadi karna chahey tou zaroori hai k wo apne baap ya daada sai ijazat le balkeh agar zindagi k umoor apne ikhtiyaar sai anjam deti ho tab bhi ahtiyat e wajib ki bina par apne baap ya dada sai ijazat lay.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2335,2341). [Updated on 14-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mara abhi nikah hova hai rukhsati nai hoi hai kya ab wo mari biwi hai ya rukhsati k baad wo mari biwi ho gi
Answer: 1: Seegae nikah k zariye mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai (yani mian, biwi ban jate hain or mian biwi wale taluqat qaim ker sakte hai). (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Before Maslah #2328). 2: Agar Riwaj yahi ho k jab tak rukhsati nahin hoti is waqt tak larki apnay aap ko apnay shohar k liye paish nahin karti, is tarah sai k ise aik zimni shart samjha jata ho to phir aurat k liye nikah k bad rukhsati se phelay shohar k liye apne aap ko paish karna wajib nahin hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #149, pg #72). [Updated on 14-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A. S meri age 18 hy or meny 1st aj fingering ki hy to kia my is sy pregnant hojao gi kia ek dafa krny sy? My chahti hon my khbi na kro lekin dil krha hy plz help
Answer: 1: Istimna or khud lazzati, haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai chahay haath ke zariye se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki manid kisi cheez se ho. 2: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. isi tarah ehtiyat e wajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2296,345). 3: Yeh Istimna or khud lazzati hai Is amal se aurat pregnant nahin hoti Q ke Jab tak mard aur aurat jima(Intercourse jo ke Mian, biwi ke darmian hota hai) na karen aur mard ki mani aurat k rehem main nah jaye Aurat aurat pregnant nahin ho sakti. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg #150 to 152). 4: Aur is Gunah ki wajah se parwardir ki bargah men Sachay dil se toba ki jaye, Aur Hazrat Rasool Allah(s.a.w.w) se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura #66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baargah main toba ki jaye. (Ref: Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal, pg #37). 5: Tauba ka sahi mafhom ye hai k sab se pehlay tu apnay aap ko is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahin donga. or hamaisha yaad rahe k Allah har waqt daikh raha hay or is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain. (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). jo shadi na honay ki wajah say kisi haram kaam say nah bach paa raha ho, os k liay shadi kerna weajib hay chahay aarzi waqt(muta) ki shadi hi kun nah ho. (ref: Ayat ullah Seestani (D.B) tawzee hul masail maslah#2407) [Updated on 13-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum sir Mera sawal ye hai k Muje ek larki ne bhai bola to kia mai us larki we nikah Kar sakta hu ya nahi Muje jawad de please
Answer: wsalam.faqat bhai kehne sai aap us k mehram nahi hojaate wo larki aap k liye na mehram hai lehaaza aap us sai nikah akr sakte hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 05-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya dil mein naa hone ke bawajood koi ladki muh se nikah ke liye haan kahe to wo nikah jayaz hai?
Answer: nikah ke sahe hone me dil se razi hona zarori hai agar dil se razi nahe tu nikah sahe nahe hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2335,). [Updated on 06-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]