Question: kia mard aik aisi aurat [shemale] se nikah ya muta kar sakta hai jiski shakal or sub kuch aurton jaisa ho magar uska penis bhi ho.
Answer: Nikah ke zariye aurat, mard par aur mard, aurat par halal ho jatay hain. Ab ye dekhna paray ga ke Khunsa(shemale) - yani wo ke jis ke pas mard aur aurat dono ki sharamghah (peshab ka makhraj) ho - mard hai ya aurat. Agar kisi tarah se pata chal jaye ke mard hai ya aurat to usi ke mutabiq ahkam jari hon gay aur agar pata na chal sakay to us ko pehchannay ka ye tareeqqa hai: Dekhain gay ke wo peshab kahan se karta hai agar mard ki sharamgah se peshab karta hai to mard hai aur agar aurat ki sharamghah se peshab karta hai to aurat hai. Agar wo dono sharamghahon se peshab karta ho to ye dekhain gay ke sab se pehlay kis se peshab karta hai agar pehlay mard ke aalay(sharamgah) se peshab niklta hai to mard hai aur agar pehlay aurat ke aalay se peshab niklta hai to aurat samjhain gay. Aur agar dono se aik sath peshab karta ho to dekha jaye ga ke aakhir me kis maqam se khatam karta hai agar mard ke maqam se khatam karta hai to mard hoga aur agar aurat ke maqam se khatam karta hai to aurat samjhain gay. Note: Jab saabit ho jaye ke mard hai to nikah (daimi / mutah) nahin kar sakte aur agar ye saabit ho jaye ke aurat hai to phir nikah (daimi / mutah) kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, nikah ke ahkam, pg #357. + Minhaj-us-Saleheen, part #3, maslah #1094). [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera jb nikah hua tha to mere sasural me hua tha kyuki mere ghrbale nhi maan rhe the isliye but ab bo nikah ke baad razi ho gye hai mere maa or papa nikah me shamil nhi the to nikah ho jaata hai ese yaa nhi ? Is mamle me waswase aate hai bhut jayada
Answer: Nikah ke baad agar wali (yani baap ya dada) is nikah pe razi ho jaye aur is ki ijazat day day to nikah sahi ho jaye ga, ab alag se dobara nikah parhne ki zaroorat nahin hai, aur wali (yani baap ya dad) ka nikah ke waqt wahan maujood hona bhi zaroori nahin hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #73,74,75). [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum !! Agar koi dosri aurat shohar par kaly jadU Kar k usky sath zina Karen or jadU tony kar k shohar KO behka Kar nikkah Karen tw esi aurat k sath shohar Ka nikkah jaiz hai nikkah hoga ya NH shariyat k hisab s
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Sab se pehli baat to ye ke Shadi se pehle na-mehram mard aur aurat ka apas me kisi bhi qisim ka relationship rakhna jaiz hi nahin hai. isi tarah shohar aur biwi ke alawa kisi aur tariqe se jinsi lazzat hasil karna Haram aur ghunah e kabira hai. aur agar relationship me zina bhi kar liya hai to ehtiyaat e wajib ki bina zaani (zina karne wala) is aurat ke tauba karne se pehle is se shadi nahin kar sakta. (yani jab tak wo aurat is zina se tauba nahin kar leti ehtiyaat e wajib ki bina par tab tak wo mard is aurat se nikah nahin kar sakta aur agar nikah kar liya hai to ye nikah ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahin hai). (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2364). [Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 2 alag larkiyon se 1 sath nikah karana kya is baat pe kuch bata dain .. behno se nhi alag alag larkiyon se alag khandano se . jise 1 .panjabi or 2 baloch is tarah 1 sath 1 time main 2 ko 1 sath nikah main shamil kar sakty hai
Answer: Asal me do behnon ka nikah aik hi mard ke sath, aik waqt me jaiz nahin hai lekin agar dono aurtain alag alag hain yani dono behnain nahin hain to phir aik hi mard ke sath aik hi waqt me nikah Jaiz hai, is me koi haraj nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail Jaame(farsi), part #4, maslah #80. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2349,2355). [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslamualaikum sir i am 26 year's old boy from mzn.I love a girl her 24 year's old but her caste different.My parents is not agree.please help me
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aap apne waldain ko is cheez se aghah karen ke Islaam faqat ye taleem deta hai ke muslman mard muslman aurat ka kufu (equal, barabar) hai aur momin mard momin aurat ka kufu hai, isi liye Islam me aik musalman ki dusre musalman se shadi ho sakti hai, lihaaza is me biradri aur zaat paat ki koi ehmiyat nahin hai. Agar rishta mangnay walay ki diyanatdaari aur akhlaq pasandida hon to behtar yeh hai ke rishta denay se inkar nah karay. Paighambar(s.a.w.w) se riwayat hai ke; "Jab bhi koi shakhs tumhari larki ka rishta mangnay aaye aur tumhain us shakhs ke akhlaq aur diyanatdari pasand ho to apni larki ki shadi us se kar do agar aisa nah karo gay to zameen par buhut bara fitna phail jaye ga". (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, maslah #221. + Tauzeeh ul masail, edition #44, maslah #2422). [Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya maa baap ki Raza ke Bina nikah ho jata hai
Answer: Shadi ke liye larkay ko apne ghar walon se ijazat lene ki zaroorat nahin hai yani larke ka nikah baap ya dada ki Raza ke Bina ho jata hai. lekin kunwari larki ko apne wali yani (baap ya dada) se ijaazat lena zaroori hai, lekin maan aur bhai se ijazat lena zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341). [Updated on 23-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia apny psnd ki ldki sy jis sy shadi ki khwaish ho os sy bat kr skty hay
Answer: (aap apne ghar walo ya kise or ke zarie apne nikah k peghaam larki walo tak pouchaae take aap ki shadi hosake ) Na-mehram mard aur aurat ka apas men dosti karna jaiz nahin hai albatta apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me nah nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho. Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimmedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510). [Updated on 26-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr larka ya larki razi na ho or aesy e nikah me qabul hai krn to Kya nikah ho jaega ya nh
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Nikah ki sharait men se aik shart ye hai ke nikah ke waqt larka or larki dono nikah par Raazi hon, lihaaza agar nikah ke waqt larka ya larki dono ya in men se koi aik nikah par raazi na ho to nikah durust nahin hota. Han agar nikah ke bad larka ya larki nikah ki ijazat de day (ya ijazat ke liye koi aisi baat kahe ya koi aisa kaam anjaam day jo razamandi par dalalat karay to kafi hai) to nikah sahi hai lekin behtar hai ke dobara nikah parha jaaye. lekin agar nikah ke bad bhi raazi nahin nah ho to nikah baatil hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b, Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2335,2338). [Updated on 28-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: مامی کی بہن سے نکاح کر سکتے ہیں ؟
Answer: Mumani (maami) ki behen na-mehram hai lehaaza us se nikah kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349). [Updated on 04-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mainay ek wahabi larki ko shia kr kay 2 gawah ky samnay Nikah ky sigha parhay kukay hum khud ko gunnah say bachana chatay thay wali ki bhe ejazat ni le kukay abhi hum university ma hain to wo razi ni hon gay. To kia hamara nikah jaiz ha ?
Answer: Ye nikah sahi nahin Q ke shadi ke liye larkay ko apne ghar walon se ijazat lene ki zarorat nahin hai yani larka apne ghar walon ki ijazat aur razamandi ke bager shadi kar sakta hai lekin kunwari larki ko apne wali yani (baap ya dada) sai ijaazat lena zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341). [Updated on 16-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]