Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 16801
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya nikkah nama mein shartein aurat decide karsakti hai or agar shartein poori na hon tou Kya Hoga

Answer: Nikah ke waqt jo bhi jaiz shart ho wo ( wo dulha or Dulhan ki razamandi se )rakhna jaiz hai chahe mard ki taraf se ho ya aurat ki taraf se ho. aur jab shart rakhi jaye to us shart ko poora karna wajib hai. shart ki mukhalifat karna jaiz nahin hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #330). [Updated on 23-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16805
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aagr nikkah may baap ka name change ho palny wala baap ka nam ho tow kya nikkah hota hy

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferia ke mutabiq nikah me baap ka naam shaamil hona shart nahin hai. is ke bagher bhi nikah ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341). [Updated on 24-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16818
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: جناب میرا سوال یہ تھا کہ کیا سابقہ ساس سے نکاح ہو سکتا ہےالسلام وعلیکم

Answer: Nahin ho sakta, aur ye Haram hai Q ke jo shakhs kisi aurat se nikah kare chaahe us ke sath jima (intercourse) na bhi kare to us aurat ki maan (yani saas), naani, aur dadi sab auratain is mard ki mehram ho hati hain. (Yani in auraton se kabhi bhi nikah nahin kar kiya jasakta). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2350). [Updated on 27-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16838
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر ہمیں پتہ ہو کے وہ انسان جس سے ہم شادی کرنا چاہتے ہیں اُسنے پہلے زنا کیا تھا پھر توبہ بھی کرلی تھی تو کیا ایسے انسان کے ساتھ رہنا چاہیے

Answer: Jaiz hai, is me koi haraj nahin. (Ref: Link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01826/ ). [Updated on 24-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16852
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: nikkah k bad jb k rukhsati nhi hui tu mrd k galy lgna jaiz h

Answer: Agar nikah mukammal sharaait ke saath hua hai to phir rukhsati se shohar aur biwi ka aik dusre ko galay lagana jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, pg #357). [Updated on 07-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16887
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam .. Kia aese shakhs se Shaadi ki jaa skti hai Jo namaz MN tashahud MN Shahadat e salisa prhta ho ?? Plzzz reply fast

Answer: Us se shadi ki jaa sakti hai. albatta aap ko apni namaz aur deegar ibaataad apne aqeeday ke mutabiq (yani tashahhud me shahadat e salisa ke bager) anjaam deni hon gi Q ke Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz me shahadat e salisa ka parhna jaaiz nahin hai, is liye ke Namaz main quran, zikr e ilahi or dua ke alawa kisi bhi qisim ke izafay ki shariat ne ijazat nahin di hai. Note .agar Amal bil maroof or nahe enilmunkar ke sharaait moujood hay tu ye Karna wajib . (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, maslah #215). (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01758/. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1122). [Updated on 12-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16890
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shadi shuda aurat se zinha kiya lakin dakhool ni kiya ab kia us se shadi ho sakti ha

Answer: Agar dukhool nahin hua tab bhi shadi shuda aurat ya jo aurat kisi ki iddat me ho us se nikah karna jaiz nahin hai. Han albatta us aurat ki apne shohar se talaq ya wafat ki surat me iddat guzarnay ke baad us se shadi ho sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2365,2366,2367). [Updated on 13-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16894
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nihka k thk hony me shaaakh ho

Answer: Agar itminaan ho keh niakh perha gaya hay laikin nikah k sahi perhne main shak ho, tu os k sahi hone per bunyad rakhi jaey gi. or os ko sahi samjha jaey ga.(Ref: tauzihul masael jame, jild@4, maslah#198). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2330). [Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16906
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shia ashri issna boy can do recite Nikah with Ismaili girl plz clarification

Answer: Shia isna ashri larka aisi ismaili larki se nikah kar sakta hai jo shiyo ke 12 Imaamon se bair or buqz (dushmani) ka izhaar na kare albatta ye nikah us waqt Haram ho jata hai jab shia isna ashri larke ko khauf ho ke wo apne shia aqeeday me munharif ho jaaye ga ya ye nikah us waqt Haram ho ga jab us ki waja se wo shia isna ashri larka apne shia mazhab ke mutabiq shareyat par amal nah kar paye. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #215). [Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16909
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Tanseekh e nikkah k baad agar larki ki dubara shadi krni ho to kya agle nikkah me likhna hota ha k larki mutalqa ha ya kanwari? Shari tor pe to wo kanwari ha mgr agle nikkah nama me kya likha jae ga. Larki ka ruksati se pehle nikkah khatam hua tha

Answer: Kunwari larki se murad wo hai jis ke shohar ne us ke sath jima(intercourse) nah kiya ho, lehaza jis ne kisi se shadi ki ho aur shohar se ke sath jima(intercourse) karne se pehlay hi tanseekh e nikah ho gaya to wo kunwari hi rahe gi. lihaza nikah namay pe kunwari likhwa sakte hain, lekin ye zaroori nahin hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3 maslah #330,281,284,285. + link; https://www.sistani.org/arabic/qa/0734/#4477 ). [Updated on 15-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!