Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 17206
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: سلام ۔۔۔جناب مجھے یہ بتانے کی زحمت گوارہ کریں کہ جس لڑکی سے ہم شادی کرنا چاہیے کیا اسکے لیئے محبّت کا وظیفہ کرنا جائز ہے ، جبکی ابھی ہمارا شادی کا ارادہ نہیں ہو ؟

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Na-mehram se muhabbat ke hawale se sharaei maslah ye hai ke Jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se muhabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat karna to door ki baat) dosti karna hi Jaiz nahin hai. (Ref: Nigah or Libaas, 1st edition, page #69, Ques #106. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). [Updated on 17-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17215
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar ladki ki 27 saal ho jae or magni kar k waledien rakh de..or shaadi k liye dair karey us surat mai kya kiye jae..agar gunah ka dar rahe ..

Answer: 1: Shadi karna aik takeedi mustahab amal hai lekin agar us larki ko yaqeen ho ke shadi na karne ki wajah se kisi Haram me mubtila ho jaye gi to is soorat me us ke liye shadi karna wajib ho jaye ga. Aur is se bachne ke liye sakht koshish ki jaye is tarah se ke use chahiye ke wo apne ghar walon se shadi ke baare baat kare. Isi tarah Taqwa e ilahi ke zariye ghunahon se nijaat haasil ki jaa sakti hai or jin cheezon or maqamaat se jazbaat main tehreek(harkat) paida hoti hai un se door raha jaye. or Allah talaa ka kasrat se zikr kiya jaye. 2: Ghunah ka jab khayal aaye to hameshah yeh yaad rakhe ke Allah use daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day kar wo shaitan ka hukum maan rahi hai or Allah ki na-farmani kar rahi hai. aur koshish kare ke khuch mufeed kaamon main khud ko masroof kar lain jaisay sports, parhayei waghaira, or har os cheez se bache jo jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karay. Agar khud par qabo nah paa sakti ho to roza rakhe Q ke roza ghunahon ke muqabilay me dhaal ka kaam karta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2407. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). + link: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=262 ). [Updated on 18-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17218
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya pota apni sgi dadi ki sgi bhanji sy nikah kr skta hy? Please rehnumai fermaiye....جزاك اللّٰه خيرًا

Answer: Jee, kar sakte hain Q ke wo ye pota apni dadi ki bhanji ke liye na-mehram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349,2353). [Updated on 18-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17278
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Dhood sharik bai se nekah jaiz hy

Answer: 1: Is hawale se zel me doodh pila kar mehram banne ki chand sharait bayan ki jaa rahi hain agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hue doodh pilaya gaya ho to us Dhood shareek se nikah jaiz nahin hoga Q ke wo dono aik doosre ke rizaaei bhai (yani doodh shareek bhai ban jayen gay) aur bhai, behen ka nikah nahin hota. Aur agar doodh pilaate waqt in tamam sharait ko madde nazar nahin rakha gaya tha to us se nikah jaiz hai Q ke wo dono bhai, behen nahin hue. 2: Bache ko doodh pilana jo mehram banne ka sabab banta hai us ki aath(8) sharten hain. 1. Bacha zinda aurat se doodh piye. 2. Aurat ka doodh fail e haram ka natija na ho. 3. Bacha pistan se doodh piye. 4. Doosd khaalis ho aur kisi doosri cheez se mila howa na ho. 5. Doodh aik hi shohar ka ho. 6. Bacha kisi beemari ki wajah se doodh ki qay(vomit) na kar day. 7. Bache ko is qadar doodh pilaya jaye ke bache ki hadiyan is doodh se mazboot hon or badan ka ghost bhi bane. 8. Bache ki umr(age) ke do saal mukammal na howe hon. In tamam sharaait ki taseelaat maloom ke liye hum aap ko aik link provide (faraham) kar rahe hen aap us link ko visit karen to aap ko sharait ki tafseelaat maloom ho jayen gi. Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/25323/ 3: Doodh pilanay se mehram banay ke teen miyaar hain: 1. Bache ne is had tak doodh piya ho ke awaam ki nazar main gosht banne aur haddiyaan mazboot hone ka sabab banay. 2. Chaubees (24) ghante ke dauran is bache ne kisi aur ka doodh nah piaya ho. 3. Pandra (15) martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho. Agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hoye, bache ko doodh pilaya jaye to mehram ho jayen gay warna nahin. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hijri, maslah #116,117. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2438,2439). [Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17332
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ek shadi shuda larki sy shadi ki ja sakti ha usky shohar k hoty hoay. Yani larki apny shohar sy chup kr nikah krna chaeye

Answer: Note: Jawab de diya gaya hai: 1: Shadi shuda aurat ka kisi dosre mard se nikah karna Haram hai, lekin agar us ka shohar us ko talaq de de to iddat guzarne ke baad wo aurat kisi doosre mard se nikah kar sakti hai. 2: Agar koi aadmi kisi aurat ko warghalaye ke wo apne shohor se mutalliq izdawaji zimmedariyaan poori nah kare taake is tarah shohor use talaq daine par majboor ho jaaye aur wo khud us aurat ke saath shadi kar sake to talaq aur nikah to sahi hain. Lekin dono ne buhut barha ghunah kiya hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2366,2502). [Updated on 09-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17351
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main ny apny shohr k sath nikah sy phly zina kiya tha pr ab hmara nikah hogya hy. Kya mn us pr halaaal hun?

Answer: Agar koi shakhs aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu Ehtiyat e wajib ki bina par zaani (zina karne wala) is aurat ke tauba karne se pehle is se shadi nahin kar sakta. (yani jab tak wo aurat is zina se tauba nahin kar leti, ehtayat-e-wajib ki bina par wo larka us se shaadi nahin kar sakta). Note 1: Agar nikah hone se pehle aap ne tauba kar li thi to aap dono ka nikah sahi hai yani aap us par halal hain. Lekin agar nikah hone se pehle aap ne tauba nahin ki thi to ehtayat-e-waajib ki bina par aap dono ka nikah sahi nahin hai yani aap us par halal nahin hain. Note 2: Sharaei maslah to yahi hai jo bayan kiya gaya hai lekin is maslah men Ehtiyat-e-wajib ki soorat bayan ki gaei hai wo is tarah se ke Ehtiyat-e-wajib hai ke zaani us aurat ke tauba karne se pehle us se shadi nahin kar sakta. aur Ehtiyat-e-wajib men kisi doosre mujtahid ki taraf ruju kiya jaa sakta hai lehaza is Ehtiyat men kisi doosre mujtahid (maslan Ayatullah waheed e khurasani) ki taraf ruju kiya jaye to aap ka nikah sahi ho jaye ga aur agar kisi doore mujtahid ki taraf ruju nahin na kya jaye to ka nikah baatil ho jaye ga or dono ko alag hona pare ga aur wo aurat wati ba-shubah ki iddat rakhe gi, is ke baad wo shakhs is aurat ke tauba karne ke baad us se nikah kar sakta hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2364). [Updated on 16-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17355
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can we do muta with same girl multiple times? Can we do permanent nikah with the same girl after and/or during muta?

Answer: 2: Mard ye kar sakta hai ke jis aurat ke saath is ne pehlay mutah kiya ho aur abhi us ki iddat khatam na huei ho, us se daimi nikah (permanent) kar lay ya dobara mutah kar lay, lekin agar mutah ki muddat mukammal nahin huei aur wohi shakhs is aurat ke saath daimi nikah (permanent) parhay to ye nikah baatil hai, lekin ye kar sakta hai ke baaqi manda muddat use bakhsh day aur is kay baad aqd-e-daimi (permanent) karay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2396). [Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17379
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam u alikum sir Meri walda ki pehly shoher Sy ek beti hai phr unka nikah mere Walid Sy hoa jis main Sy main paida hoa. Meri walda ki pehly beti ki beti aur main hum payar krty hain kia shadi jaiz hai

Answer: Jee nahin, yeh aap ki bhanji hai aur bhanji se shadi nahin ki jaa sakti Q ke wo aap ki mehram hain. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #90). [Updated on 21-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17404
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mainay apnay walidain say nikkah ki baat ki pr woh nahi manay ab main is wajah say gunnah karo to gunah kis ko gay ga

Answer: Jo shakhs koi ghunah ka kaam kare to wo ghunah bhi use hoga jo use anjam day ga, kisi doosre ko ghunah nahin milay ga. Tauheed aur adal-e-ellahi ka aik ahem usool yeh hai ke har shakhs apne amal ka khud zimma daar hai nah is par kisi aur ke amal ka boojh aaye ga nah is ke amal ka boojh koi aur uthaye ga. Aur Qunan ki mukhtalif aayaat me bhi Allah taala ka yahi farman maujood hai ke aur "Har shakhs apne kiye ka khud zimmay daar hai aur koi boojh uthany wala kisi dosray ka boojh nahin uthaye ga". (Ref: https://www.balaghulquran.com/quransearch.php?q=%D9%88%D9%8E%D8%A7%D8%B2%D9%90%D8%B1%D9%8E%DB%83%D9%8C&sno=&optwords=m&optsrchtp=m ). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17430
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main ne aik larky se 8 saal pehly sex kiya, bad main us larky ke behan se shadi ho gai, ab shadi ki kia haisiat ha? mery 2 bachay bhi ha nikah sy pehly maloom nahi tha k wo larki mery par haram ha ab kia talaq di jaye ya koi or hal ha?

Answer: Sharaei taur par aap dono ka nikah hua hi nahin hai, talaq to buhut door ki baat hai. lihaaza talaq ki zaroorat hi nahin balke talaq ke bager hi aap dono ko alag hona parhe ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2369). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!