Question: Assalamualaikum, agha agar ladki khudmukhtar na or uska walid Ghar chodkar chala Jaye or koi rishta na rakhe or ladki maa ke saat rehthi ho or koi rishta aa Jaye toh kya aise masle par baap ki ijazat zaruri ha???i agarche baap naraaz naraaz ho?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Agar larki kunwaari na ho ya kunwaari ho lekin baap aur dada har us mard ke sath use shadi karne ke liye ijazat nah dete hon jo urfan o sharan us ka hampalla ho ya baap aur dada beti ke shadi ke maamle mein kisi tarah shareek hone ke liye raazi nah hon ya deewangi ya is jaisi dusri wajah se ijazat dene ki ehliyat na rakhte hon to in tamaam surton mein un se ijazat lena lazim nahin hai. Isi tarah un ke maujood na hone ya kisi dusri wajah se ijazat lena mumkin nah ho aur larki ka shadi karna behad zaroori ho to baap aur dada se ijazat lena lazim nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2342). [Updated on 15-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اسلام وعلیکم عزت معاب ،مولانا صاحب میرا سوال یہ ہے کیا شیعہ عشری اثنا لڑکا اسماعیلی فقہ کی لڑکی سے پہلے مته اور بعد میں دائمی نکاح کر سکتا ہے کہ نہیں وضاحت فرمادیجئے شکریہ
Answer: Shia isna arshri larka aise musalmaan ismaili larki se nikah kar sakta hai jo shiyon ke 12 imaamon se bair or buqz (dushmani) ka izhaar na kare albatta ye nikah us waqt Haraam ho jata hai jab 12 imaamon ko maanne wale shia larke ko khauf ho ke wo apne shia aqeeday me munharif ho jaaye ga ya ye nikah us waqt Haraam ho ga jab is ki wajah se wo shia larka apne shia mazhab ke mutabiq shareyat pe amal nah kar paaye. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, maslah #215). [Updated on 18-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ma aesi yateem larki jis ka Abu aur dada dono for ho gy ho nikkah e muttah kr skta ho???? 2.kia nikkah e muttah ka segha mobile py parha ja skta ha 3.aur Urdu me nikkah e muttah ka segha Kesy parhy gy aur Urdu me parhna jaiz ha ya ni
Answer: 1: Agar kisi kanwari larki ka wali (yani baap ya dada) maujood (hayat) na ho to phir nikah (daaimi ya mutah) ke liye (maan, bhai wagera) kisi se ijazat lena zaroori nahin hai, aur nikah kar sakte hain. Albatta nikah ki baaqi sharaait ka maujood hona zaroori hai. lekin agar wali ki ijazat ke alawa, nikah ki baaqi sharaait me se koi aik shart bhi agar maujood na ho to nikah sahi nahin hoga. 2: Jee phone pe ya online nikah (daimi ya mutah) ka seegha parha jaa sakta hai. 3: Ehtayat-e-waajib ki bina par nikaah ka seegha arabi mein parha jaye aur agar khud mard aur aurat seegha arabi mein na parh sakte hon to arabi ke alawa kisi dusri zabaan mein parh sakte hain aur kisi shakhs ko wakeel banana laazim nahin hai. Albatta mard aur aurat ko chahiye ke wo aise alfaaz kahen jo “zawwajtu” aur “qabiltu” ka mafhoom ada kar saken. Urdu me is tarah seegha parha jaye ga ke agar khud aurat aur mard nikaah e mutah ka seegha parhna chahen to nikaah ki muddat aur meher muyyin karne ke baad pehlay aurat kahe “main ne is mehar par jo muyyin hua hai aur is muddat me jo muyyin huei hai, apne aap ko tumhaari biwi banaya“ aur is ke lamha bhar baad mard kahe: “main ne qubool kiya“ to nikaah sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2328,2333,2335,2342. + Jadeed fiqhi masail, maslah #422). [Updated on 18-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ladki binaaa baap ki marzi ke nikaj lr skti h wo jayaz hoga
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferia ke mutabiq, Baaligh larka(boy) maan, baap aur ghar walon ki ijazat (permission) ke bager nikah kar sakta hai. lekin wo kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho us ke liye apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (yani baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #68. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2341). [Updated on 19-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr larki baligh or khud mukhtar h or is walid or dada zinda nhi tu kiya wo khud mutta kr ski h?
Answer: Agar kisi kanwari larki ka wali (yani baap ya dada) maujood (hayat) na ho to phir nikah (daaimi ya mutah) ke liye kisi se ijazat lena zaroori nahin hai, aur nikah (daaimi ya mutah) kar sakti hai. Albatta nikah ki baaqi sharaait ka maujood hona zaroori hai. lekin agar wali ki ijazat ke alawa, nikah ki baaqi sharaait me se koi aik shart bhi agar maujood na ho to nikah sahi nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2342). [Updated on 22-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Khaaalo k sath Mutta kiya ja skta h agr khala zida ho? In Fiqa e Jaferiya
Answer: Fiqh e Jaferiya ke mutabiq, agar kisi shakhs ne pehlay kisi aurat se nikah kiya ho to wo apni biwi ke ijazat ke bager us ki bhaanji se nikah (daimi ya mutah) nahin kar sakte Han agar us ki biwi (yani aap ki khaala) ijazat day day to is surat main nikah (daimi ya mutah) kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2357,2358). [Updated on 21-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Love marriage related hadees when parents are not agreed with your love marriage.
Answer: 1: Islam pasand ki shadi se mana nahin karta lekin Na-mehram se is aitebaar se dosti karna ke ye piyar o muhabat ban jaye aur phir is se shadi kar lenge to ye jaiz nahin, Q ke jins e mukhalif se is had tak dosti ka izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujud hai, balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. aur jab ke islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lehaaza is aitebaar se aap ziyada se ziyada apne ghar walon ko manane ki koshishi kar sakte hain aur apne ghar walon ke zariye us ke ghar rishte ka paigham bhej sakte hain aur dua kar sakte hain. 2: Aap ke aik sharaei masleh ki taraf bhi mutawajjeh kiya jata hai ke Fiqh e jafferia ke mutabiq, Baaligh larka(boy) apne maan, baap aur ghar walon ki ijazat (permission) ke bager nikah kar sakta hai. lekin wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to us ke liye apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti. (Ref : Mujtahid se pooche gaye sawalat, part #3, sawal #137,138, pg #65. + part #4, sawal #125, pg #65. + Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #68. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2341). [Updated on 25-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya mera Nikkah ho sakta hai meri biwi ki bare behan se jo k Dosre baap se hai lekin Maa ek hi hai dono k.
Answer: Jee nahin, jab tak aap ki biwi aap ki nikah main hain, aap apni saali se nikah nahin kar saktay. (chahe maan, baap dono ki taraf se ya sirf maan ki aap ki biwi ki behen ho). (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #80). [Updated on 07-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya aplog nikah padha sakte mera or ladke ka?
Answer: Is hawalay se aap darj zel contact numbers pay rabta kar sakti hain: Office Timing: 8:00 AM - 9:00 PM Tel: (0092-21) 32226948 Tel: (0092-21) 32237207 [Updated on 08-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nikhaa ke bd rukhsati se phly shohar ke aurat p kia fraiz hain or biwi ke shohar p kia haqooq hain
Answer: 1: Nikah ke baad aur rukhsati se pehlay bhi Shohar par apni zauja ka naan o nafaqa dena wajib hai, siwaye is soorat me ke koi aisi alaamat ho ke jis se tay ho jaye ke nan o nafaqa dena zaroori nahin chahay is aitbaar se ke riwaaj hi aisa ho. 2: Sigha e nikah ke zariye mard aurat par aur aurat mard par halal ho jate hain (yani mian, biwi ban jate hain or mian biwi wale taluqaat qaim kar sakte hain). Lekin agar Riawaj yahi ho ke jab tak rukhsati nahin hoti is waqt tak larki apnay aap ko apnay shohar ke liye paish nahin karti, is tarah se ke ise aik zimni shart samjha jata ho to phir biwi ke liye nikah ke bad or rukhsati se pehlay shohar ke liye apne aap ko paish karna wajib nahin hai. Note: Aik martaba nikah ho jaane ke baad shohar, biwi wale talluqaat jaaz ho jate hain, lekin biwi jis Ghar me reh rahi hai, wo Ghar us biwi ke Walid ka Ghar ho or Walid ki ijazat bager un ke Ghar me miyan, biwi wale talluqaat qaiam nahin kar sakte Q ke ye Ghar biwi ke Walid ka hai is liye un ki ijazat zaroori hai). (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Before Maslah #2328. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #142,149 pg #69,70,72). [Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]