Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 16661
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Syed zadi man nikkah non Syed se ho skta h?

Answer: Jee han, syed zadi ka nikah non syed mard ke saath ho sakta hay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #221). [Updated on 01-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16681
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaam.o.alaikum umeed krta hu ap thk hugy mra ak apse chota sa sawal h kay kya larka apny se 10 saal kam umer ki lrki se shadi kr skhta jis ki abhi umer 15 saal hu or lrky ki omer 25 to kya islam m yaj jaiz ha nikah krna lrky or lrki ha

Answer: Jee haan, kar sakta hai aur jaiz hai Q ke Shareat me nikah ke liye mard ya aurat ki umr ke kam ya ziyada hone ki koi shart nahin hai, lihaza wo dono nikah kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2335,2340,2343. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01826/ ). [Updated on 05-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16713
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikha ager janabat ki halat mai hojai to kia wo nikha sahi hoga

Answer: Jee han, janabat ki halat me kiya gaya nikah sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,2335). [Updated on 09-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16728
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Question: اگر کوئی عورت اپنی مرضی سے اپنا جسم کسی مرد کے حوالے کر دے تو کیا وہ ہمبستری کر سکتے ہیں اپنی مرضی سے بیعت لے کر

Answer: Nikah ke bagair hambistri karna ya deegar lazzatein hassil karna Haram aur ghunah e kabira hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, pg #357). [Updated on 12-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16732
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya larka ki razamandi k bgair Nikah jyaz hota ha?

Answer: Nikah ki sharaait me se aik shart ye hai nikah ke waqt larka aur larki dono nikah ke liye par raazi hon. lihaza agar larkay aur larki dono ki ya in me se kisi aik ki razamandi ke bager us ka nikah kara diya jaye to agar baad mein nikah ki ijaazat de den aur nikah ke liye raazi ho jaye to nikah sahi hai. aur ijaazat aur razamandi ke liye koi aisi baat kahen ya koi aisa kaam anjaam den jo razamandi par dalalat kare, to kaafi hai. Lekin agar nikah ke baad bhi raazi na hon to nikah sahi nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2335,2339). [Updated on 13-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16736
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o Alikam Mera sawal yeah hy ky kya syed larka ghair syed larki sy nikah kr skta hy Or agr kar skta hy to iski kysay byan kiya ghya hy shareyat main Or phr uski aulad jo hogi vo syed kehlaye gi ya ghair syed

Answer: 1: Islaam faqat ye taleem deta hai ke muslman mard muslman aurat ka kufu (equal, barabar) hai aur momin mard momin aurat ka kufu hai, isi liye Islam me syed mard ka nikah ghair syeda aurat ke sath ho sakta hai. aur isi tarah syeda aurat ka nikah ghair syed shia mard ke sath ho sakta hai. 2: Aulaad ka shajra baap ki taraf se chalta hai agar baap syed hai to aulaad bhi syed kehlaye gi aur agar baap gair syed hai to aulaad bhi ghair syed kehlaye gi. Syed se murad ye hai ke jis ka silsila e nasab baap ke zariye Hazrat Hashim(a.s) (jo ke Rasool khuda{s.a.w.w} ke walid ke dada hain) tak punhchta ho. laikin Q keh wo maan ki taraf se syed hay lehaza os ka syed wala ehteraam kia jaey ga. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #1261, Part #3, maslah #221). [Updated on 13-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16748
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mene or aik larki nay bagher gawah k Haq mehr rakhte huwy nikah Kiya or segah b parha hijab o qabool b Kiya hai phr bad may boht sy dosto ko bataya hai k ham nay is trah nikah Kiya hai bagher gawah k , kya hamara nikah ho Chuka hai ya nahe ?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqhe jafferia ke mutabiq Nikah ke waqt Larki ya larkay walon me se kisi ki taraf se bhi gawah banana lazim nahin hai. lekin is ke alawa nikah ki baaqi sharaait hona zaroori hai warna nikah sahi nahin hoga. In sharaait me se aik shart ye hai: Jo larki kud mukhtaari se apne muaamlaat ko anjaam na deti ho us ko shadi karne ke liye apne wali (yani baap ya dada) se ijazat Lena zaroori hai aur jo larki apne muaamlaat kudmukhtari se anjaam deti ho us ke liye bhi ehtiyat e wajib ki bina par shadi ke liye apne wali (yani baap ya dada) se ijazat lena zaroori hai. Is ke alawa bhi deegar buhut saari sharaait hai ke agar nikah ke waqt un sharaait ki pabandi nah ki jaye to nikah sahi nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Maslah #200,202. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2328,2335,2341). [Updated on 15-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16750
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ldke ko walid ki permission lena zaruri h ya nhi

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqhe jafferia ke mutabiq Baaligh larka(boy) maan, baap ki ijazat(permission) ke baghair nikah kar sakta hai. lekin kunwari larki(girl) ko apne wali (yani baap ya dada) se ijazat(permission) lena zaroori hai. (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #68. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2341). [Updated on 15-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16762
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر انسان خود اپنا نکاح پڑھنا چاہے تو اس کا صحیح طریقہ کیا ہے ؟

Answer: Jee han, parh sakta hai, balke muamila bhi aisa hi hai ke nikah ka seegha ya to aurat aur mard khud parhte hain ya kisi wakeel (maulana) ko muqarar kar lete hain taake wo un ki taraf se seegha parh day. Lekin sab se pehle nikah ke waqt nikah ki tamam sharaait ka hona zaroori hai Q ke is ke bager nikah nahin ho sakta. Nikah ka tareeqa: Agar aurat aur mard khud nikah e daimi ka seegha parhna chahen to meher mauyyen karne ke baad pehle aurat kahe: "zawwjtoka nafsi als sidaqil maaloom" (زَوَّجْتُكَ نَفْسِي عَلَى الصِّدَاقِ الْمَعْلُوْم) yani me is meher par jo mauyyen ho chuka hai apne aap ko tumhaari zaujiyat me deti hon, aur is ke lamhe bhar bad mard kahe: "qabiltuz tazweeja" (قَبِلْتُ التَّزْوِیجَ) yani me ne izdawaj ko qabool kiya, to nikah sahi hai aur isi tarah agar mard faqat "qabilto" (قَبِلْتُ) kahe tab bhi nikah sahi hai. Nikah ki Sharaait: 1. Nikah me seegha (yani nikah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka sirf razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtayat e wajib ki bina par kaafi nahin hai. 2. Ehtayat-e-waajib ki bina par nikah ka seegha (jumla) arabi mein parha jaaye aur agar khud mard aur aurat arabi me seegha na parha sakte hon to arabi ke alawa kisi dusri zabaan me parh sakte hain aur kisi shakhs ko wakeel banana laazim nahin hai. Albatta mard aur aurat ko chahiye ke wo alfaaz kahen jo “zawwajto” aur “qabilto” ka mafhoom ada kar saken. 3. Nikah parhne wala qasd e insha rakhta ho. yani nikah parhnay ki niyat se nikah ka seegha parhen. 4. Nikah parhne wala zaroori hai ke aaqil ho yani pagal nah ho. aur agar apne liye parh raha ho baaligh hona bhi zaroori hai. 5. Nikah parhne wala nikah ke waqt mard aur aurat ko muayyen (nominate) karay. maslan unka naam le ya unki taraf ishara kare. 6. Mard aur aurat ke nikah par raazi hon. 7. Nikah ke liye Larkay(boy) ko kisi se ijazat lene ki zaroorat nahin hai. lekin Kunwari (virgin) larki jo khud mukhtiyar nah ho to wo us waqt tak nikah nahin kar sakti jab tak larki ka wali (yani baap ya dada) larki ko nikah ki ijazat nah day day, aur jo larki khud mukhtar ho to bhi ehtiyaat e wajib ki bina par yahi hukum hai ke apne wali (yani baap ya dada) se ijazat lay. (Ref: Tauzaaeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2328,2333,2335,2341). [Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16780
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mujhe ek sex worker Ladki Se Pyar Ho Gaya Hai aur main uske sath sex karna chahta Hoon kya uske sath Mutha allowed hai she is not popular aur vah apne parents per dependent Bhi Nahin Hai aur please Nikaah Mutha Ka Tarika To Bata De

Answer: 1: Agar woh badkaar aurat zina mein mashhoor ho (yani woh aurat jo kisi se bhi zina ke liye tayaar ho) to ehteyat e wajib ki bina par us ke tauba kar lainay se pehlay us se mutah nahin kar satke. lekin agar zina mein mashhoor nahin hai to us se mutah kar sakte hain. 2: Khud mukhtari se muraad ye hai ke aurat apni zindagi ke faisle khud karti ho aur apna kharcha khud bardasht karti ho. Ab agar larki khud mukhtaar nahin hai to nikah ke liye us ke baap ya dada ki ijazat zaroori hai, lekin agar larki khud mukhtaar ho to bhi ehteyat e wajib ki bina par baap ya dada ki ijazat zaroori hai. (Ref: website Ayatullah Sistani(d.b), link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01867/ ). [Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!