Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9309
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mery husband ki death hu gai ha or ma yaha akeli rahti hon dubai may,or meri idat 30 din ki rahti ha,or visa be expire hu rha ha tu es surat may kya ma visa change k liye out of country ja skti hon

Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Minhajus Saliheen part#2,published by aarul hujjah, Mafhoom e Maslah #1446,1452). Update on dated 09-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9378
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AsaLam O aalaekaum... MEraa sawaAal y he k mEriii idDat kaL pUriii hOriii h...sOo idDat x UthnY kaa sUnNatiii tariKa kiaaA h...???

Answer: Talaq yaafta aurat ko iddat k doran shadi se perhaiz kerna lazim hay or bewa ko 4 mahinay 10 din niakh or libas or badan ki zenat se perhain kerna lazim hay, or jab iddat k din poray ho jain tu wo in pabandiyo se azaad ho jati hay, Iddat k khatam hone per koe kaam anjam daina lazim nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481-2). Update on dated 29-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9880
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Aik aurat k husband ki death 2 November (12 Safar) ko hoi or dafeen 3 Nov (13 Safar) ko hoi tu edat ki date kya ho gi ? or edat 30 days k months py ho gi ya k qammri month py ?

Answer: Wafaat ki iddat shohar k marnay sai shuru hoti hai yaane (2 nov) sai hogi or iddat qamari hisaab sai 4 mahine 10 din hoti hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2481). Update on dated 18-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9891
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia talaq k bad suhr sy bt krna haram ha

Answer: Talaq e rijee ki iddat k doran bivi zauja k liay mehram hoti hay or baat karna jaiz hoti hay, laikin Iddat kahtam hone k baad shohar, aurat k liay na-mehram ho jaata hay lehaaza,aik (namehram) se aise baatain ki jasakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota . Isi tarah baghair lazzat k irade k os ki batain bhi soni jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) Update on dated 14-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9989
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-o alikum iddat se uthny ka koi tariqe kar he? Ya aurat iddat ki moddat pori hoty hi us din kisi bhi wqt jaskhti he bahir?

Answer: Talaq ki iddat say murad yeh hay k wo aurat is muddat k doran shadi nah karay or wafat ki iddat men shadi nah karnay k sath sath zenat kerna us par haram hay lekin kisi kaam k liay ghar say bahar ja sakta hay or wafat ki iddat 4 mahine 10 din hoti hay . Ref: (Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, part#03,Mafhoom e Maslah #550/578 ). Update on dated 10-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10084
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere Walid ka intaqal ke waqat Walid ki Umar 80 plus or walida ki Umar 60 plus hai kia Meri walida iddat mein Beth sakti hai

Answer: Iddat e wafaat k liye aurat ki umar nahi dekhi jaati chahay jitne saal ki ho shohar ki wafaat par biwi ko iddat rakhni hogi iddat ki muddat qamari 4 mahine 10 din hai. Jo aurat wafaat ki iddat mai ho us k liye zenat wala libaas pehenna, surmaa lagaana aur isi tarah aise doosray kaam jo zeenat shumaar hotay hoon haram hain. Lekin ghar sai nikalna haram nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2481,2482). [Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10390
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر عورت نے ہمبستری نہ کی ہو اور طلاق ہو جائے تو کیا عدت واجب ہے یا نہیں؟؟؟

Answer: Agar hambistari k baghair aurat ko talaq d jaey tu koi iddat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton#41, maslah#2475). [Updated on 13-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10405
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 0 Answers found for "Assalam0alaikum. Mera sawal h k ek lrki ka nikah hoa or uski rukhsati se pehly talaq ho gai to kia uski iddat ho gi ya ni or agr h to kitni h. Wassalaam jwab ka muntazir "

Answer: wsalam. Agar hambistari nahi ki ho tu iddat nahi hay or agar hambistari ki ho tu iddat wajib ho gi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2474,2475) [Updated on 19-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10553
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aur ladki ki iddat kya hogi jisne shadi ki 1 month me talak ho gaya ho aur es duran dono me kisi bhi tarah ka physical relationship na bana ho to kya ladki ko iddat puri krni hogi dusare nikah k liye

Answer: Agar shadi k baad se hambistari nah hoe ho tu phir koi iddat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail Ayatullah seestani edition#41, maslah#2475) [Updated on 13-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10637
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya iddat mai aurat dusre bate k paas jasakte hai agar do makan mai dewaar hai aur aurat ek bate ke gar mai rehta hai

Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Minhajus Saliheen part#2,published by aarul hujjah, Mafhoom e Maslah #1446,1452). Update on dated 27-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!