Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6210
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: iddat main umra karne k liye jana jaiz ha

Answer: Agar ye iddat talaq ki hai to shohar ki ijazat k baghair nahi ja sakti hain laikin agar ye iddat wafat ki hai to umrah karnay ja sakti hain. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482-2487). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6816
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslamu alekum. Sir mera talak ho chukka hai. Main apse ya puchna chahte hu ki mujhe talak main kitne din iddat main rahna hoga. Or kin kin cheezo sa par-heez karna hai. Or meri iddat kaise puri karu. Please mujhe jalde bataye. Khuda haffiz

Answer: Jis aurat ki umar pure 9 saal hochuki ho or wo yaaisa bhi na hon, or os k shohar os se hambistry ki ho to talaq ki surat men os per iddat wajib hai, is surat men agar 2 haiz ka darmiyani fasla 3 mahino se kam hai to talaq k bad jab bhi ap ko 3 dafa haiz aye to os ki idat khatam hojaye gi.(matlb talaq k bad teesra haiz aate hi apki iddat ka waqt khatam ho jata hai) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6940
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam u Alikum..mery walid ki 2 month pehly death ho chuki hai or meri walida iddat main is doran kya woh mobile phone py kisi ghair mehram se baat kar sakti hai jesy k koi relative...plz jaldi ans den..

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6944
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam u Alikum..meri waleda iddat main hai is doran kya woh apny damad se bhi parda kar sakti hai ya nhn???

Answer: Zaruri nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7004
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi apni biwi ko talak de deta hai to kya wo fir us se nikah kar sakta hai? Pls is ka pura maslah quran or hadis se bataye bohot meharbani hogi.

Answer: Jee haan bilkul kr sakta hai, balkeh agr talaq rijee (rujoo wali) ho to agr orat abhi tak talaq ki iddat men ho to baghair nikah kiye us ki taraf ruju ker sakta hai, lekin agr talaq ki iddat khatam hogai ho to is surat men nikah krna hoga, lekin jo talaq di thi agr wo 3rd(teesri) talaq thi to us k bad wo orat os merd se nikah kersakti hay jab wo kisi or merd se shadi kare or chand sharit k sath talaq le phir ye pehle se shadi jaiz hogi .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2486). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8207
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya edat k duran aurat ka bahir jana jaiz hy or tasaveer banwana jaiz...or kis kis sy milna karna jiaz.plz foran ans dy

Answer: Iddat e wafaat main ye sab kaam jaiz hain balkeh ghar se bahar nikalna bhi jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8403
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assaamolaykum me ye janna chati hu ki me abhi iddat me hu kya me ghar per rah kar online kaam kar sakti hu ? or kaam ke silsile se agar bat karni pare to kya me kisi bhi candidate se phone se ya mail se bat kar sakti hu?

Answer: Iddat e wafaat main ye sab kaam jaiz hain balkeh ghar se bahar nikalna bhi jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8998
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 70 saal ki oraat ki edat kya h ?

Answer: Is aurat per iddat e wafaat wajib hay jo keh 4 mahine 10 din hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzihul masael, maslah#2481). Update on dated 07-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9026
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o walaikum ... mera sawal ya hy . mera sohar 4 saal pehly mujhy chor kar chala gaya hy or kisi kism ki khairiat nhi pochta hy usny dosri shadi bhi karli hy .. main bhi ab shadi karna cahti ho to mujhy kia karna cahey plz answer

Answer: Aap apnay shohar se talaq ka mutaalba ker sakti hain, or talaq milne k baad iddat e talaq pori hone k baad aap dossri shadi ker sakti hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2462-2472). Update on dated . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9210
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri walda aur mery walid ki elahdgi howy 15 sal ho gye koi rabta nahi dono ka APAs mai. Meri walda ko 5 saal ho gye menopause howy ab mery walid ka intiqal ho gya ha tu kya meri walda par iddat wafat jayz ha.

Answer: Is sorat main bhi Iddat e wafaat wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!