Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Gunahaan-e-Kabera ( 314 Questions)


Id: 16784
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam un Alaikum Kya Allah se shikwa krna gunah h?

Answer: Agar ye shikwa o shikayat, Allah taala ki rahmat se mayoos hone ki wajah se ho to ye Haram aur ghunah e kabira hai Q ke Allah taala ki rahmat se mayoos hona Haram aur ghunah e kabira hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #30). [Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16798
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal hai ki zina krne ke 40 din tak insan napak rhta hai ?

Answer: 1: Zina karna Haram or gunah e kabira hai lekin is se insaan 40 din tak napak nahin rehta balke agar zina ke baad wo shakhs napak maqam ko paak kar lay aur ghusl janabat kar lay to wo shakhs pak ho jata hai, aur namaz aur is tarah ki ibadaat de sakta hai. 2: Is ghunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtela hota ho to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. 3: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega Q ke Parwardigar ne Quran me wadah kiya hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #156,356,2407. + sistani.org ques #1, tauba, link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ). [Updated on 23-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16813
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Larky KY sath sex krna kesa hai Islam Mai iski Kia saaza hai Islam mai

Answer: 1: Mard ka mard ko shehwat ki nighah se dekhna jaiz nahin hai. aur isi tarah mard ka mard se gair fitri amal anjaam dena bhi jaiz nahin hai. aur ye amal Lawaat (iglaam/homosex) kehlata hai or ye ghunah e kabira hai. 2: Aise ghunaghar ko duniya me saza dene ka talluq Islami hukoomat me Hakim e Shara (yani mujtahid) ke hukum se hai. Albatta kabira ghunah se muraad ye hai: baaz mufassreen ne un ghunaahon ko kabira qarar diya hai jin par quran Majeed mein azaab e ellahi ka wada kiya gaya hai. Isi tarah baaz hazraat ka yeh kehna hai ke ghunah e kabira woh ghunah hai jis ke irtikaab karne walay par ”had e sharaei“ jari hoti hai. lekin sab se behtar yeh hai ke hum yuon kahen ke baaz ghunah ko Kabira kehna khud is ke azeem honay par Dalalat karta hai, lehaza jis ghunah mein darj zail sharaait mein se koi aik shart payei jaye to woh ghunah kabira hai: 1. Jin ghunaahon par azaab e ellahi ka wada kiya gaya hai. 2. Jin ghunaahon ko quran o sunnat mein aham qarar diya gaya hai. 3. Jin ghunaahon ko sharaei manaabe mein ghunah kabira se bhi azeem qarar diya gaya hai. 4. Jin ghunaahon ke baray mein muatabar riwayaat mein kabira honay ki wazahat ki gayei hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30). website link; sistani.org , topic #qisaas. + link; https://www.makarem.ir/main.aspx?reader=1&pid=62027&lid=4&mid=60134&catid=6478). [Updated on 03-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16847
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr koi na mehram mard sex krna chaye or ourat nai krna chahti zina k dar sy wo phir b sex kry or ourat apni feelings ko control rakhy or insert na krny dy to kya wo b zina ha or ourat zina ki murtaqib hogi mana krny k bawakod

Answer: Kisi mard ya aurat ko zina karne par itna majboor kya jaye ke us mard ya aurat ko khilaaf warzi karne ki surat mein jaan se maaray jane ka yakeeni khadsha ho to sharan yeh zina bil-jabr (zabardasti zina) kehlata hai, jabr ki is surat mein zina waaqay ho jane ki wajah se majboor yani jis ke sath zabardasti zina kya gaya ho ya jis se zabardasti zina karaya gaya ho woh ghunah gaar nahin hoga aur is par zina ki had laago nahin hoti, Albata agar kisi ne kisi aurat ke sath jabran zina kya to us zaani shakhs par har surat mein zina ki sharaei had jari hogi. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #30). [Updated on 06-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16908
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Najaiz olad ktm krna kia h

Answer: Aulaad chahe jaiz ho ya na-jaiz dono surton me qarar e nutfaa (aurat ke rehm men mard ki mani thehrne) ke bad isqat e hamal (bachhe ko zaya) karna jaiz nahin hai magar ye khoaf ho ke hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi ke liye nuqsandeh hai ya na-qabil e bardasht haraj ka baais ho to agar hamal men jaan na pari ho to isqat e jaaiz hai. lekin hamal men jaan parne ke bad bachhe ka zaya karna hargiz jaaiz nahin hai, chahe maan ke pait me maujood ho ya paida ho chuka ho. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, pg #466, 364, maslah #72,2367). [Updated on 15-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16912
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ak larka dosra larka ka nafas mouth ma lata ha to kia hota ha

Answer: Aik mard ka dosre mard ko shehwat ki nigah se dekhna, gale lagana, bosa dena ya koi jinsi amal anjaam dena, Haram or ghunah e kabira hai. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #460,500. + Minhaaj us Saliheen, part #3, maslah #30). [Updated on 18-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16935
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kaya 2 lrkian uzuye khas k illawa zina kr skti hen

Answer: Aik aurat dusri aurat ko shehwat ki nigah se nahi dekh sakti (yeh jaaiz nahin), isi tarah shehwat ki niyat se aik aurat ka dusri aurat ko gilaay lagana, is ka bosa lena aur is se chhair chhaar karna, yeh saaray aamaal Haram hain agarchay Haram ke darjaat mukhtalif hain. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #460,515). [Updated on 22-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16969
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If a man was gay and he indulged in sexual relationship with another man ,can he be forgiven by Allah if he repents or not. Thank you

Answer: 1: Mard ka mard se gair fitri amal anjaam dena (sexual relationship) jaiz nahin hai aur ye amal Lawaat (iglaam/homosex) kehlata hai aur ye ghunah e kabira hai. aur is se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho ya aurat, agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtela hota ho to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. 2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega Q ke Parwardigar ne Quran me wadah kiya hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. 3: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke ghunah ki taraf dobaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2407. + sistani.org ques #1, tauba, link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ). [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16975
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Slam sir kya blowjob kr y sy gusal wajib ho ta ha agar bs larka discharge ho or larki na ho ...expalain kr day

Answer: Agar larka aur larki dono ke darmiyan jima(intercourse) nahin hua aur larka aise hi hath wagera se sehlane aur piyar, muhabat karne ki wajh se discharge hua ho to is surat me larki par ghusl wajib nahin hoga. Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.( (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344,345,348, 2407). [Updated on 08-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17269
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi shaks life mien 2 baar Zina Kary us orat sy jo pesy le ker Kam karti hy. Ore us shaks ny yeh socha ho ky yeh ghuna kar ky baad mein toba kar loon ga. Kia us ki toba qabool ho gi? Ore Zina ka Kia kaffara hy?

Answer: Jis kisi ne koi ghunah kiya ho to use chahiye ke wo sachay dil se tauba kare. aur Sache dil se tauba karne se Parwardigar e aalam yaqeenan muaf farmaye ga Q parverdigar ne Quran majeed me wada kiya hai ke wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. Aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waday par amal na karay. (Ref: website Ayatullah Sistani(d.b), tauba, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ). [Updated on 27-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!