Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Gunahaan-e-Kabera ( 314 Questions)


Id: 16152
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I'm a girl nd I regularly watch porn after every 2 or 3 days, I don't do finger or something else there in my vagina but I feel orgasm so I just want to know that do I gone napak?

Answer: 1: Jinsi film (sexy video) ya (sexy) tasaveer ko shehwat ke sath dekhna Haram hai balke Ehteyat wajib ki bina par fahash filmon aur tasweeron ka dekhna baghair shehwat ke bhi Haram hai. 2: Istimna (mani nikaalna) or khud lazzati karna Haram or Gunahaan e kabeera me se hai chaahe hath ke zariye ho ya sexy film or tasweer par nigah daalne se ho ya khayalaat or is tarah ki cheezon ke zariye se ho. 3: Wo rutoobat jo aurat se shehwat ke saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha jaa sake aur libaas ko aalooda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaye to ye Najis bhi hay aur is aurat ko mujnib shumaar kiya jaye ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. isi tarah ehtiyat e wajib ki bina par agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi puhnche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe par kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko mujnib shumaar kiya jaye ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. 4: Is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal #166, pg #82. + Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #1443, Maslah #544. + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #2407). [Updated on 03-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16176
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Muje puchna tha k agar shohr apni biwi ki bajaaye kisi na mehram (dewarani) k hath ka khana khaye .biwi pr jhootha ilzam lgata ho k tum khaane main kuch milati ho dam krti ho.but haqiqat mai aesa kuch na ho to islam is bare main kia kehta hai.

Answer: Kisi na mehram ke hath ka bana hua khana, khana to jaiz nahin albatta sharaei parday ka khayal rakhna bhi zaroori hai. Jabke kisi momin ya monina par Tuhmat lagana yani kisi ki taraf naarwa aur jhooti baat ki nisbat dena joke us me maujood na ho ye jaiz nahin hai aur gunahan e kabira me se hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2397,2399. + Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), part #2, Edition #1443, Maslah #394,470). [Updated on 11-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16250
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya unmaried khatun ka khud se sex krna gunha or kya wo napak hojati

Answer: 1: Khatoon married ho ya unmarried khud se sex karna gunah kabira hai Q ke Istimna (masturbation, mushtzani) or khud lazzati karna Haram or Gunah e kabira hai chaahe hath ke zariye ho ya sexy film or tasweer par nigah daalne se ho ya khayalaat or is tarah ki cheezon ke zariye se ho. Aur istimna, khud lazzati karne ki wajah se agar mani (semen) kharij ho to namaz or is jaisi ibadatain anjaam dene ke liye ghusl e janabat bhi karna zaroori hai. 2: Agar kisi se koi Ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se Allah taala ki bargah me tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi. 3: Tauba ka sahi mafhoom ye hai ke sub se pehlay sharmindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain ke is gunah ko dobara anjaam nahin dain gi. 4: Taqwa e ilahi ke zariye se is se nijaat hasil ki jaa sakti hai or jin cheezon or maqamaat se jazbaat main tehreek(harkat) paida hoti hay un se door raha jaye. or Allah talaa ka kasrat se zikr kiya jaye or is se bachne ke liye sakht koshish ki jaye is tarah se ke aap apne ghar walon ko shadi ke liye kahen aur unhen manayen. 5: Isi tarah gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho ya aurat, agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam (jaise ke masturbation, mushtzani) me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. (yani wese to shadi karna aik mustahab amal hai lekin aap ke liye shadi karna wajib ho gaya hai Q ke agar shadi nahin karen gi to gunah me mubtela hon gi). 6: Ghunah ka jab khayal aaye to hameshah yeh yaad rakhain ke Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day kar aap shaitan ka hokum maan rahe hain or Allah ki na-farmani kar rahay hain. aur koshish karain ke khuch mufeed kaamon main khud ko masroof kar lain jaisay sports, parhayei waghaira, or har os cheez se bachain jo jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karay. Agar khud par qabo nah paa sakte hon to roza rakhain Q ke roza ghunahon ke muqabilay me dhaal ka kaam karta hai. 7: Hazrat Imam Ali Riza (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq waqt e zawaal(e aaftab) 150 baar "yaa quddoos" ka wird karne se dil noorani ho jata hay or is wird ki wajah se shaitaani waswason se aman mil jaati hay. aur waswase ke liye "Laa haula walaa qoowwata illaa billaah" parhain. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #544. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). + link: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=262 . + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #344,354,355,2407. + Dunya or akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, pg #20. Mafati jinah, pg #208). [Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16275
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr ap jis Sy bhot Pyr krty ho lkn wo bhot ghusa krta h us k isi ghusy k dar ki waja sy ap jhoot bol do to kia ye ghlt h

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Jhoot bolna yani wo khabar dena jo haqeeqat mai na ho ye gunah e kabeera hai chahe is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. Is mai koi faraq nahin ke jhoot mazaq me bola jaye ya sanjeedgi men. 2: Jhoot bolna faqat do maqamaat par jaaiz hai: 1. Apni ya momineen ki jaan bachane ke liye. 2. Do logon men islah karane ke liye. 3: Agar tauriyah kiya jaye to koi haraj nahin hai. tauriyah yani alfaaz ke zaaheri mafhoom ko chhor kar dosray matlab ki niyat karey maslan agar koi zaalim kisi ko aziyat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pooche ke kiya tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay ke mein ne use nahin dekha aur qasad (irada) ye karay ke is waqt sai 5 minute pehlay mene use nahin dekha. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #38. + sawal o jawab website agha sistani Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 . + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2638). [Updated on 14-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16328
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar bina koi relationship k shadi se pahle mard aurat k seene ( breast) uper uper haath lagana ya dabana zina hai

Answer: 1: Yeh zina to nahin hai lekin kisi na mehram mard or aurat ka aik dosre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya bosa dena(kiss karna) chahe lazzat or shehwat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair ye tamam kaam bhi Haram or gunah e kabira me se hain. aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. 2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399,2407. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16360
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya hath sy muth marna jaz hy

Answer: Istimna (masturbation, mushtzani) or khud lazzati karna Haram or Gunah e kabira hai chaahe hath ke zariye ho ya sexy film or tasweer par nigah daalne se ho ya khayalaat or is tarah ki cheezon ke zariye se ho. Aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam (Jaise istimna e.t.c........) me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #544. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2407). [Updated on 05-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16395
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mere ghr wale meri shadi nai karwa rai or mujhe sex karne ka man karta men kia karon ?

Answer: 1: Gunah se bachne aur jinsi taskeen ka sharaei aur halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho ya aurat, agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam (Jaise sex e.t.c........) me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. 2: Rasool(s.a.w.w) ne famaya: Surah e yaseen ki tilawat kiya karo, is me 10 barkatain hain (in me se aik ye hai k) gair shadi shuda, shadi shuda ho jayen gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2407. + Dunya o akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, pg #18). [Updated on 14-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16436
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar jawan ladka kisi tawaef se zina kar le to uske saza e kaffara kya hai?

Answer: 1: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega. 2: Inssan jab tauba karay to use ye yaqeen hona chahiye ke parwardigaar e aalam ki rehmat buhat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q ke Parwardigar ne quran majeed mai wada kiya hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waday par amal na karay. 3: Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi par nidamat hai. aur isi liye kaha gaya hay ke “ nidamat hi tauba hai ”. aur waazeh hay rahay ke haqeeqi nidamat hamesha gunah ke tark ke mazboot irade aur dobara is ki taraf nah palatnay ke irade ke saath hoti hai aur haqeeqi naadim shakhs chahe mard ho ya aurat, zaroor bil zaroor apne pichle gunahon ka izaala aur tadaruk karta hai. agar us ka gunah huqooq e khuda main se ho to khuda ki baarghaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho to anjaab day. aur agar huqooq e naas (logon ke huqooq) us ke zimmay hon to zaroori hai ke sahib e haq se us haq ka apne upar halal hone ki ijazat lay lay ya us ka haq us ko day day. Taubah faqat " Astaghfirullah " kehne se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha ghunah ke tark karne ka mazboot irada or us ka tadaruk laazim hay. Albatta agar tauba ke baad gunah kare tub hi remat e Khuda wandi se mayoos nah ho balkeh zaroori hai ke dobara tauba karay, Q ke Khuda kareen or meherban hai aur bakshnay wala hai. aur tauba karnay walon ko dost rakhta hai. Hadees shareef main hay ke: “ Aik lamha fikr karna 60 saal ki ibadat se behtar hai” aur tauba main asar andaaz cheez ye hai ke azmat e Khuda aur us ka apne bandon par haq aur khuda ka har jagah hazir o nazir hone par fikr karna hai. aur isi liye hadees main aya hay: “ tanhaei main bhi gunah ke anjaam dene se parhaiz karo ke Khuda haazir or naazir (dekhne) wala hai ”. (Ref: Ayatullah sistani(d.b) ques #1, tauba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/. + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 21-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16451
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aik jawan shadi shuda beta apni maa k sath aik hi bistar par akele so sakta hai jab k uski biwi maikay gayi hui ho?

Answer: Agar behekne (ghumrah hone) ka khouf na ho to aik sath aisi jagah so sakte hain jaha koi na ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2401,2409). [Updated on 24-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16462
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikum sir Agr zina k bry m pta ho k ye bht bra gunah h phr b Jan bhoj kr Kiya jay...sb kxh pta hony k bd b....leken ab Dil pareshan h or lg Ra Zindagi jesy brbad ho gae ...kya krna chahye in sb m..

Answer: 1: Zina ye hota hai ke aik baaligh or aaqil mard (jo pagal na ho) apne uzo e tanasul (penis) ko hashfe (glanspenis) ki miqdaar ke barabar aik aisi aurat ki agli (vagina) ya pichli (anus) sharamghah main daakhil kare jo is mard ke liye halal na ho. Aur zina Haram or gunah e kabira hai. 2: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath aur sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem aur bakhshne wala hai aur use bhi yaqeenan bakhsh dega. 3: Inssan jab tauba karay to use ye yaqeen hona chahiye ke parwardigaar e aalam ki rehmat buhat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q ke Parwardigar ne quran majeed mai wada kiya hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waday par amal na karay. 3: Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi par nidamat hai. aur isi liye kaha gaya hay ke “ nidamat hi tauba hai ”. aur waazeh hay rahay ke haqeeqi nidamat hamesha gunah ke tark ke mazboot irade aur dobara is ki taraf nah palatnay ke irade ke saath hoti hai aur haqeeqi naadim shakhs chahe mard ho ya aurat, zaroor bil zaroor apne pichle gunahon ka izaala aur tadaruk karta hai. agar us ka gunah huqooq e khuda main se ho to khuda ki baarghaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho to anjaab day. aur agar huqooq e naas (logon ke huqooq) us ke zimmay hon to zaroori hai ke sahib e haq se us haq ka apne upar halal hone ki ijazat lay lay ya us ka haq us ko day day. Taubah faqat " Astaghfirullah " kehne se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha ghunah ke tark karne ka mazboot irada or us ka tadaruk laazim hay. Albatta agar tauba ke baad gunah kare tub hi remat e Khuda wandi se mayoos nah ho balkeh zaroori hai ke dobara tauba karay, Q ke Khuda kareen or meherban hai aur bakshnay wala hai. aur tauba karnay walon ko dost rakhta hai. Hadees shareef main hay ke: “ Aik lamha fikr karna 60 saal ki ibadat se behtar hai” aur tauba main asar andaaz cheez ye hai ke azmat e Khuda aur us ka apne bandon par haq aur khuda ka har jagah hazir o nazir hone par fikr karna hai. aur isi liye hadees main aya hay: “ tanhaei main bhi gunah ke anjaam dene se parhaiz karo ke Khuda haazir or naazir (dekhne) wala hai ” (Ref: Al-Lumatud damashqiyah, part #3, chapter kitab e hodood, pg #313. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ . + E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 27-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!