Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Gunahaan-e-Kabera ( 314 Questions)


Id: 16501
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Umrah k waqt agr apka ahram (chest ko cover krne wala) ghum hjae to kya ap kisi or ka ahram phn saktey and umrah complete karsktey?

Answer: Kisi musalman ki razamandi ke bager us koi bhi cheez istemal karna haram aur ghunah e kabira hai, lekin us se ijazat lay kar istemal ki jaye to koi haraj nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #394). [Updated on 29-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16510
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran or hadees ki roahni main kiya aik MOMIN kssi dusre MOMIN pe lannat kr skta hai or munafiq keh sakta hai?

Answer: Momin ko gaali dena ya bure alfaaz kehna, laanat karna, us ki tauheen karna, us ki tazaleel karna, us ke raaz ko faash karna, us ke makhfi gunaahon ke bare me jasoosi karna, us par tuhmat lagana, gheebat karna, us ka mazaaq urana, us ko ruswa karna, us ki naqal utaarna, use darana, dhamkana yeh tamam kaam Haram aur Gunahan e kabira hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #394). [Updated on 19-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16553
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mry dost na na'mehram orat ka dodh pia to ab is ka kafara kesy Adda kren

Answer: Is ka kaffara to nahin hai albatta lazim hai ke Tauba ki jaye. aur gunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyaatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se gunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #393). (Ref: sistani.org ques #1, tauba, link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/). [Updated on 02-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16568
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia galion se wazu tote jata hai

Answer: Gaali dena Haram aur Gunahan e kabira hai, lekin is se wuzu baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #394. + Tauzeeh ul Masail, edition #42, maslah #322). [Updated on 11-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16610
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jo mard kse orat ke sth mobht ka dawa kre or zana kr ke usse chor dy is ke liye kuch mtlb ak to wo orat ka dil tora dusra zana kr ke usse chor dy asy me mard ke kuch kahy us ko is ki saza mily gi

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jins e mukhalif se is had tak dosti karna ke mohabbat ki had tak puhnch jaye, sharaei taur par to ye jaiz hi nahin hai Q ke ghunah mai mubtila hone ka khauf maujood hai. aur muhabbat to door ki baat, kisi na mehram se dosti karna hi Jaiz nahin hai. ab is par mazeed yeh kaha jaye ke us ne dokha diya hai ya bewafai ki hai aur phir is ki saza kya hai yeh to buhut door ki baat hai. Albatta zina haram aur ghunah e kabira me se hai ke jis ke bare me saza aur azab ka wada kiya gaya hai. (Ref: Nigah aur libas, sawal #106, pg #69. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). [Updated on 22-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16658
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum qibla mera sawal ye hai ke Mera cousin 1 saal se canada mei coma mei hai us ki sansei tou chal rhi hai magar hosh nhi araha tou aisey surat mei Kiya hukum hai? Jazakallah

Answer: Doctor ko yeh haq nahi puhunchta ke wo apne mareez ke badan se is machine ko alag kar day jo dimagh ki maut ke bawajood mareez ke dil mein harkat peda karti hai aur is mareez ki zindagi pauday ki zindagi ke manind ho jati hai jo is machine ke amal ke baghair baqi nahin reh sakti. Doctor ka yeh kaam islam mein insani zindagi ki ahmiyat ke paish e nazar jaaiz nahin hai aur agar mareez ya is ke lawahiqeen mareez ki jaan bachanay se inkaar karen to doctor ko chahiye ke wo is inkaar par tawajjuh nah day aur agar doctor is machine ko nikaal day aur mareez ki maut waaqay ho jaye to doctor qaatil shumaar hoga. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #354). [Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16671
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kisi mard se massage karana haram hain

Answer: Aik mard ka dusre mard ko bazaat e khud massage karne me koi haraj nahin hai yani haram nahin hai balke jaiz hai. albatta agar ghunah me mubtila hone ka khauf ho to phir jaiz nahin. Q ke aik mard ke liye dusre mard ka badan lazzat aur shehwat niyyat se dekhna aur chhoona haram hai. isi tarah agar haram kam me mubtila hone ka khauf ho tab bhi haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2402) [Updated on 03-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16700
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr bar bar hath or ankhon kaa zina hojae to iski maafi kese milegy ?

Answer: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se ghunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #393,394). (Ref: sistani.org ques #1, tauba, link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ). [Updated on 07-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16770
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If a married woman did sex just one time and then want to marry a guy. What is kaffara? That they will get married

Answer: Aurat ka apne shohar ke alawa kisi aur se jismani talluq rakhna Haram or ghunah e kabira hai. Agar shohar daar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani (zina karne wale) par hamesha ke liye Haram ho jati hai, isi tarah shadi shuda aurat ka kisi dosre mard se nikah karna bhi Haram hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2366). [Updated on 17-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16783
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum Question ye hai k agr koi lady Kisi na mehrum k sath Bethi ho,or us na mehrum ne hath pakra ho ya jism ko touch Kiya ho tou us lady per ghusl wajib ho jaye ga ,jub k lady ko koi sehwat bhi na ho

Answer: Na-mehram aurat ke jism ke kisi hissay ko choona (touching) Haram hai, chahe lazzat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair, balke choona to door, dekhna bhi Haram hai. lekin faqat choonay (touching) se insaan (mard, aurat) junub nahin hota hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397,344). [Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!