Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 921
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KIYA WALID KAY KEHNAY PAR 5 BHAI PAISAY MILA KAR BAKRAY KI QURBANI DAY SAKTAY HAIN,KIYA AISA KARNA JAIZ HAI?

Answer: Baqra eid k din qurbani kerna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2036
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.A Janwar ko Zibah (Halal) krne k shari ahkamat kia hain?

Answer: jaanwer ko zibah karnay ki chand sharait hein: 1. zibah karnay wala zarori hay k musalman ho. 2. jahaan tak ho sakay jaanwer ka gala lohay ki churi se kaatay. 3. zibah kartay waqt jaanwer ka rukh qibla ki taraf ho. 4. zibah ki niyat se zibah karnay wala khud khuda ka name lay. 5. zibah honay k bad jaanwar harkat karay. 6. jaanwer k badan say itna koon niklay jitna mamool k mutabiq nikalta hay. 7. jaanwer ka gala zibah ki niyat say kata jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2557) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2746
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya mai apne ammi abbu ke naam se qurbani kara sakta hu ..plz reply

Answer: Jee Haan Baqra eid ki Mustahab qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4).

Id: 2792
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a,o,a.sir kya qurbani k janwar yani bal k 2dant hone zrori han?hwaly k sath btaen THANKS

Answer: Wssalam o alykum, 2daant ka hona zarori nahi hai balke ehtiyaat e wajib ke toor per zarori hai ke bell pore 2 saal mukammal kar chukka ho.(sistani .org arbi porstion, topic # azha , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 2865
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam kia eid ki namaz say pahaly janwar qurban kar sakthy hain ya is ka koi time mukarar hay.

Answer: Gee han namaz-e-eid say pehlay janwar qurban ker sakte hain,qurbani ka waqt tulu e aftaab sey shuru hota hai.(Ref : www.sistani.org ). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Id: 3047
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KIA FIQH JAFFRIA KAY TEHT HUM KHASI BAQRAY KI QURBANI KAR SAKTAY HAY AGAR HA TO KUN KUN SI SHARIAT HAY

Answer: 1. Qurbani kerna takeed k saath mustahab hay. 2. Qurbani k jaanwer main on sifaat ka hona zarori nahi hay jo k hajj ki wajib qurbani k jaanwer main hay, layhaza kaana(One eyed), langrha(Lame), kaan kata, seengh toota, khassi aur dublay jaanwer ki qurbani jaiz hay. agarchah afzal ye hay k mukammal aaza(parts) or motay(Fat) jaanwer ki qurbani ki jaay. 3. Qurbani k jaanwer main mutabir hay k wo 3 qisim k maweshi main se ho yani 1-aunt, 2-gaay or 3-bheerh, bakri , dumba ho, or ehwat{lazim} ki bina par jis aunt k 5 saal mukammal nahi hoay hoon or jis gaay or bakri k 2 saal mukammal nahi hoay hoon or jis bherh, dumbay k 7 mahinay mukammal nahi hoay hoon, kaafi nahi hay. 4. Qurbani soraj nikalne se pehlay nahi ki jasakti.(Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=271 )

Id: 4402
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamunalaikum ! Eid-e-Qurban ki qurbani min Gai (cow) ki kitne hisse (parts) kerna mustahab hain? Aur kya qurbanike aik hisse min 2 ya 3 momin shamil ho sakti hain?

Answer: Baqra eid k din qurbani kerna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4483
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o Alcom Mera sawal yeh hai k ISLAM mein Qurbani kin kin janwar ki jaaiz hai

Answer: Qurbani k janwar main mutabir hay k wo 3 qism k maweshi main se ho yani 1-ount(camel) , 2-gaay or 3-bhairh, bakri , dumba ho, or ehwat{lazim} ki bina par jis ount k 5 saal mukammal nahi hoay hoon or jis gaay or bakri k 2 saal mukammal nahi hoay hoon or jis bherh, dumbay k 7 mahinay mukammal nahi hoay hoon, kaafi nahi hay. (Ref : http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=271) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4503
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slam kia qurbani farz hai is ki tafseel bayan farmain mehrbani ho gi

Answer: Baqra eid k din qurbani karna mustahab e maukadah hay.or is qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 janwar ko qurban karay, isi terah qurbani main ka’e afrad(many persons) ki shirkat jaiz hay.(Ref : Sistani(d.b), Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah # 27, sawal # 4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4511
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: eid ul azha ki qurbani kin janwaron per jayaz ha our bhans yani baffallow per qurbani jayaz ha ya nhn

Answer: Qurbani k janwar main mutabir hay k wo 3 qism k maweshi main se ho yani 1-ount(camel) , 2-gaay or 3-bhairh, bakri , dumba ho, or ehwat{lazim} ki bina par jis ount k 5 saal mukammal nahi hoay hoon or jis gaay or bakri k 2 saal mukammal nahi hoay hoon or jis bherh, dumbay k 7 mahinay mukammal nahi hoay hoon, kaafi nahi hay. Aur buffalo ki qurbani jaiz hai(Ref : http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=271) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!