Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 26
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Q:1 Whose reward is more than the other between these two namaz ? (1) wajib namaz e.g. namaz e zuhr OR (2) mustahib namaz e.g. namaz e tahajjuj ( namaz e shab )

Answer: Salam un Alaikum, We are extremely sorry for the late reply because of some functional reasons. We will try our best for the quick responce later. The obligatory prayer (wajib namaz) has more reward.

Id: 63
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: if a man is praying and his mother calls him what he should do?

Answer: Salam un alaikum, 1) If he is praying an obligatory prayer, he should not cut it. In fact cutting it is impermissible. Ref: Istiftaa Aqai Khamenai

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 73
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam o alikum, namaz main ruku k foran bad ager sajday main bholy say cahlay jaain tuo kiya hukum hai. wassalam.

Answer: Ruku kay baad qayam rukn nahi hay lihaza agar koi shakhs isay bhool kar tark karday to is ki namaz sahih hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.945.

Id: 78
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA YAALIMADAD shia namaz aik sath kion ada kertay hain and plz i need ans in detail with authentic books

Answer: Fiqh e Jafery main bhi log 5 Namazain parhtay hain.Laikin Azan 3 is liye detay hain kion kay wo Jam bainas Salatain kartay hain yani Zohar aur Asr ko Jama kartay hain aur Maghrib aur Isha ko Jama kartay hain Kion in Namazon ko Juda kar kay Parhna Lazim nahi hay,Agarchay Afzal ye hay kay har Namaz ko uskay Fazeelat kay Waqt main ada karain balkay fazeelat kay waqt kay bhi Awwal e Waqt main ada karay.Kionkay Rasool SAWW nay Zohar o Asr aur Maghrib o Isha ko 1 Azan aur 2 Iqamatoon kay saath Jama kiya hay baghair kisi wajah kay.Ref:Isitiftaat A.Sistani I-8.

Id: 83
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz main doaey qunoot kay baad moo par hath phair lain to kiya hukum hai.

Answer: Aisa karna makrooh hay.Ref:Urwatul Wusqa Pg.188,Masala No.11.

Id: 104
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Molana sahab Salam, mera wawal hai keh mai Landhi me kam karta hu jis ka fasla takreeban 30 se 35 Kilo meter hai kia mejeh Kaser Namaz parni hogi Ya puri Namaz Parni Hogi Thanks

Answer: Jee Nahi.aap ko poori namaz parhni paray gee.Ref:Tauzeehul Masail A.Khoie Masala No.1289.

Id: 105
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: please let me know the timings for all the five prayers (Nimaz) at which these get Qaza.

Answer: A.Sistani kay nazdeek.. Namaz-e-Fajr:Subah ki azan kay qareeb mashriq ki taraf say aik safeedi ooper uthti hay jisay fajr-e-awwal kaha jata hay jab ye safeedi phail jaey to wo fajr-e-doom aur subah ki namaz ka awwal-e-waqt hay aur subah ki namaz ka aakhri waqt sooraj nikalnay tak hay,is kay baad namaz-e-fajr qaza ho jati hay..Namaz-e-Zohar-o-Asr:Zohar aur Asr ki namaz ka waqt zawal-e-aaftab (zohar-e-sharee yani aadha din guzar janay) kay baad say ghuroob tak hay.is kay baad namaz-e-zohar-o-asr qaza ho jati hay.aur ghuroob-e-aaftaab say itni dair pehlay kay sirf chaar rakat namaz ka waqt baqi reh jaey to namaz-e-zohar qaza ho jati hay aur sirf namaz-e-asr ka waqt baqi bachta hay..Namaz-e-Maghrib-o-Isha:Agar shak ho kay sooraj ghuroob hoa hay ya nahi aur is baat ka aihtimaal ho kay soorajpahaaroo,imaaratoo ya darakhtoo kay peechay chup gaya hay to zaroori hay kay jab tak mashriq ki taraf ki surkhi jo sooraj ghuroob honay kay baad numoodaar hoti hay insaan kay sar kay ooper say na guzar jaey maghrib ki namaz na parhay balkay agar shak na ho tab bhi aihtiyaat-e-wajib ki bina par zaroori hay kay mazkoora waqt tak sabr karay.Maghrib aur Isha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs kay liye aadhi raat tak rehta hay laikin jin logoon ko koi uzr ho masalan bhool janay ki wajah say ya neend ya haiz ya in jaisay doosray umoor ki wajah say aadhi raat say pehlay na parh sakay hoon to in kay liye maghrib o isha ki namaz ka waqt fajr tuloo honay tak baqi rehta hay laikin in dono namazoo kay darmiyan mutawajjeh honay ki soorat main tarteeb motabar hay yani isha ki namaz ko jaan boojh kar maghrib ki namaz say pehlay parhay to batil hay laikin agar isha ki namaz ada karnay ki miqdaar say ziada waqt baqi na raha ho to is soorat main lazim hay kay isha ki namaz ko maghrib ki namaz say pehlay parhay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.123-126,Masala No.718,723,724,729.

Id: 122
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz kay tashahud main wilayat ali a.s ka iqrar karna jaiz ya nahi imam jafer a.s ki hadis hai "tum main sai jub bhi koi kahai la ilaha il allah , muhammah dun rasul allah to fauran kahai ali un wali allah".

Answer: A.Sistani kay nazdeek Aihtiyat ki bina par Tashahhud main Shahadat-e-Saalisa (Aliuun Waliullah) ka parhna JAIZ NAHI hay.Ref:I-1.

Id: 127
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: plz tell me the proper way to offer prayer for women

Answer: Aurat kay liye Namaz parhnay ka tareeqa wohi hay jo mardoo kay liye hay magar ye kay namaz kay waqt aurat apna tamam badan hatta kay sar aur baal bhi dhaanpay aur aihtiyat-e-wajib ye hay kay apnay aap say bhi chupaaey,lihaza agar aurat chadar is tarah pehnay kay usay apna badan nazar aaraha ho to is main bhi ishkaal hay albatta chehray ka jitna hissa wuzu main dhoya jata hay aur kalaiyoon tak haath aur takhnoo tak paaon ka laazmi ka zahiri hissa dhanpna zaroori nahi hay laikin ye yaqeen karnay kay liye kay us nay badan ki wajib miqdaar shaanp li hay zaroori hay kay chehray kay atraaf ka kuch hissa aur kalaiyoon aur takhnoo say nichay ka kuch hissa bhi dhaanpay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.777...Subah Maghrib aur Isha ki namaz main aurat alhamd aur soora buland ya aahista aawaz say ,jaisa chahay parh sakti hay.laikin agar na-mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho to aihtiyat-e-wajib ki bina par aahista parhay.aur kaifiyat ye ho kay usay apni awaz sunana haram ho to zaroori hay kay aahista parhay aur is kay ba-wajood agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to aihtiyat ki bina par namaz batil hay.jab kay zohar aur asar ki namazoon main mardoo ki tarah aihtiyat ki bina par wajib hay kay aahista parhay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.979,981.

Id: 128
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: i have listen that in fazr namaz in last two rakat we does not read surrah after surah fatiha is it true or not plz ans me

Answer: Teesri aur chothi rakat main mukallaf ko tasbeehaat-e-arbaa aur sura-e-Hamd kay darmiyan ikhtiyar hay.(yani chahay to sura-e-fatiha parhay chahay to tasbeehaat-e-arbaa parhay)Ref:Istiftaat A.Sistani I-27

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!