Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 68
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salaam orat kepiche orat jamat namaz perhti he to kitna sewab he aur ak mard ke peche jamat namaz perhti he orat to kitna sawab he plese ho sake to tafsel se jawab dejye shukra itemasedua

Answer: Motabar riwayaat main warid hoa hay kay Namaz-e-Jamat,Namaz-e-Furada say pachess guna(25 times) afzal hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Khoei Pg.No.224,Masala No.1409.

Id: 232
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam Alaikum Namaaz-e-jamaat me imam-e-namaaz ke khare rehne ki zameen baqi namazion se Niche honi zaroori hai? agar hai to kitni niche honi zaroori hai aur agar equal ho ya buland ho to kya namaaz sahi shumaar hogi ?

Answer: Imam e Jamaat kay kharay honay ki jagah zaroori hay muqtadi kay kharay honay ki jagah say ziada oonchi na ho laikin agar maamooli oonchi ho to haraj nahi (Naiz agar dhalwaan zameen ho aur Imam us taraf khara ho jo ziada buland ho to agar dhalwaan ziada na ho to koi haraj nahi) Agar Muqtadi ki jagah Imam ki Jagah say oonchi ho to koi haraj nahi hay.Laikin agar isqadar oonchi ho kay ye na kaha ja sakay kay wo aik jagah jama hoay hain to jamat sahih nahi hay.naiz barabar ho to Jamaat sahih hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.1396-1397 Pg.220

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 275
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jamat namaz parhte parhte furada namaz ker sakte hai ya nahi?

Answer: Zahir ye hay kay Namaz-e-Jamat main kisi bhi maqam par Furada ki niyyat karna Agarchay ikhtiyaar kay saath ho JAIZ hay,chahay pehlay hi say is ka irada kion na rakhta ho.laikin Aihtiyaat ye hay khusoosan jab pehlay hi say is ka irada rakhta ho,furada ki niyyat na karay magar ye kay zaroorat is baat ka taqaaza karay.agarchay wo zaroorat dunyavi aitibaar say hi kion na ho.Ref:Tehreerul Waseela Pg.483.Masala No.7.

Id: 289
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: as salam o alaikum. kya sunni fiqah ke pesh-imaam ke peeche namaaz e jamaat parhi ja sakti hai? is soorat mein niyyat kya hogi? aur juma ki namaaz ki jamaat ke baare mein kya hukm hai, aur niyyat kya hogi?

Answer: A.Sistani kay nazdeek Jamat namaz sunni ki imamat main parhna jaiz hay laikin aap ko qaraat khud karni hogee agarchay aahista aawaz main hi kion na karay (niyyat jamat ki hogee tareeqa furada wala hoga yani qaraat aur zikr khud parhna hoga)..Juma parhna bhi jaiz hay laikin ye juma kaafi nahi hoga juma kay baad zohar ki namaz bhi parhna hogee.Ref:Istiftaat I-40.

Id: 407
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam wa Alekum Please yeh battain kay agar main Zohar Asar magrab ya Isha ki Jamat kay doran pehli dosri tesri ya chothi rakat kay baad shamil hota hay to woh kis tareqa say ada karega.

Answer: w.s. agar koi shakhs us waqt iqteda kare jab imam rukua me ho aur imam k ruku me sharik ho jaye agar-che imam ne ruku ka zikr padh liya ho to us shakhs ki jammat saheeh he. (ref: tawzihul masail Aqai Seestani (d.b.) masaala no.1408)

Id: 433
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA.Sir mera sawal yeh hai keh kia aik shia murd kisi ghair shia immam ke pechhy namaz parh sakta hai.

Answer: bismehi taala, imame jamaat ko baligh, aqil, shia isna asheri, adil aur halal zada hona chahiye (ref: tawzihul masail Imamm Khumeni (r.a.) masaala no. 1450)

Id: 539
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KIYA jamaat namaz perhte hoye pehly sift me bhetna ki ziada fazilat hia?

Answer: bismehi taala, namaze mayyat me aakhri saf me hona afzal he jab k digar jamaat namaz me imama-e-jamaat se jitna ziyada qreeb ho woh afzal he, paheli saf me bhi right ki tarf khade rehna left k muqable me ziyada fazilat rakhta he (ref: minhajus saleheen part 1 Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 834)

Id: 586
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jamat namaz parhte parhte furada namaz ker sakte hai ya nahi?

Answer: bismehi taala, agar namaz k dawran muqtadee kisi uzar k bagair furada ki niyyat kare to us ki jamat k saheeh hone me ishkal he lekin us ki namaz saheeh he. magar yeh k us ne furade namaz me us ka jo fariza he, us par amal na kiya ho, to ehteyate wajib ki bina par zaroori he k namaz ko dohraye. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1404)

Id: 1038
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: CHAR RAQAT NIMAZ KI JAMAAT MAIN AGAR TEEN RAQAT CHOOT GAYI TO KYA KARNA CHAHIYAY

Answer: Agar imam e jama’at chauthi(4th ) rak’at main ho or muqtadi(namaz e jama’at main shirkat kernay wala namazi) jaanta ho k agar imam k saath qiyaam ki halat main iqtida(jama’at main shamil hona) karay ga or al-Hamd perh’hay ga tu imam k saath ruku main shamil nah husakay ga tu ehtiyaat e wajib ki bina par zarori hay k ruku min jaanay tak intayzaar karay is k baad ruku main imam k saath shareek ho jaay or dosray sijday k baad jaiz hay k furadah(akayla) ki niyat ker k kharhay ho ker dosri ,tessri,or cauthi rak’atain perh ker namaz ko mukammal karain.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#1422 ).

Id: 1159
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam kya namaz-e-jamat mai muqtadi qirat kar sakta hai jab k zohrain mai imam halqi awaz mai qirat karte hain plz reply me quickly

Answer: Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak’at main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajaay Zikr e ilahi or dorood perhay.or isi terah zarori hay k muqtadi namaz e fajr,maghrib or isha ki pehli or dosri rak’at main al-hamd or sorah nah perh’hay(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447 & Minhaajus saliheen,Part#1,maslah#812 ) .

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!