Question: kya namaj me pheli rakat me sure naas pdhkar dusri rakat me sure falaq pdh sakte hai?
Answer: Zarori hai k insaan rozana ki wajib namazo ki phely aur doseri rakat me phele alhamd aur phir kise bhi aik surah ki tilawat kare.. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 965) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera sawal ye haiii....k agr imam se banda ik rakat ma reh jye to jab imam salam pery to uske bad ut k banday ko surah fatiha k bad 2nd surah parhna hoga....isi tarah 4 rakato tk bta de plzzzzzzzz
Answer: Agar koe shaks dosere rakat me iqteda kare (jamat me shamil ho) is k leye alhamd aur surah perhna zarore nahe hai albatta qunoot aur tashahud imam k sath perhe aur ehteyat ye hai k tashahud perhte waqt hatho ki ungliya aur paoon k talwoon k agala hissa zameen per rakhay aur ghuthne utahle aur tashahud k baad zarore hai k imam k sath kharha ho jaay aur alhamd aur surah perhe aur agar surah k lye waqt na ho to alhamd ko tamaam kare aur ruku me imam k sath shamil ho jaay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1420)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aksar namaz ghar mai jamat k sath ada kar di jati .. To is kay bary mai kia hukum hai???
Answer: Ager imam e jamaat main tamaam sharaait mojood hain to yoomiyaa namaazain jamaat ke sath pharna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1380 , 1434 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Shai pish e Imam namaz e ba jummat k duraan zameen k ander namaz keu parta hi?(jis jaga pe pish e Imam kara hota hi wo jagy dosry namazio sy gihra hota hi ? }
Answer: chand masjidoo main namaaziyoo ki kasrat ki waja se namazi masjid se bahar sehan tak ponhach jate hain jese namaaz e Jumma or Namaz e eid main, or masjid ki zameen ka level sehan ki zameen se uncha hota hai to esi halat main Imaam e Jamaat ko esi jaga khara hona pharta hai jis jaga ki zameen tamaam namaziyoon ki jaga ki zameen se unchi na ho kun k Shariat e Muqaddasa main zarori hai ke Imaam e Jamaat ke khare hone ki jaga mutadiyoon(namaznio) ke khare hone ki jaga se ziyada unchi nah ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1396 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: immam sey ikhtelaaf ki surat mai immam k pichey namaz ka kiya hukam hai
Answer: Ager is mian tamaam sharait mojood hain to iktilaaf ke hone ke bawajood is ki iqtida (peche namaaz pharna) ki ja sakti hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1434 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kia jammat namaz mai surah hammad aur baad surah hammad ki tilawt karnai kai bari mai kai hokum hai?
Answer: Zarori ha k muqtadi(imam k peeche namaz jamat perhne wala) Alhamd or surah ke ilawa namaz ki sab cheezay khud perhe,or alhamd or sorah nah perhe, lekin agar iski 1st and 2nd rakat imam ki 3rd or 4th rakat ho tu zarori hay ke alhamd or surah bhi perhe.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Maslah#1442,43 Tauzeehul masail 31th edition). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya namaze jamaat me jo pesh imam bolte hai wo ham logo ko bola chahiye
Answer: Zarori ha k muqtadi(imam k peeche namaz jamat perhne wala) Alhamd or surah ke ilawa namaz ki sab cheezay khud perhe,or alhamd or sorah nah perhe, lekin agar iski 1st and 2nd rakat imam ki 3rd or 4th rakat ho tu zarori hay ke alhamd or surah bhi perhe.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Maslah#1442,43 Tauzeehul masail 35th edition). Update on dated 25-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamu Alaikum, Umeed hai aap kheriat se honge. Mein ne abhi kuch dair pehle aap ki video clip \"Namaz e Jamaat Tark kanrey ki Muzammat\"" dekhi jis ki link yeah hai.
Answer:
Question: aghr namaz ki jamaat khari ho or koi sunnat per kr jamaat k saath khra ho jaey Imaam k Salam pherny se pehly hi uth jaey to kia krna chahiay?
Answer: Jo shaks imam se aik rakat pechey ho us k leye behtar yeh hai keh jab imam aakhari rakat ka tashhud parh raha ho tu hathon ki unglion or paon ka aaglah hissah zameen par rakhey or ghutnon ko buland kare or imam k salaam parhney tak intezaar kare or phir kharah ho jaye or ager esse waqat furadah ka qasd karna chahey tu koe harj nahe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1433)Update on dated 21-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal ya ha k aksar masjdo ma namaz k waqat choty bachon ko phli saf sa hata k pichy bhj daya jata ha k bachy pichy chale jayea bary agy ajaen .. kia ya sahi ha ?? Aisi koi hades ya quran ma ha
Answer: Agar jamaat main ittesaal ka zariiya aik samajhdaar bacha yani aisa bacha jo achay buray ki samajh rakhta ho or wo loog nah jaantay hoon k is ki namaz batil hay tu iqteda ker sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2397). Mustahab hay k sahibaan e ilm o azal or taqwa pehli saf main kharhay hoon. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1463). Update on dated 08-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).