Question: salam third or fourth rakat mai tasbeehat-e-arbah se pehle bismillah parhna zaroori hai aur jamaat namaz mai imam jo qunoot mai dua parhain wo humay yaad nahi ho to hum koi doosri dua parh saktay hain
Answer: Third or fourth rakat mai tasbeehat-e-arbah se pehle bismillah parhna wajib nahi hay. (Aytullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen Part#1,masla#625).Namaz e Jamaat main imam jo qunoot mai dua parhain wo muqtadi k liay perhna zarori nahi hay.aap koe sa bhi qonoot perh saktay hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Rcvd E-mail dated:04.08.10).
Question: jamaat namaz mai muqtadi qirat k ilawa baqi juz khud parh sakta hai ya nahi?
Answer: Zarori hay k muqtadi Al-hamd or sorah k ilawah namaz ki sab cheezain khud perhay.laikin agar is ki pehli or dosri rak’at Imam ki teesri or chauthi rak’at hu tu zarori hay k Al-hamd or sorah bhi perhay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1442).
Question: asalamualiekum , mera sawaal hay ki farz jammat nimazu may aakhri dou rakatu may muqtaddi ko bhi surah fathiha padna chahyee ki nahi,hum log us waqat immam sahab kay mathad hotay hay, meharbani hogee jald hi jawaab arsaal karray ,,,
Answer: Agr koi rozana ki wajib namaz jamat k sath parh raha ho to us ko 3 or 4 rakat me alhamd perhe ya ek martaba tasbiaat arba yane sabhan allahe wal hamdu lilahe wala ilaha illalaho wal la o akbar perhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33st edition, maslah #1442 )
Question: pehli rakkat main jab imam ruku main ho to new milnay wala direct ruku main jay ga ya pehlay kiyam krna zarori hay...?
Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Jamaa,at main shamil honay walay ko chahiay k namaz e jama,at ki niyat k baad takbira tul ehram kehnay k baad imam k saath raku me shareek ho jain. Aur wo aik rakaat shumar ho gi.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1408) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar hum ny khud he koie namaz per li aur kuch dar bad wohi namaz jamat k sath per sakty hain?
Answer: Jab jamaat k sath namaz parhi janay lagay to mustahabb he k jis shakhs ne tanha namaz parhi ho wo dubara jamaat k sath namaz parhay. Aur agar ose baad me pata chalay k is ki pehli namaz batil thi to doosri namaz kafi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1384) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalamualikum janab imam sahab ke jane ke baad hum jin ke piche namaaz padhte hai unke quran me galtiyan hai to kya hum sabhi muqtadiyon ko namaaz dohrani padhegi.aur agar unke piche sahi padhne waala maujud hai to kya unhe namaz padhani chahiya.
Answer: Imam e jamat ki shriat ye hain. 1) Balig ho 2) aaqil ho 3) shia isna ashri ho 4) aadil ho 5) halal zada ho 6) namaz sahi parh sakta ho.(lehaza agr wo qarat sahi nahi kr paraha to phir us ki iqtada krna sahi nahin hogi) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1434)
Question: Agar koi aalim namaz baith kar padhaye(zyaada umr beeemari ki vajah se) aur uske pich hafiz maujud hai to namaz kise padhani chahiya alimko ya hafiz ko.
Answer: Jo shakhs khara ho kr namaz parhta ho wo kise ayse shakhs k pheichhe namaz nahi parh sakta jo beth kr namaz parhta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1436)
Question: jab namaz ka liye aqamat parhi jati hai tab kis time namaz ba-jamat k liye khary hona chahye is se related koi hadees b hai to wo btayen
Answer: Mustahabb hay k ﻘﺪ ﻘﺎﻤﺖ ﺍﻠﺻﻼﮦ kehnay k baad muqtadi kharay ho jain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1465) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kaya imam ky pechy namaz pahrty waqt al hamad shareef parni chaheya ya nai
Answer: Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak
Question: kia namaz e zuhar aur asar mein (ba jamaat)Muqtadi ko surah Fatiha aur koi aur surat parhni chahiye?ba jamat namaz mein?
Answer: 1-Zarori he k muqtadi(namaz e jamat main shamil namazi) Al-hamd or sorah k alawah namaz ki sab chezain khud perhay. Laikin agar iski pehli or dosri rakat, imam ki teesri or chothi rakat ho tu zarori he k Al-hamd or sorah bhi perhay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1442) 2-Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jama,at ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho tu chahay wo kalimaat(yani zikr) ko theek terah se nah samajh sakay zarori he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zarori he k ahista perhay or agar sehwan(bholay se) buland awaaz perhay tu koe haraj nahi. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1443). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)