Question: Assalamo-Alaikum Jnb mera sawal ha k. imam k peshay namaz may qurat(twelevet) karnay ka kia hukam ha.
Answer: Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak’at main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajaay Zikr e ilahi or dorood perhay.or isi terah zarori hay k muqtadi namaz e fajr,maghrib or isha ki pehli or dosri rak’at main al-hamd or sorah nah perh’hay(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447 & Minhaajus saliheen,Part#1,maslah#812) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kiya farz namaz me imam k pichay sora fatiha nahi padhte
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1)Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jamat ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho tu chahay wo kalimaat(yani zikr) ko theek terah se nah samajh sakay zarori he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zarori he k ahista perhay or agar sehwan(bholay se) buland awaaz perhay tu koe haraj nahi. 2)Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak’at main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajaay Zikr e ilahi or dorood perhay.or isi terah zarori hay k muqtadi namaz e fajr,maghrib or isha ki pehli or dosri rak’at main al-hamd or sorah nah perh’hay(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr jamat ho rahe hai or apni namaz parhi jay imam ky pichy na parhi jay tuh kia aisa mumkin hai masjid mn
Answer: Aap ki furada namaz sahi shumaar hogi. Laikin agar is kaam se namaziyo ko imam e jama,at ki adalat par shak paida ho{k aap on k peechay nahi perh rahay} tu beher haal aisa koe kaam jaiz nahi hay jis se momin ki bay hurmati hoti ho.(Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat,Ayatullah Sistani(d.b),part#4, Sawaal#70) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ruku me nazar kahan rakhni chahye sajde gah pe ya tango ke darmian?
Answer: Ruku me mustahabb ha k donoo paaou(legs) k darmian dekhay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1030)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera aap se sawal he ke bajamat namaz ke doran pehle rakat me tauz aur tasmia parhte he aur agly rakat ke shuru me bismillah parhte hein
Answer: Wo namazain jo dheemi aawaz sai parhi jaati hain un mai ehtiyat e wajib ki bina par mamoon (ba jamat namaz parhnay wala) ko al-hamd aur surah nahi parhni chahiay. (Bismillah surah ka hissa hota hai)aur koe zikr ya durood parhnay mai mashgool rehna afzal hai. Aur wo namazain jo buland aawaz sai parhi jaati hain un mai agar wo imam e jamat ki awaz sun raha ho to wajib hai k mamoon (ba jamat namaz parhnay wala) al-hamd aur surah ko na parhay. (Ref: Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # masla # 812) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASLAM O ALYKUM.jnb muhtrm mera aik swal hy kia aik moulvi sb aik masjid maen jamat krwa chky hn to woh kisi dosri jaga jamat krwa skty hn k nhn.JAZAK ALLAH
Answer: 1)Agar imam e jamat ya muqtadi(imam k pechay namaz parhnay wala) jamat k baad namaz parhnay k baad isi namaz ko dubara jamat k sath parhna chahae to agar’che is ka mustahabb hona sabit nahi lakin rija’an(is namaz ko matloob e Khuda honay ki umeed mai anjam dena) dobara parhnay ki koi mumaneat bhi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1385 ) 2)Aur agar namaz e eid hai to aik pesh imam ka doosri eid ki namaz parhana ehtiyat ki bina par jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 75). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr jamaat ho chuki ho aur kuch log masjid mein late hazir huwy ho to wo dobara apni jamaat kra sakty hain?
Answer: Jee han doosri namaz e jamat qaim ho sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 911) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: A.a main ap se ye pochna chahta hon ky ap mujhe pliz amam ky pichy namaz parny ka tariqa bta dain or agr jamat se late ho jaeen to masla pehli 2 raqat reh gai hom to baqi kis trah ada ki jatain hain?
Answer: 1)Namaz ki niyat karay, niyat kartay waqt zaroori hai k muqtaddi(namaz e jamat main shamil namazi) imam ko moean karay lakin imam ka nam jan’na zaroori nahi hai aur agar ye niyat karay k mai mojooda imam ki iqtida karta ho to is ki namaz sahi hai. 2)Zarori he k muqtadi(namaz e jamat main shamil namazi) Al-hamd or sorah k alawah namaz ki sab chezain khud perhay. Laikin agar iski pehli or dosri rakat, imam ki teesri or chothi rakat ho tu zarori he k Al-hamd or sorah bhi perhay. 3)Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jama,at ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho tu chahay wo kalimaat(yani zikr) ko theek terah se nah samajh sakay zarori he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zarori he k ahista perhay or agar sehwan(bholay se) buland awaaz perhay tu koe haraj nahi. 4)jo shakhs imam sai aik rakat pechay ho is k lie behtr ye hai k jab imam aakhri rakat ka tashahud parh raha ho to hathoon ki unglian(fingers) aur poun(leg) k talwoo ka agla hissa zameen par rakhay aur ghutnoo ko buland karay aur imam k salam parhnay tak intezar karay aur phir khara ho jae aur namaz ko mokummal karay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1441-43, 1433). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya nabena molvi ky pechy nemaz hote ha ager ni hote to kis waja sy aur molvi na alem ho aur na hafiz
Answer: Agar in me imam jamat ki sharait mujood hai to in k peche namaz perhe jasakte hai. Imam e jamat ki shriat ye hain. 1)Balig ho 2)aaqil ho 3)shia isna ashri ho 4)aadil ho 5)halal zada ho 6)namaz sahi parh sakta ho.(ref tauze ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1434 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Namaaz Ba-Jamaat ke liye kis waqt khade hona chaiye?
Answer: Mustahab hai k qad qa’ma’tis salah khenay k baad muqtade (jamat k sate namaz perne wale) khare ho jain . (ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1465) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).