Question: Kya 1 hi namaz ko 2baar jamat se padhna jayaz hai? Matlab Maine zuhar ki namaz 1 jagah jamat se padhi phir thodi der baad dusri jagah wahi namaz jamat se padh sakta hu Kya?
Answer: Rija(yani sawaab ki umeed) ki niyat se perhne main koe haraj nahi hay agarche is ka mustahab hona sabit nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail jaame,part#1, maslah #1681). Update on dated 09-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar subha mainay Farz Alag parh lia phir bad man Jamat ho rahe the us kay bhe Farz parh lia to koi masla to nhi ?
Answer: Jub jammat k saath namaz parhi janey lagay tou mustahab hai k jis shaks ne tanha namaz parhi ho wo dobara jamaat k saath parhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1384 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal ye hai k.. k agr nemaz ba jumat ada ki jaye to surah fatiha parna hota hai sath me ya nahi... plz jawab dey
Answer: Zarori hay k muqtadi pehli 2 rakat main al-hamd or sorah k alawa sab cheezen khud parhen lekin agar muqtadi ki pehli or dosri rakat ho or imam ki teesri or chouthi rakat ho to zarori hay al-hamd or soorah khud parhy. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1442). Update on dated 14-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: حالتِ نماز میں اگر محسوس ہو کے ریحا خارج ہوگئی ہے مگر یقین نہیں ہو شک ہو تو نماز درست ہوگی یا نہیں؟ دوسرا سوال یہ ہے کہ اگر با جماعت نماز میں دوسری رکت میں شامل ہوں رکو سے پہلے تو اختیتام جماعت کے ساتھ ہی کریں یا کوئی اور طریقہ ہوگا رہنمائی فرمائیں۔
Answer: 1: shak ki soorat men namaz sahi hy . 2: Agar koe shakhs dusri rak’at mein iqtedaa kare to os k liay alhamd aur surah parhna zarori nahi. Albattah qonoot aur tasha,hud Imam k sath parhe aur ehtiyaat yeh hai keh tasha,hud parhte waqt haathoon ki onglian aur pa’on k talwo ka agla hissa zameen par rakhe aur ghutne uthha le aur tasha,hud k ba’d zaruri hai keh Imam k sathh kharha ho jaey aur alhamd or sorah perhe aur agar surah k liay waqt nah rakhta ho to alhamd ko tamaam kare aur ruku mein Imam k sath mil jaey aur agar poori alhamd parhne k liay waqt nah ho to alhamd ko udhura chorh kar Imam k sath ruku mein shamil ho sakta hai. Laikin is surat mein Ehtiyaat-e-mustahab yeh hai keh namaz ko furadaa ki niyyat se parhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #299,1420). Update on dated 30-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Amam Saab k peeche fatiha parniii chahye ya nii
Answer: Zarori hai keh muqtadi alhamd aur surah k alawa namaz ki sab cheezein khud parhe. laikin agar oski pahli aur dusri rak’at ki teesri aur chauthi rak’at ho to zarori hai keh alhamd aur surah bhi parhe, or Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pahli aur dusri rak’at mein Imam ki alhamd aur surah parhne ki awaaz sun raha ho to khud wo kalimaat ko theek tarah na samajh sake tu zaruri hai keh alhamd aur sureh na parhe aur agar Imam ki awaaz na sun raha ho to mustahab hai keh alhamd aur sureh parhe. Laikin zaruri hai keh aahistah parhe aur agar bholay se buland awaaz se parhe to koe haraj nahin hai. Or Agar muqtadi Imam ki alhamd aur sureh ki qir’at k ba’az kalimaat sun le to jis qadr nah sun sake wo parh sakta hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1442/1443/1444). Update on dated 26-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Imame juma ke Qutbe ke dauran kisi bhai tarah ki baat karna sahi hai ya galat
Answer: Imam e jamaat k khutbe ke dauraan baatein karna makrooh hai laikin agar baaton ki wajah se khutba sonne mein rukawat ho to ehteyaat ki bina par baatein karna jaiz nahi hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #722). Update on dated 18-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir agr namaz ba jummat k liay late ho jayaain to bhaag k masjid ke janib jana jaiz ha?
Answer: Jaiz hay.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #1380 ) [Updated on 09-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam!! Agar tv per jamat namaz ah rahi hu tu usi kay sath hum jamat namaz perh saktay hain .....
Answer: wsalam.Fiqh e jafferia mai is tarah ki jamaat durust nahi hai q k jaamaat ki sharaet mai sai aik ittesaal hai jo is soorat mai haasil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#1392). [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jinab mera ye sawal hai ki kya ye zaroori hai ki magrib ki namaz imaam k hi peechay padni Hoti hai?
Answer: Jamaat k saath namaz parhna mustahab hai lehaza alag bhi parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah #1380) [Updated on 24-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum mai puchna chahta ho ki agar kisi 3 rakaat wali namaaz me pehli 2rakaat choot jae to wo jab phir padhe ga pehle kya padhega
Answer: Ba jamaat namaz main agar imam ki teesri rakaat hai or aap ki pehli rakaat hai tu aap k liye al hamd or surah parhna zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#1442). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]