Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4273
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam.imam e rattib kon hota hai detail main bataiye.2 jumma ki nimaz padane k liye kia qualification honi chahi hai.

Answer: 1) Imam ratib wo namaz perhane wala hota hai jo sahib masjid ho (yani jo kise masjid me rozana perhata ho) (Ref : Ulwat_ul_wusqa, Aqai Sistani (d.b), Jild #2, Pg #274, Masla#19) 2) Imam jumma aur rozana ki wajib namaz perhane wale ki shrten ye hain. 1)Balig ho 2)aaqil ho 3)shia isna ashri ho 4)aadil ho 5)halal zada ho 6)namaz sahi parh sakta ho. Aadil honay ka matlab hai k insan wajibat ko anjam deta ho aur haram kamon ko anjam na deta ho or kise ka husne zahir he is ki alamat hai jab k is k bar_khilaaf baat ki khabr na ho.(Ref : Ayat Ullaha Sistani (d.b.), Tauzeeh_ul_Masaail, 31th Edition, Masla # 1434,720).(Khuda aap ki tofiqat men izafa farmaye)

Id: 4654
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamun Alaikum Agha.............. Kya tisri rakat me tasbihat e arba se pehle bismillah padhna wajib hai ya mustahab hai ..................... agar bismillah nahi padeinge to kya namaz jayez hai?

Answer: Namaz ki teesri or chothi rakat main perhi janay wali tasbihaat e arbah se pehlay bismillah perhna wajib ya mustahab nahi.agar koe bismillah perhay tu namaz batil nahi hogi.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 992). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4762
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya farx namaz mein imam k pechay kch parhna chahiye ya chup rehna chahiye

Answer: 1)Muqtadi(imam jamat k pechay namaz perhne wala) namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jamat ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho to zaroori hai k he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zaroori he k aahista perhay. 2)Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak’at main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajay zikr e ilahi or dorood perhay. (note : baqi puri namaz muqtadi ko khud parhna ho gai.)(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4842
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya farz namaz me imam ko naeet karne chahea

Answer: Pesh namaz k lie jaiz hai k wo furada ki niyat sai namaz parhay aur logo ko btana bhi zaroori nahi hai magar furada ki surat mai pesh namaz ko jamat namaz ka sawab nahi milay ga. Aur agar pesh namaz jamat ki niyat karta hai to os ko jamat ka sawab milay ga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 74,pg # 41)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5174
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslamualekum q,agr koi shakh rishwat dy kr teacher bana ho aur wo juma parai to kia us ki iqtida jaiz he?

Answer: Agar in me imam jamat ki sharait mujood hai to in k peche namaz perhe jasakte hai. Imam e jamat ki shriat ye hain. 1)Balig ho 2)aaqil ho 3)shia isna ashri ho 4)aadil ho 5)halal zada ho 6)namaz sahi parh sakta ho. Aadil honay ka matlab hai k insan wajibat ko anjam deta ho aur haram kamoo ko trk krta ho. (Ref : Tauzeeh ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1434)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5190
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr main Imam k peeche Bajamaat namaz adaa kr rha hon, to mujhe 3rd aur fourth rakaat mein kia parhna chahye? Ya kuch nahi parhna chahye?

Answer: Zaroori hai k jamat sai namaz parhnay wala shakhs al humd aur surah k alawa namaz ki sab cheezain khud paray yani teesri aur choti rakat k qayam mai muqtadi ko tasbeehat e arba parhni chahae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1442)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5214
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o alikum mara question yeh hai agr nama main imam aik ayat phrta hai agy bhool jatha hai.to muqtadi usko ko pechy sy batata hai phr imam phar leta hai,kia aub imam ko sajda sahu krna zaroori hai

Answer: Ge nahi,sajdah e sahw ki koe zarorat nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah#1223). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5266
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz jammath in detail me mujhe bhejiyeh ladies kA tariqa plz 5 times ki please

Answer: Agr autain namaz ko jamaat k saath parhain tu imam e jamat mard ya aurat hosakta hay.Agar imam e jamaat or muqtadi dono auratain hoon tu ehtiyaat e wajib ki bina par zarori hay k sab aik dusray k braber kharhi hoon.Laikin agar imam e jamaat merd ho tu zarori hay k aurtain kam az kam itna peechay kharhi hoon k on k sajdah kerne ki jagah imam se os k sajday ki halat main 2 zano k faaslay per hoon. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1434,1461,1462)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5323
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Deobandi, wahhabi ke peeche namaz padhe ya nahi or kyun?

Answer: Note:is website par fiqhe jafria k mutabiq jawabat diye jatay hain.

Id: 5637
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Imam sahab se pehle Ruku Sajda karne par hadees

Answer: Zaroori hai k muqtaddi , namaz mai jo kuch parha jata hai is k alawa namaz k doosray afaal maslan ruku, sujood imam k sath ya is sai thori dair baad baja laye aur agar in afaal ko janboojh kar imam sai pehlay ya itni dair baad anjam dai k isay imam ki parvi karna na kaha ja sakay to is ki jamat batil hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1451)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note : Is website par mujtahideen k fatway ki roshni mai jawabaat diay jatay hain aur mujtahideen khud quran aur hadees ki roshni mai fatwa dia kartay hain.

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!