Question: Aoa. Ahle sunnat imam kayy pichay namaz parhnay ki kia rullings hein?
Answer: Was Salam. Jo shia, sunni pesh namaz k sath namaz ba-jamaat parhe tu us k liye zarori hai k alhamd or surah ko khud parhay chahay wo aahista awaaz main q na parhay.(Ref tauzeeh ul masail jamay part 1 maslah no 2091). [Updated on 16-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Ahle Sunnat imam kay pichay jehri ya dusri namaz ho to tilawat ham apni hi karein gay?
Answer: Was Salam. Jo shia sunni pesh namaz k sath namaz ba-jamaat parhe tu us k liye zarori hai k alhamd or surah ko khud parhay chahay wo aahista awaaz main q na parhay.(Ref: Jadeed masael fuqaha o mujtahideen ki nazar main, part#4, pg#183). [Updated on 03-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Ahle sunnat imam kay pichay jehri namaz me hamari tilawat halki awaz me hi ho?
Answer: W/Salam. Jo shia sunni pesh namaz k sath namaz ba-jamaat parhe tu us k liye zarori hai k alhamd or surah ko khud parhay chahay wo aahista awaaz main q na parhay.(Ref: Jadeed masael fuqaha o mujtahideen ki nazar main, part#4, pg#183). [Updated on 03-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Aksar ahle sunnat Fateha kay baad sirf kuch ayaton ki tilawat kartay he aur rukooh me chalay jatay hein to agar ham ahle sunnat imam kay pichay namaz parh rhay hon to ham uski jaga aik choti puri surat parh lein?
Answer: jee ahle sunnat k peeche namaz parhte howe mukamal qiraat aap hi ko karni hai.(Ref tauzeeh ul masail jamay part 1 maslah no 2091). [Updated on 03-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Ahle sunnat kay saath namaz parhnay ki kia ruling he?
Answer: Ayatullah Sistani kay nazdeek Jamat namaz sunni ki imamat main parhna jaiz hay laikin aap ko qaraat khud karni hogee agarchay aahista aawaz main hi kion na karay (niyyat jamat ki hogee tareeqa furada wala hoga yani qaraat aur zikr khud parhna hoga). Juma parhna bhi jaiz hay laikin ye juma kaafi nahi hoga juma kay baad zohar ki namaz bhi parhna hogee.Ref:Istiftaat I-40. [Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar jaata farmaey]
Question: Aoa. Ahle sunnat aksar namaz me fateha kay kuch ayeten parh kr rukooh me chalay jatay he, agar ham unkay pichay jehri namaz parh rhay to ham apni koi choti aur mukamal surat parh lein?
Answer: Ayatullah Sistani kay nazdeek Jamat namaz sunni ki imamat main parhna jaiz hay laikin aap ko qaraat khud karni hogee agarchay aahista aawaz main hi kion na karay (niyyat jamat ki hogee tareeqa furada wala hoga yani qaraat aur zikr khud parhna hoga)..Juma parhna bhi jaiz hay laikin ye juma kaafi nahi hoga juma kay baad zohar ki namaz bhi parhna hogee.Ref:Istiftaat I-40. [Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 1) sunni imam k peechay namaz jaiz hai ? 2) university k samne ahle sunat masjid hai kya rooz wahan jamaat sey namaz parhi ja sakti hai ? 3) is soorat mein jamaat k kya ehkaam hai ? misalan dua e kunoot aur tashud aur salaam k hawalay sey ?
Answer: Ans 1: Jee han, jaiz hai. Ans 2: Jee han, jaiz hai. Ans 3: Jab koi ehle sunnat k sath namaz perhay to wo apni namaz k tamaam zikr khud perhay ga, aur Sunni pesh imam jo zikr perhta hai os ka khayaal rakhna is shakhs ki zimmedaari nahi hay,(Ref: Jadeed masael, part#4, pg#181) [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya nimaz mein Imam k pichy surat fateha parno chaye
Answer: 1) Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jamat ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho tu chahay wo kalimaat (yani zikr) ko theek terah se nah samajh sakay zarori he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zarori he k ahista perhay or agar sehwan (yani bholay se) buland awaaz perhay tu koe haraj nahi. 2) Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak’at main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajaay Zikr e ilahi or dorood perhay.or isi terah zarori hay k muqtadi namaz e fajr,maghrib or isha ki pehli or dosri rak’at main al-hamd or sorah nah perh’hay(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar hame pata na ho ki jamat abhi Baki he or galti se jamat ke Bina namaz padhli
Answer: Furada ki niyat se aap ki namaz sahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani(d.b), Editon 39th, mafhoom e maslah #1404) [Updated on 04-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya shia namaz men jamat sy sath namaz parhna zarori hai jo 24saal tk jamat k sath namaz na parhy wo kesa hai matlab momin hai ya kafir? Meherbaani shia ki authentic kitaab sy hawala deen
Answer: youmia namazon (namaz e panjgaana) ko jamaat k saath parhna mustahab hai lehaza jo insaan jamaat tark kar dey tou usay sawaab kum milay ga lekin wo momin hi rahay ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1380). [Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]