Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14840
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Imam ke nahonepar imam ke jaghe par khade hokar namaaz padhasakte hai

Answer: Agar imam jamat ki sharait mujood hain to namaz parha sakte hain. Imam e jamat ki sharait ye hain. 1) Balig ho. 2) aaqil ho. 3) shia isna ashri ho. 4) aadil ho. 5) halal zada ho. 6) namaz sahi parh sakta ho. Aadil honay ka matlab hai k insan wajibaat ko anjam deta ho aur haram kamon ko tark karta ho. (Ref: Tauzeh ul masail, Ayatiullah Sistani(d.b) edition #44, Maslah #1434). [Updated on 16-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15684
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya masjid mai sirf imam he namaz parha sakta hay ya koi bhi namazi masjid mai jamat karwa sakta hay? Please answer

Answer: 1: Imam e raatib (wo pesh imam jo har roz namaz parhata hai) ki maujodgi me us se muzahimat (mudakhilat) karna (yani pesh imam kahe me parhaon or dosra shakhs kahe me parhaon) ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahin. Han us se ijazat le kar or rizayat maloom kar ke parha sakta hai. 2: Albatta us namazi me imam jamaat ki sharait ka mujood zaroori hai warna wo jamat nahin parha sakta. Imam e jamat ki sharait: 1) Balig ho. 2) aaqil ho. 3) shia isna ashri ho. 4) aadil ho. 5) halal zada ho. 6) namaz sahi parh sakta ho (yani qirat sahi ho) . Aadil honay ka matlab hai k insan wajibaat ko anjam deta ho aur haram kamon ko tark karta ho. (Ref: Urwtul wusqa, Ayatiullah Sistani(d.b), maslah #1979. + Tauzeh ul masail, edition #44, Maslah #1434). [Updated on 05-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15685
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya masjid mai sirf imam he namaz parha sakta hay ya koi bhi namazi masjid mai jamat karwa sakta hay? Please answer

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 05-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15721
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: سلام علیکم ،حج میں امام کعبہ کے پیچھے نماز جماعت پڑھ سکتے ہیں؟

Answer: Jee han, parh sakte hain. lekin Jo shia namazi sunni pesh namaz ke sath namaz ba-jamaat parhe tu us ke liye zarori hai k alhamd, surah or tamam azkaar ko khud parhay chahay wo aahista awaaz main hi q na parhay. (Ref: Jadeed masail, Fuqaha o Mujtahideen ki nazar main, part #4, pg #183). [Updated on 09-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15771
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mara nikah ho gia ha lakin shadi ni hvi..or ma jb b bwi ky sath hota hn discharge hota hn..is ma koi gunah wali bt hatu plz batayea.

Answer: Agar aap apne sath koi chher chhaar nahin karte or aise hi mani kharij ho jati hai to aap gunahgaar nahin hon gay.(albatta mani nikalne ki waja se namaz perhne ke lie gusal janabat karna zarori hay) (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #1435, Maslah #2296). [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15860
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Makka ke imam yani dusre firke ke imam ke pichhe namaz parha quran hadees aur aimaye kiram ki roshni me kaisa hai?

Answer: Un ke sath jamaat me namaz parhna jaiz hai yani parh sakte hain. lekin Jo shia namazi, sunni pesh namaz ke sath namaz ba-jamaat parhe tu us ke liye zarori hai ke alhamd, surah or tamam azkaar ko khud parhay chahay wo aahista awaaz main hi q na parhay, albatta Ahle sunnat ke sath namaz juma parhna kaafi nahin hai. (Ref: Jadeed masail, Fuqaha o Mujtahideen ki nazar main, aqa sistani,part #4, pg #183). [Updated on 14-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16829
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr Jumma ki namaz mic pe hoti hoo toh mic wali jumma ki namaz padhna kaisa ??

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferia ke mutabiq, jamaat ki sharaait me se aik shart ittesaal hona hai. lihaaza agar jamaat me paish imam aur muqtadi ke darmiyan aur isi tarah safon ke darmiyan koi cheez haail (rukawat) nah ho to parh sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1392). [Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17311
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alikum .kiya ehly sunnat waln k sth nimaz e jumma pari ja skti ha q k ma jahn duety karta hun wahn ehly sunnat waly hain pas koi ehly tashiyn ki koi masjid nh

Answer: Ahle sunnat ke sath jamaat me rozana ki namaz parhna jaiz hai yani parh sakte hain. lekin Jo shia namazi, sunni pesh namaz ke sath namaz ba-jamaat parhe to shia namazi ke liye zaroori hai ke al-hamd, surah or tamam azkaar ko khud parhay, chahe wo aahista awaaz main hi q na parhay, albatta Ahle sunnat ke sath namaz juma parhna kaafi nahin hai. (Ref: Jadeed masail, fuqaha o Mujtahideen ki nazar main, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, pg #183). [Updated on 04-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17521
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia mazoor shaks imamat krwa sakta hai.

Answer: Agar mazoor se muraad ye hai ke wo bilkul khara nahin ho sakta balke baith kar lait kar namaz parhata ho to us ki iqteda nahin kar sakte. lekin agar aisa mazoor hai ke khare ho kar namaz parhata hai to us ki iqteda kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1436). [Updated on 10-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17662
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o Alikum Sir mujy puchna ya tha k ghusal wajib hony k bad kya kya nhi kr sakty kya kalma parh sakty hai ya koi sorah ayat ul qursi etc

Answer: Mijnib shaks pr 5 cheezein Haram hai 1. Apne badan ka koi hissa quran k alfaz, Allah k naam chahe kisi bhi zaban me ho, se mas krna behtr hai k Anbia Aimma or Janab e Zahra s.a k namo se bhi ane ap ko mas na kre 2. Masjid e Haram aor masjid e Nabavi mai jana khwa 1 darwaze se dakhil ho k dosre se nkl ae 3. Masjid e Haram aor masjid e Nabavi k ilawa baqi masajid me teherna agar 1 darwaz se dakhil ho k dosre se nkl jae to koi harj nhi hai. Ehtiyat e wajib ki bina pr Aimma k haram me teherne ka bhi yhi hukm hai 4. Masjid me koi cheez uthane k lie dakhil hona Ehtiyat e lazim ki bina pr yhi hukm masjid me koi chez rkhne ka bhi yhi hukm hai 5. Un ayat ki tilawat krna jin se sajda wajib hojata hai Surah Sajda ayat 15, Surah Haa Mim Sjda ayat 37, Surah Najam ayat 62, Surah Alaq ayat 19 (Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 354) [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!