Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 19284
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ehle sunnat imam k peachay namz perr sektay hein or Maghreb ki namaz khas tor perr sektay hein ya nhe q k time ka ferq ha na please rehnumai fermaein

Answer: Jee parh sakte hain lekin jo shia shakhs sunni pesh namaz ke sath namaz ba-jamaat parhe to shia shakhs ke liye zaroori hai ke Al-hamd or surah ko khud parhay chahay wo aahista awaaz main q na parhay, Isi tarah doosre azkaar bhi khud parhne hon gay.or sunni imam jamat ke peche namaz maqrib nahe perhe ghe kyu ke sunni namaz maqrib,waqt se phele perhte hay,or un ke sath namaz juma sahe nahe hay. (Ref: Jadeed masail fuqaha o mujtahideen ki nazar main, part #4, pg #183). [Updated on 17-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19428
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamu alaikum agr imam teesri rakaat mai beth jaye to kia hukm hoga teesri rakat mai beth kr tashhud padhe or phr khada hojaye phr chohti rakaat mai phr tashhud mai beth jaye or sajda sahhu karle to namaz hojayegi kia ???

Answer: Agar ghalti se tashahhud parhne lage to namaz sahi hogi, Q ke agar Imam ghalati se aik aisi rakat mein qunoot parh day jis mein qunoot na ho ya aik aisi rakat mein jis mein tashahhud na ho ghalti se tashahhud parhne lage to muqtadi ko qunoot aur tashahhud nahin parhna chahiye lekin wo Imam se pehlay na ruku mein ja sakta hai aur na Imam ke khara hone se pehlay kharha ho sakta hai. balke zaroori hai keh Imam ke tashahhud aur qunoot parne tak intezar kare aur baqi maandeh namaaz us ke saath parhay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1460). [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 19761
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Namaz e Jamat mai jana kaisa hai?

Answer:

Id: 19784
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: nika ki raat hambistaru se pahele husband wife ek saat namaz pahe ya alag

Answer:

Id: 20724
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: assalam alekum sir main riyadh main muqeem hoon aap ko yeh ilm ho ga k yahaan shioon ki koi masajid nahin hain is wajha say hamari namaz-e- jumma nahi ho pati ub aap yeh batain k aaya hum jummay ki namaz k liye sunnioon ki masjid main ja ker apni namaz ada ker lain ya na purrhna behter hay jo bhi sahi tareeqa hay plz mujhay juld uz jald jawab say muttala ker dain allah aap ko sehat or zindagi ata karay aameen

Answer:

Id: 20770
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: 1.Agar Shia namaz kafi fasly ph available ho (1km) to Kia namaz ahle sunat ky aalim ky peechy parhi ja sakti hae? or is ki nayat frada ki ho gi ya jamat ki?treeqa kia hoge?agar jaaiz nhi to kia itahade umat ky izhar ky lye khabi kabhi ada ki ja sakti hae? 2.Khums ky lye muqarra date pr ager ap ky pas kuch paisy hun lakin ap ky zimy kuch qarz bhi ho jo aap forun ada na kr sakty hun jaisy leaze ph li gia ghari ky wajibat to kia hukm hae? 3.Mansoba bandi ky bary mn kia hukm hae? detail sy batayen? 4.Kia Shuhr apni bivi ka doodh pi sakta hae? agarchi wh chand qatry hi hun? 5.Agar Waledain fout ho gye hun to un ky zimy wajibaat olad pr wajib haen?or agar wajib nhi haen to kia olad agar chahy to un ky zimy wajibat ada kr sakti hae ya krwa sakti hae? 6. Aqeeqa krna wajib hae ya mustahab or tareeqa kia ho ga?

Answer:

Id: 21162
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: ya ali a.s madad, assalam o alaikum. janab mje ye poochna hy k, 1:- Molana or Allama my kia farq hy? or 2:- member par baitne ke kia requirements hy? kia har doosra sakhs member par bait saktha hy ? 3:- kia Females member par bait sakthi hy ? 4:- kia females imamati(masjid my nimaz parha sakti hy) males ko?

Answer:

Id: 21269
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalamoalykum, mai ye janna chahta hun k agar namaz jamat me ho rahi ho aur mai saath me namaz shuru nahi kar paya, aur jab mai namaz k liye pohcha to ye nai samjh paya k namaz kis rkat me pohach chuki hai ,to maine namaz ki saf k bagal me khade ho kr furadah ki niyat se namaz padh li..to kya ye jaiyez nai hai k jamat me namaz padh rahi saf k bagal me furada ki niyat se namaz padhi jaye, aur agar ni hai to kya isse jamat me namaz padh rahe lago ki namaz batil hui..aur jamat me deri se pohachne k bawajud namaz me khade hone k kya aadab hain ..is baare me mujhe tafseel se batayen..meherbani hogi..Shhukriya

Answer:

Id: 21348
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salaam. mujhy ye pochna tha k tashud e namaz mein jo paeesh namaz shahdat e salisa yani ali un wali ullah parhta ho un k pechay us namazi ki namaz ho sakti hai jo shahdat e salisa ni parhta ar jis ka mujtahid iski ajazat ni deta.plz jawab zaror dain pehlay bi ye sawal kar chuka hon lakin jawab ni mila.

Answer:

Id: 21790
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalam u alikum.agha sahab kia ahle sunnat ke peeche farz namaz pur sukte he ?aur neeyat farz ki ho gi ya farada ki?aur maghrib ka time hamara late he to kia maghrib ki namaz pur sukte he ahle sunnat ki jamat ke sath ya nahi?aur me jaha rehta hu waha hamari apni masjid bohat hi zyada faasle pur he.jaha tuk routine me jana impossible he.aur ahle sunnat ki masjid bohat hi zyada kareeb he to me kia farada room me namaz puro ya maire lie laazim he ke ahle sunnat ki masjid me jau.

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!