Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11603
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Imam ki dhari na ho to pechy nimaz hoti Hy k nhi

Answer: Agar imam-e-jama`at jaan bhoojh kar dhari mundvaay to us ehteyate wajib ki bina per us ki adalat sabit nahe hosake ki or imam-e-jama`at ki sharait me say hai ke imam jamaat aadil ho (yani tamaam wajibaat ko anzaam deta ho or tamaam gunaao se ijtenaab karta ho) magar uski dhari nahi aati ho aur us kay paas imam-e-jama`at ki tamaam sharait hoon to us k peechay namaz parh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #1434) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11670
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam u alaikum :- sir agr hum kisi imam jamat ky pechay namaz prh rahy hon or uski qirat sahahi na ho jabky apni qirat thk ho or majbori ki waja sy jamat tark bhi na kr sktay hn to kia krain

Answer: Jaiz nahi hay, Haan, doosri rakat k ruku se on ki iqtidaa karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Mujtahid se poche gaey sawalaat, part#, pg#39). [Updated on 14-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11751
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Paish Namaz ki shareeat main kaya shart hy?

Answer: Imam e jamat ki sharait ye hain. 1)Balig ho 2)aaqil ho 3)shia isna ashri ho 4)aadil ho yani tamam wajibat ko anjam deta ho aur haram kamoo ko tark karta ho 5)halal zada ho 6)namaz sahi parh sakta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1434) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11759
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Imam k pasha moqtadi surah fatiha para ga

Answer: 1-Zarori he k muqtadi Al-hamd or sorah k alawah namaz ki sab chezain khud perhay. Laikin agar muqtadi ki pehli or dosri rakat, imam ki teesri or chothi rakat ho tu zarori he k Al-hamd or sorah bhi perhay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1442) 2-Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jama,at ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho tu chahay wo kalimaat (yani zikr) ko theek terah se nah samajh sakay zarori he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jamaat ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zarori he k ahista perhay or agar sehwan (yani bholay se) buland awaaz perhay tu koe haraj nahi. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1443). [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11855
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam! Imam ke pechy namaz parhty waqt jab imam ruku me jane ke liye AllahuAkbar kahy to hum b foran ruku me jai ya phir thora wait karain take phly imam sahib ruku jai phir hum?

Answer: Zaroori hai k muqtaddi , namaz mai jo kuch parha jata hai is k alawa namaz k doosray afaal maslan ruku, sujood imam k sath ya is sai thori dair baad baja laye aur agar in afaal ko janboojh kar imam sai pehlay ya itni dair baad anjam dai k isay imam ki parvi karna na kaha ja sakay to is ki jamat batil hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1451) [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11883
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz b jamat m imam surah fatiha par raha ho to Sana parhna ha ya nahe Agar nahe to kb parhne ha

Answer: Zarori ha k muqtadi(imam k peeche namaz jamat perhne wala) Alhamd or surah ke ilawa namaz ki sab cheezay khud perhe,or alhamd or sorah nah perhe, lekin agar iski 1st and 2nd rakat imam ki 3rd or 4th rakat ho tu zarori hay ke alhamd or surah bhi perhe.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Maslah#1442,43 Tauzeehul masail 35th edition). Agar koi shakhs namaz jamat ki dusre (2) rakat shamil ho to usk liye surah alhamd aur surah parhna zarori nahi albatta qunoot or tashahud imam e jamat k sath parhe aur ehtiyat ye hai k tashahud parhte waqt hatho ki ungliyan aur paaon k talwe ka agla hissa zameen per rakhe aur ghutne othale aur tashahud k bad zarori hai k imame jamat k sath khara ho jaay aur alhamd aur surah perhe aur agar surah k lye waqt na rakhta ho to alhamd ko tamam kare aur ruku me imam jamat k sath mil jaay aur agar pure surah alhamd khatam karne ka waqt na ho to alhamd ko adhora chor kar imam jamat k sath ruku me shamil ho sakta hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1420) agar koi shakhs namaz jamat ki tisre (3) ya chouti(4) rakat me qiyaam ki halat me hone k waqt iqteda kare to zarori hai k alhamad aur surah parhe aur agar surah perhne k lye waqt na ho to zarori hai k alhamad tamaam kare aur ruku me imam jamat k sath shamil ho jaay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1423) [Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12381
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ajkl namaz jummat ghar pr ho rahi corona ki waja sai. Namza jummat aval waqt mai na parh sakai to akhir waqto mai jummat kra kr prhain ya apni apni? ( Hanfi)

Answer: (Note:) Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diye jatay hain. [Updated on 24-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12590
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As-salamun alekum Jamaat se namaz ada kar rahe hai to Amam ke peeche dohrana hei ya chup khade reh kar sirf sunna hei ,,,ye fir kuchh or padhna hei???

Answer: wsalam. Agar jamaat k saath namaz adaa ki jaa rahi hai tou zaroori hai k alhamd or surah k ilawa baqi tamaam azkaar khud parhe lekin agar muqtadi ki pehli or doosri rakat ho or imam ki teesri ya chothi rakat ho tu zaroori hai k alhamd or surah bhi parhay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 41 maslah no 1442). [Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12875
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir wo knsi farz namaz h jo jamaat k sath adaa nai kr skte

Answer: Soraj girhan aur chand girhan ke elawa or namaz tawaaf ko jamaat ke sath parhna sabit nahin hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 41, Maslah #1491) [Updated on 16-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12984
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Keya parhatay waqt jamat late ker saktay hain k hamari class 5 o'clock khatam hoti hai r jamat 4:45 per hoti haii..... Tu keya hamain class chorni chahia ya namaz bad me adda karni chahia....??

Answer: Note : Is website par fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. rozana ki wajib namaaze ( maslan : namaz fajar ,zhohar, asar wagira ) ko jamaat ke sath perhna mustab ( yani acha hay) hay wajib nahe hay. Aur Bay aytenai(yani laa perwaahi) k saath namaz e jama,at main shareek nah hona jaiz nahi hay or ye bhi munasib nahi hay k baghair uzr k namaz e jamat ko tark kia jaay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 1380, 1382) Ahle sunnat ki mashoor o maaroof kutub ‘sunan abe daood’ , ’jaame termeze’ jild 1,pg:109 aur sahe muslim ki riwaayat hai : rasool allah ne namaaz zohar aur asar ko aur namaz maghrib aur esha ko madine me baghair khouf aur barish k aik saath parha yani aik namaaz perne k baad doseri namaaz perhi. Aur rasool(s.a.w.w) ne farmaaya me ne is lie aisa kiya take meri ummat ko takleef na ho. (ref:shiat ka muqadma ,moulaana hiussain ameeni,pg:226)(Note: aap namaz zuhr asr ko aik hi ( yani awal waqt )me parh saktay hain.) [Updated on 12-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!