Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5677
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bazz jaga namaz e jammat ma imam ki jaga muqtadi k muqably ma nichy hoti ha es ki waja kiya ha?

Answer: 1)Imam e jamat k kharay honay ki jigha zaroori hai k muqtaddi ki jigha sai ziada ﺍﻭﻨﭼﻰ na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1396) 2)Aksar ahkam e sheri ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah # 6, kitab e meras, nashir maktab e naveed e islam, pg # 472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5733
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam jamat namaz main kia chez perhne chayeh aur mia chez nahe

Answer: Zaroori hai k jamat sai namaz parhnay wala shakhs al humd aur surah k alawa namaz ki sab cheezain khud paray yani teesri aur choti rakat k qayam mai muqtadi ko tasbeehat e arba parhni chahae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1442)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5815
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia syed ki nimaz khair syed ki iktada mai jaiz ha or kia mola ali(a.s) ki aisi koi wasiyat ha k mola ali(a.s) ne imam hasan (a.s) sai kaha k aal-e-rasool(saw) ki nimaz kisi or ki iqtad mai ni hoti?

Answer: je syed gheer syed ki or ye syed ki namaaz e jamaat main iqtida kar sakte hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1434 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 5935
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ZOHAR & ASAR ki namaz jamaat k saath parhte waqt 1 & 2 rakat mai kia parhna chaiye? & isi tarah MAHRIB & ISHA ki namaz jamaat k saath parhte waqt 1 & 2 rakat mai kia parhna chaiye?

Answer: Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rakat main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajaay Zikr e ilahi or dorood perhay. or isi terah zarori hay k muqtadi namaz e fajr,maghrib or isha ki pehli or dosri rakat main al-hamd or sorah nah perh’hay(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447 & Minhaajus saliheen,Part#1,maslah#812) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6364
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mara sawal ha ka bagar dari ka jamat karwa sakta hon

Answer: Imam jamat k lie zaroori hai k wo adil ho yani tamam wajibat ko anjam deta ho aur haram kamoo ko tark karta ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1434)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6577
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualikum mjy ye pochna tha k jamat k sath namaz prhty howy 2 rakat m imam sab sorha fiatiha prty hn nd khali rakat m kia humin surah fatiha prhni chaye k ni m n yahan bht s logon ko dekha hy jo k kisi b namaz ki khali rakat m surah faiha prhty hn

Answer: Agar koi shakhs namaz jamat ki dusre (2) rakat shamil ho to usk liye surah alhamd aur surah parhna zarori nahi albatta qunoot or tashahud imam e jamat k sath parhe aur ehtiyat ye hai k tashahud parhte waqt hatho ki ungliyan aur paaon k talwe ka agla hissa zameen per rakhe aur ghutne othale aur tashahud k bad zarori hai k imame jamat k sath khara ho jaay aur alhamd aur surah perhe aur agar surah k lye waqt na rakhta ho to alhamd ko tamam kare aur ruku me imam jamat k sath mil jaay aur agar pure surah alhamd khatam karne ka waqt na ho to alhamd ko adhora chor kar imam jamat k sath ruku me shamil ho sakta hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1420) agar koi shakhs namaz jamat ki tisre (3) ya chouti(4) rakat me qiyaam ki halat me hone k waqt iqteda kare to zarori hai k alhamad aur surah parhe aur agar surah perhne k lye waqt na ho to zarori hai k alhamad tamaam kare aur ruku me imam jamat k sath shamil ho jaay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1423)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6627
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum Mara Bajamat namaz ka hawala sa ha aur woh yah kh ' Aqr imam na Zohar ki namaz ki sunatan ada nhn ki aur jamayat ka wqt ho jay to kia won namaz parha sakta ha ya nhn'

Answer: Nafla namazain alag mustahab hai in ka jamat namaz sai koi talluq nahi hota hai, is lie chahay imam e jamat nai nafal namazain na parhi hon jamat namaz parha sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1434)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6642
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koye insan farz namaz may namaz ba jamaat sy 2 or 3 rakat laye ho jaye to es surat may insan ko kya karna chaheye yane surat parna chaheye ya kaha sy shoro kary?

Answer: Agar koi shakhs namaz e jamat men is tarah shamil ho k jamaat ki 2 rakat or oski 1 rakat ho to os k liay surah hamd or dusra surah parhna zarori nahi hai, haan albatta qonoot or tashahud imam k sath parhe or ehtiyaat ye hai k tashahud parhte waqt hathon ki ungliyaan or paon k talwon ka agla hisa zameen per rakhe or ghutne uthale or tashahud k baad zaroori hai k imam k sath khara hojaye, ab imam ki 3 or oski 2 rakat hogi lehaza ose surah hamd or dusray parhna parega lekin waqt kam ho to faqt surah hamd parhe, or phir ruku imam k sath kare. Lekin agar shakhs jamaat men shamil ho is halat men k jamaat ki 3 rakat ho to ab ise apni pehli wali dono rakat men surah hamd or dusra surah parhna zaruri hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msla#1420). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6872
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slam.un.alaikum NAMAZ,E,ZUHAR,O,ASAR BA JAMA,AT ME 1ST RAKAT SURAH.E.FATIHA OR 2ND RAKAT ME DOSARA SURAH PARH SAKTE HAN? AGAR NAI TO LA,ILMI ME PARHI GAI NAMAZEN DURUST HAN YA UNHEN DOBARA ANJAM DIA JAEY?

Answer: Muqtadi (jamat namaz parhne wala) ko namaz zuhr or asar ki pehli or dusri rakat men ehtiyat ki bina pr Al-hamd or Surah nahi parhna chahiye or mustahib hai k un ka bajaye koi zikr parhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #1447) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7120
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: s/w kya bina dhadi wale ke piche namaz ho sakta hai

Answer: Agar imam-e-jama`at jaan bhoojh kar dhari mundvaay to wo aadil nahi rahay ga jo imam-e-jama`at ki sharait me say hai. magar uski dhari nahi aati ho aur us kay paas imam-e-jama`at ki tamaam sharait hoon to us k peechay namaz parh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #1434) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!