Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Roza ( 41 Questions)


Id: 9126
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai larki say baat kraha tha r mjhe laga ky nichy say drops nikal gaye hain tou kya roza tot gya ya nai

Answer: 1). Roze ki halat men Agar nikalne wali ratubat mani hay or ikhtiyaar se nikli hay tu roza batil hay or agar ratubat mazi hay tu is se roza batil nahi hota. 2) Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1) Uchal kar niklay. 2) shehwat k saath niklay 3) badan sust hojaye. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai. 3) jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156) 4) Namehram say doosti kerna or izharay muhabat kerna jaiz nahi hay kun k gunah main perhnay ka khauf mauhood hay.(Ayat ullah Khumeni,Tehree rul waseelah Part#,page #173,193 & nigah or libaas sawaal #106) [Updated on 21-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10163
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam Naswar se roza toota hai k ni ???

Answer: Agar us k ajza halaq men dakhil hojaen to roza batil hojaey ga. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 1554) [Updated on 30-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10306
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ramdan ke alawa hum sal ke other days me roza rakh skte h allah ki ebadat me

Answer: Haram or makrooh rozo k alawan saal k tamaam din rozay rakhna mustahab hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani, edition#41, maslah#1709-1717). [Updated on 12-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10361
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Koi bnda kisi aur k liye roza rkh skta h

Answer: Jee agar wo banda mar gaya hai tu us k liay roza rakha jaasakta hay lekin agar wo shaks zinda hai tu us k badlay roza nahi rakh saktay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#1514) [Updated on 05-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10364
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shaban k rozy rakhny ki neyat kya ha aur sehri aur aftaari ka time kya ha?

Answer: 1) Roze ki niyat dil sai ghuzarna ya zaban sai kehna zaroori nahi hai balkeh is ka irada karna kafi hai. 2) Roze ka aghaz fajr se shuru ho kar namaz e maghrib tak hota hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1531) [Updated on 08-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10729
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 10 muharram ko roza rakhna chahiyah ya nhi???

Answer: Aashoor k din ka roza rakhna makrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1717 ). [Updated on 17-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11195
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Muslman roze kis maah me rakhte he aur eid kis maah me manate he??

Answer: Maah e ramzan main musalmano per roza wajib hay or 1st shawwal ko eidul fitr or 10 zilhajja ko baqr eid manate hain.(Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%B1%D9%85%D8%B6%D8%A7%D9%86+http://ur.wikishia.net/view/%D8%B9%DB%8C%D8%AF_%D9%81%D8%B7%D8%B1+http://ur.wikishia.net/view/%D8%B9%DB%8C%D8%AF_%D9%82%D8%B1%D8%A8%D8%A7%D9%86) [Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11673
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza kas oqat sw kas oqat tak raka jata he?

Answer: Roza, azan e sab say maghrib tak aat (8) chezon say perhaz karna hay..(Ref:tozieullah masahil Ayatullh e Sistani db masla # 1531) [Updated on 13-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12200
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Baap ka kaza roza bhada beta pr wahjib ha ya haram

Answer: Baap k mernay k baad baray baitay k liay ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay k baap k rozo ki qaza isi terah baja laay jaisay k namaz k silsilay main {tauzeehul masail main}maslah # 1371 main tafseel say bataya gaya hay. wo ye bhi ker sakta hay k her din k badlay 750 gram khana kisi faqeer ko day day. chahay warisoo k razi honay ki sorat main mayyit k maal hi say day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1683). Note : agar baap nai apnay kuch rozay na rakhain hon aur un k qaza karnay par qadir ho to agar os nai khuda k hokum ki na-farmani kartay huay in ko tark na kia ho to ehtiyaat e wajib ki bina par wajib hai k baap k marnay k baad os k qaza rozay rakhain. 2) Agar kisi nai miyyat ka qaza roza rakha ho to behtr ye hai k zohar k baad roza na toray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1672 ) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12426
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia husband zinda BV ki taraf se roze rakh sakta hai

Answer: Jee nahi kisi zinda ki taraf sai wo us k wajib rozay nahi rakh sakta.(Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1514) [Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!