Question: 1)mairi walda kai 10 sal kai rozay qaza hain,wo rakh nahi saktien us ka kafara kiya hai or miqdar us ki kitni banti hai?
Answer: Agar aurat jaanti ho k Roza us par Wajib hay aur is ki qaza bhi wajib hoti hay aur baghair uzr k Roza na rakhayto us par qaza k saath kaffara bhi wajib hoga aur sirf pehlay saal qaza na karnay ka Fidya bhi dena hoga.Aur Kaffaray k liye 60 Miskeenoo ko 750gm Gandum denaa kaafi hoga Aur Fidya k liye 750gm Gandum kisi Faqeer ko dena kaafi hoga.Aitiyaat-e-Wajib ki bina par Kaffara ka yehi hukum hoga agar wo Jahil-e-Muqassira hoaur Rozoon k mutalliq taraddud main ho.Haan Agar woh Roza wajib honay k baray main na jaanti ho aur Jaahil-e-Muqassira bhi na ho to us par sirf Qaza karna wajib hay.Aur agar us k liye Rozay rakhna mumkin na ho to usay chahiye k wo aisay shakhs ko wasiyat kar jaey Jis par bharoosa ho k Us ki Wafat k baad wo is k roozoon ki Qaza Karwaey ga.
Question: salam un alykum mera sawal yeh hay kay rozay ki halat main jumay ki namaz main attar kaproon pay laga ho tu masala tu nahi hay yah none alcolic perfume laga hoto namaz yah roza kabool hay.shukria
Answer: Salam un alaikum, Is mein koi haraj nahi hay. Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Swalaat (Roza) Ques. NO. 172
Question: salam kya rozy ki halat main nono alcolic perfume yah atta kaproon pay laga sakty han namz ho sakty hay
Answer: Salam un alaikum, Is mein koi haraj nahi hay. Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Swalaat (Roza) Ques. NO. 172
Question: If one is fasting and realizes he forgot to take medicine perscribed by a doctor, should he break his fast to take the medicine? Or, is it allowed for him to take his medicine and keep the fast?
Answer: Salam un alaikum, If medicince is necessary i.e if you will not take the medicince it will be very harmful for you then it is premisbile to break the fast. Then you have to do qaza of this fast. Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalat (Roza) Ques. No. 23
Question: i want mahe ramzan questions to conduct quiz in my masjid.pl give me as early as possible.
Answer: Salam un alaikum, We only answer fiqhi questions. If you want to condunt quiz about ramzan, you can use our published book i.e "Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalat (Roza)" which is available at our site also.
Question: Assalomoalikam< If someone can do relation with her wief if she has performing some Mustaheb Roza what will she do, her Roza will be over or what else ?
Answer: Salam un alaikum, Agar aurat key mustahib roza rakhnay sey shohar kee haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram hay aur ehtiyat-e-wajib yeh hay keh agar shohar kee haq talfi na ho tab bhi us kee ijazat key bagair mustahib roza na rakhay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani (Probe No. 1749)
Question: Salam, can a Rozadar injected,if it was not provide any kind of energy? During fasting the use of perfume,talcumpowder and itar is allowed however smelling of such things is prohibeted?
Answer: Salam un alaikum, It is premissible to use all types of injections.Perfumes, talcumpowder and itar are allowed during fasting. Ref: Mujtahid Se Pooche Gaye Sawalat (Roza) Ques No.19,172
Question: salam ale kum, kya roze ki halat mei namaz e jumma mei atar lagana jaez hai.thanks
Answer: Salam un alaikum, Itar ka lagana rozay ko batil nahi karta hay. Ref: Mujtahid Se Pooche Gaye Sawalat (Roza) Ques No. 172
Question: SALAM! I LIVE IN KARACHI,WHETHER I HAVE TO PERFORM AN EXTRA KAZAA ROZA THIS YEAR?
Answer: Salam un alaikum, Ramazan aur Eid key chand ka faisla aap key apnay yaqeen par hay. A.Sistani ka jo ufuq ka fatwa chand key hawalay sey hay agar aap ko us lehaz sey yeh yaqeen aa jaye keh ramazan shuru ho chuka tha aur aap ney roza nahi rakha tha to rozay kee qaza karni paray gee, warna qaza wajib nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Topic: Rozay Key Ahkaam
Question: Salam i wanna ask the question that k roze mai injection ka kia hukum hai
Answer: Salam un alaikum Aisa karna jaiz hai aur is mai koi haraj nahi hai. Ref:Mujtahid se Pooche Gaye Sawalat Part Roza Question no 19