Question: Roza dair sy kholny py roza makrooh ho jata hai kya?
Answer: Rozedaar k liay mustahab hay keh roza iftaar karne se pehle maghrib or isha ki namaz perhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1720). [Updated on 07-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum... Sir nafil roza bina sehri k rakhsakte hai..agar humne niyat karli k kal Rosa rakhonga aur uthnahi paye aur bina sehri k roza rakhsate hai ..kya roza qubool hoga
Answer: Jee han, Sehri kiye baghair roza rakha ja sakta hai. Aur Sehri karna wajib nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #1531,1553) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koi bgair rozay ki niyat kray so jaye or zuhur k bàad uthay jbky us ne kuch khaya piya na ho to Kia wo ramdhan ka qaza rozay ki niyat kr skta hai?
Answer: Jee nahin, Is men Ramzan ke qaza rozay ki niyat nahin kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #1535). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa agar rozay ki halat may check kay baad balgam aata hain uss ko nigal sakhta hain yah nahi.
Answer: Sar or seene ka balgham jab tak monh k andar wale hisse tak nah pohnche osay nigalne main koe haraj nahi laikin agar wo monh main aajaey tu ehtiyaat e mustahab(behtar) ye hay keh osay nah nigale. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1561). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: السلام و علیکم جناب مجھے روزے کی حالت میں بہت زیادہ لعاب (تھوک ) آتا ہے جس کی وجہ سے مجھے شک رہتا ہے کہ روزہ ٹوٹ گیا ہے براہ کرم اس بارے میں رہنمائی فرمائیے نیاز مند : حیدر
Answer: Monh ka pani(thook) nigalne se roza batil nahin hota. ((Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #1560). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum! Mein yeh pochna chahti hoon keh meine rozey ki halat mein thi aur meine na chahte hoye bhi jhoot bol dia aur mein bohat sharminda hoon bohat ziadaaa Tauba bhi ki hai lekin sukoon nae aa raha mein iss ghalti keh liye kia karoun aur?
Answer: Rozay ki halat men Jhoot bolna is say Roza Batil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1553). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia halaat e roza me Covid vaccine ( injection) laga sakte hai?
Answer: Jee han, Laga sakte hain. Injection laganay se roza baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah # 1557). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Molana sahb agr roza rkhne ke bad yani fzr ke baad nindo me shobbat kr le to roza tut jayga kya btaiye
Answer: Roze ki halat main jima or istimna karne se roza batil ho jata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1554). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ramzan ke month husbad wife ka roza na kiya ho to humbistri kiya ja sakta he?????
Answer: Roze ki halat main jima or istimna karne se roza batil ho jata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1554).Azaan e Magrib ke baad se Azaan e subha se pehle tak ke darmiyaani waqt main kar sakte hain albatta ramazan men roze k wqt men haram hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 15531) Shohar k huqooq men se ek ye he k jab bhi shohar jinsi lazzat hasil (sex) kerna chahe to biwi uski khwahish puri kare, or jab tak shara`ee uzar nah ho (e.g periods) tab tak shohar ko hambistri se mana nahi ker sakte. Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 35,39,Mafhoom e Maslah #2376,2382) [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Rozy ke bad ehtlam hony se roza batil hotta he
Answer: Ehtelam se Roza baatil nahin hota lekin namaz ke liye ghusl karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masial, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1570). [Updated on 30-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]