Question: Rozay ki halat main ghalti say shohar say humbistri ho jai, tu keya karna chahiyai, yai kuch saal pehlay ki baat hai, shohar ab hayaat nahi hain. Plz rehnumai farmain. Bewi k leyai keya hukam hai??
Answer: 1: roze ki halat me jima ( humbistri ) karne se roza batil ho jata hai. or agar koi shaks bhool jaae ke roze se hai or jima ( humbistri ) kare tu is ka roza batil nahe hoga albatta agar jima ki halat ise yaad aajaae ke roze se hai tu zarori hai ke fouran jima (humbistri ) tarak karde or agar aisa na kare tu is ka roza batil hai.Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. 2: Agar jaan bhoojh kar Ramzan kay Rozay ko, jima (humbistri ), ki waja say batil karay to is par qaza(repeat) k ilawa kaffara bhi wajib hoga. Kaffara ye he ke in 2 men se koi ek kam anjam de: ya tou 2 Maheenay is tara Rozay rakhay ke aik pura mahena or is se agle mahene ke aik din tak musalsal roze rakhe or ise tara baqi mahene ke roze bhi ehtiyaate wajib ki bina per zarori hai lagataar rakhe laikin agar rukawat paish aajaae ke jise urfan waja shumaar kia jaae tu is din ka roza na rakhe or uzr ke door hone ke baad dobara shuru kare ya phir 60 sharae faqeero ko pait bar kar khana khelae ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera de. 3: Agar rozedaar roze ki halat main apni rozedaar bivi se jima (humbistri ) kare tu agar os ne bivi ko majboor kia ho tu apne roze ka kaffara or ehtiyaat ki bina per zarori hay k apni bivi k roze ka bhi kaffara day or agar bivi jima per razi ho tu har aik per aik aik kaffara wajib ho jata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 42 st edition, maslah # 1565,1568,1630,1632,1633,1649) note : aap apne marhoom shoar ki taraf se un ke qaza roze or rozo ke kaffare apne paiso ya agar aap ke shoar baliq wareseen razi hai tu un ki ijzajat se ada karasakte hai [Updated on 24-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Umeed hai k aap sab khairiyat se honge... Mera sawal ye hai k agar kisi k sarper qaza roze ho aur wo mannat ya nazr karne keliye 3roze rakhna chehta hai tu kya wo rakh sakte hain nazr karne ki niyat se ...
Answer: Jis ke zimme Ramazan ke Qaza rozay hon wo Mustahab nahin rakh sakta Albatta dosre rozay jese nazar ya mannat mane to is ke rozay rakh sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1544). [Updated on 02-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: نفلی روزہے کی سحری کرنے کے بعد سو گۓ اور فجر قضاہ ہو گئ تو کیا روزہ برقرار رہے گا؟
Answer: Roza sahi hai lekin jo namaz qaza hoi hai aap par laazim hai k un ki qaza baja laen. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, masalah #1356,1718). [Updated on 14-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ashoork k din faqa ki detail
Answer: 1) Aashoor (10 muharram ke din )k din roza rakhna makhrooh hay laikin haraam nahe hay . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1717). 2) Laikin afzal ye hay k hazrat imam husaain(a.s) or on k ashaab bafafa k gham main (begair roze ki niyat ke)(waqt ) namaz e asr tak khane peenay se rokay rahain or(waqt ) namaz e asr k baad is faqay ka iftaar pani se kia jay.(ref: http://sistani.org/index.php?p=297396&id=569). [Updated on 14-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar ashora k din roza rakna haram ha to hamary nabi ne q rakka ta? Aur unho ne 9-10 k 2 din k rozay raknay ka q dya ta??
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 9 muharram ko roza rakhna jaiz hai. or 10 muharram ko roza rakhna jaiz hay laikin makhroh hay (yani behter hay k aashora k din roza nah rakha jaye or agar koe is din roza rakh lay tu ye kaam haram bhi nahi hai). Aashora ko roza rakna haram nahi hay, laikin afzal ye hay k imam husaain(a.s) or on k ashaab k gham main namaz e asr k baad tak khane peenay se rokay rahain or namaz e asr k baad is faqay ka iftaar pani se kia jay. (Ref: Tauzihul masa,il, Ayatullah Sistani(d.b), editon #42, Maslah#1717,1718). + https://www.sistani.org/arabic/qa/0569/). (Note: Mazeed maloomat ke liye is Link " https://www.valiasr-aj.com/urdu/mobile_shownews.php?idnews=1748 " ko visit karen. [Updated on 09-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya moharram ke din ka roza bina Sehri kiye rakh sakte hai according to Sunni deobandi please answer my question
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). or fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq sehri khane ya na khani se roze ke sahe roze per koi asar nahe perta( yani sehri karna zarori nahe hay us ke beghair bhi roza sahe hosakta hay) or mumkin hay ke sehre na khana zouf ka sabab hojaae is lie sehre khana behter hay or 10 muharram ka roza rakhna makroh hay lakin haram nahe hay.sazawaar (behter) hay ke 10 muharram ke din insaan roze ki niyat kie beghair or 10 muharram ko roza rakhna chaie ya nahe is ki tafseer ke lie aap is web side ki tarf ruju kare (valiasar-aj.com , topic aashoor ke din roza rakhna sunnat muhammadi ya bidet umawy ) (ref:sistani .org ,urdu ,topic ,roza ,sawaal no:6,29,tuziulmasail jame ,urdu, makhroh,masla no:2124 ) [Updated on 28-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ashory k roza rkhna mna q hai? Iska sunni dost k m kesy proof de jis se wo Maan Jaye qk, usk mutabiq rasol s.a.w.w k hadees h k ashory k roza rkhna 1 saal. K guanho k kaffara hai
Answer: Is ke liye hum aap ko aik link de rahe hain is me poori tafseel aur dalaail se proof kiya gaya hai ke is din ka roza rakhna "Makrooh" hai (Ref: Link https://www.valiasr-aj.com/urdu/shownews.php?idnews=1748 ). [Updated on 11-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.A Sir mera sawal y h ky m rt tahajud k wqt pure niyat m tha n subha roza rakhunga mgr mare ankh lg gye aur fajar ke azan k bd khule to kia m rozy ke niyat krky roza rakh skta hu ?
Answer: ( mustahab roza ya wajib roza )Agar fajar ke baad roze ko baatil karne wala kaam maslan khana, peena wagera nah kiya ho aur( waqt zhohar se phele ) Rozay ki niyyat kar len to roza sahi hoga. Note: Roza rakhne ke liye sehri karna wajib nahin balke mustahab hai aur bager sehri ke bhi roza sahi ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1534,1535). [Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: CAN I CUT A PRIVATE HAIRS IN FASTING
Answer: Jee han, rozay ki halat mein hair remove kar saktay hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629). [Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mera sawal hai k Rozay ki halat mein apni wife se boss-o-qinar krna jaeyz hai? or Lips ka bossa lene se Roza toot jata hai? kia Roza ki halat mein shohar apni bevi k sath lipat kr so sakta hai jab k us ko maloom hai k wo shahoot ki halat mein hai? 2nd ye k roza ki halat mein Miyan bevi ek doosre ki sharam gahon ko sehla sakte hain?
Answer: