Question: Assalam O alaikum Muhtaram! Mera sawal yeh hai kay sehri kay aukat kay baray mein Ahadeeth ki roshni mein wazahat farma dijiyay ba rahe meherbani kunkay mujhe lagta hai kay ghalat ul aam bat yeh ban chuki hai kay Azan e Fajr se pehlay pehlay roza band kr liya jaye nai tou ghalat ho ga jab kay mujh tak jo Hadeeth pohnchi hai aur jo riwayat mein bhi aati hain batein unkay mutabiq jab tak subh kay wazeh honay ka waqt jo muqarrar hai woh nahi aata tab tak waqt hai roza band karnay ka aur Huzoor (SALLAL LAA HO ALAEHE WA AALIHE WASSALLAM) ne bhi Ummat kay liyay aasani ki hai kay sehri der se ki jaye aur uftar jaldi jabkay humaray muashar mein iska ullat hota hai aur loug Jahileen ki tarah bat jarty kay agar yeh ja kiya tou murtad ho jao gay yeh na hua tou woh ho jao gay Fatway lagata phirta hai yahan har shakhs rehnumai farma dijiyay! ~Syed Asrar.
Answer: