Question: Salam o ALikum kia Ayatullah Seestani k mutabiq Rozay me Pani me sir dubooney se roza baatil nahi hota???
Answer: w.s., jee is se roza batil nahin hota.(ref: mujtahid se puchhe gaye sawalat part : roza Aytullah Seestani (d.b.) page 36 pub. by quran-o-itrat academy)
Question: salam , app ney q id 2278 main kaha k sar doboney sey roza batel nahi hota,,lakin ayet uulAllah sistani ki tozee main pani main sar dobona mobtalatey roza main ha,...to ess ki wazahet karen ,ws hamid shah , Gujrat
Answer: w.s. tawzihul masail me alfaz he k "mash-hoor qol ki bina par" jab k Aytullah Seestani (d.b.) ka nazriya wahi he jo jawab me bayan kiya gaya he.
Question: salam, meri walda bimar hain or wo rozey nahi rakh sakti ti, or na us ki qaza ada ker sakti hain, asey mai un k liye kia hukum hai. iltamas-e-dua
Answer: w.s., agar roza rakhne me zarar ka khouf he to roza rakhna wajib nahi he balke jaiz nahi he aur bimari ki wajeh se roza rakhne par qadir nahin thi to qaza wajib nahin he. (ref: istiftaat k jawabat part : ibadat Aytullah Khamnaie (d.b.) q.739 & 755)
Question: Asalamoalikum mera sawal ya hy k agar roza main neend main fajir k bad anzal (akhtalam) ho jay to gusal ho jay ga ya roza kholny k bad dobara gusal karna pre ga ok kia namazain bhi ho jain gi plz rpl as soon as possible
Answer: w.s., jee ghusal ho jayega balke namaz qaza hone se pehle ghusal kar k namaz padhni hogi (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1642 & 351)
Question: ASSALAM-E-ALAIKUM.. YE POCHNA HAI K FIDYA DENE KA KYA HISAB HAI? KITNA DENA HOTA HAI..??
Answer: w.s., roze me jo baaz soorto me fidya dena hota he woh ek mud taam yaani k taqreeban 750 gram (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) page 432)
Question: salam, kiya rozy me baal or nakhoon katny ki ijazat hy ya nahi.or kiya rozy me ghair zaroori baal katny ki ijazat hy?
Answer: w.s., in chizo se roza batil nahin hota (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1581)
Question: Kia roze ki halat me nakhun katna jaiz he???? plz jwab deen.
Answer: bismehi taala, is se roza batil nahin hota (ref: tawzihul masail Aytullah Khoie (r.a.) masaala # 1581)
Question: A O L sir mujhe pochna tha k remzan mein roze ki halet mein biwi ko tuch kerne se mena fermaya geya hay yaan nahin or kya aftari k bad jinsi emal jaiz hay
Answer: w.s., roze k dawran jema karne se roza batil hota he, sirf tuch karne me koi harj nahin he, isi tarh iftari ke baad jeman karne me koi haraj nahin he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1593)
Question: a.o.a mera question yeh hai sehari kerney key bad jab man soya tu mujhy ehtalam ho geya tu kai mera roza tot geya? aur ager tot jata hai tu is sorat main kai kerna chayee.
Answer: w.s., agar koi shakhs mahe ramzan me subah ki azan k baad jage aur yeh dekhe k use ehtalam ho gaya he to agar-che use maloom ho k yeh ehtelam azan se pehle huwa he us ka roza saheeh he. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1642)
Question: Asslam-o-Alaikum, mera sawal yeah hai kai ager raat mai biwi kai saath suhbat ki hoo. aur subah sehri mai aankh na khulee hoo, to rooza rukh suktai hai ya nahi....
Answer: w.s., agar koi shakhs mahe ramzan ki rat junub ho aur yaqeen rakhta ho k agar so gaya to subah ki azan se pehle bedar ho jayega aur us ka musammam irada ho k bedar hone k baad ghusl karega aur is irade k sath so jaye aur azan tak sota rahe to us ka roza saheeh he. aur agar koi shakhs subah ki azan se pehle bedar hone k bare me mutameen ho to us k liye bhi yahi hukam he. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1636)