Question: sir jee mujhe rozay ma ahtlam parh gaya ma ab kaya karoo
Answer: bismehi taala, agar koi shakhs mahe ramzan me subah ki azan k baad jage aur yeh dekhe k use ehtalam ho gaya he to agar-che use maloom ho k yeh ehtelam azan se pehle huwa he us ka roza saheeh he. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1642)
Question: mujhay nend ma subha rozay k bad ahtlam agaya hay ab m kaya karoo mera roza tota to nahe na
Answer: bismehi taala, agar koi shakhs mahe ramzan me subah ki azan k baad jage aur yeh dekhe k use ehtalam ho gaya he to agar-che use maloom ho k yeh ehtelam azan se pehle huwa he us ka roza saheeh he. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1642)
Question: salam alaikum..agar hum safar me he to kiya roza rakhna chahiye
Answer: w.s. jis shakhs ka pesha-hi safar ho jayse driver aur isi tarh woh shakhs jo kisi na-jaiz kam k liye safar kar raha ho un ko safar me roza rakhna zaroori he is k alawa afrad safar me roza nahin rakh sakte (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1723)
Question: Agar rozey ki halat main insaan ghalti se masturbate karle tou kiya uska roza qayam rehta hai ya toot jaat hai?
Answer: bismehi taala, (masterbating) istimna (hram he aur) yeh kam roze ko batil kar deta he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1597)
Question: hamal main rozay chonay ka kaffara kya ha
Answer: bismehi taala, jis orat ka wazae hamal ka waqt qareeb ho, us ka roza rakhna us k liye ya us k hone wale bachche k liye muzir ho us par roza wajib nahin aur zaroori he k woh har din k awaz ek mud taam faqeer ko de aur dono soorto me jo roze na rakhe ho un ki qaza baja laye. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1737)
Question: if some one look or think about some one and his money drop come out from his panies, is his fast broken or he need for bath
Answer: bismehi taala, jo shakhs mani nikalne k irade se ched-chad aur dil-lagi kare to khawah mani na nikale ehtiyate lazim ki bina par zaroori he k roze ko tamam kare aur us ki qaza bhi baja laye, agar rozedar mani nikalne k irade k bagair misal k tor par apni biwi se ched-chad aur hansi mazaq kare aur use itminan ho k mani kharij nahin hogi to agar-che ettefaqn mani kharij ho jaye us ka roza sahih he. albatta agar use itminan na ho tu us soorat me jab mani kharij hogi to us ka roza batil ho jayega. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1603 & 1604)
Question: kia rozy mein rony sy, matam karny sy aur khoon nikalny sy roza makrooh ya batil hojata hy??
Answer: roza daar k liay khuch chzain makhrooh hain jin main se aik ye bhi hay k: Her aisa kaam kerna jo kamzori ka sabab banay maslan khoon daina or garam ham’maam main jana. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam u alikum ::Mere nani kafi old hain or roza nahi rakh sakte un ko kiaa karna hoga koi kafara hai to bataen?
Answer: Jo shakhs burhape ki wajah se roza na rakh sakhta ho os per roza wajib nahi he. Or agar roza rakh sakta ho laikin roza rakhna shaded takleef ka sabab ho tu aisi sorat main bhi roza rakhna wajib nahi hay laikin is sorat main zarori hay k rozay k aywaz aik mud( ¾ kg) ta,aam(khana) yani gandum ya jow ya roti ya is jaisi milti julti koe cheez day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1696) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: molana ssahb!mera sawal hai k agar kisi aurat ko roze k doran haiz aajata hai to wo kya kare? wo apna roza pura karsakti hai ya nai,! 2
Answer: Agar aurat rozay se ho or din main osay haiz ya nifaas ka khon aajay tu agarchah ye khon maghrib k qareeb hi Q nah aay oska roza batil hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#1612 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kiya Rozay main injection lagwa saktay hayan
Answer: Injection aur drip se roza batil nahi hota chahae injection taqwiyat pounchaney wala hi q na ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1557)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)